Bahubali 3

Duniya mein hui jitni bhi yudh usme se Sabse jada mashoor yudh Kalinga hi thi. Bharat mein kai saare aise yudh huye jiske wajah se iske itihaas ko bahut thes pahuchi unme se ek thi Kalinga yudh, ye bharat ka aisa yudh tha jisne itihaas ke purey uss period ko hi badal kar rakh diya tha. Kalinga yudh Ashok Samrat ke leadership ke under lada gaya tha jiske kaaran yudh mein jitne bhi maut huye the ya jitne bhi vinash huye the uska paraayschit karne ke liye unhone Buddhist banne ke aur apna kadam badha diya tham. Ab wo kahi bhi ladai ya maar pit dekhna nhi pasand karte the, unka Dil insaano ke liye daya aur karuna se bhar gaya tha aur uske baad unhone kasam khayi ki ab wo kabhi na toh yudh karenge aur na hi kisi yudh mein bhaag lenge, bas yahi se spiritual aur Dhamma ka naya yug shuru hua toh aaiyiye hum Kalinga yudh aur Samrat Ashok ke baare mein vistaar se jaante hai aur padhte hai ki yudh ke dauraan kiya kiya hua tha jiske kaaran Ashok badale gaye the.
Sab jaante hai Kalinga aise jagah par sthit hai jiske kinaare mein samudar hai jiske wajah se usse Mahasagar Swami bhi kaha jata hai jo ki ek samudar rastriya bhi hai. 321 BC tak yaha Nand samrajya tha, jisme business ke liye bahut jaruri ports aur ek majbut nausena ke sath Kalinga ne apni coastline ko kaabu mein kiya tha jiske wajah se Kalinga ne business ke liye bahut important role nibhaya tha. Kalinga yudh ek aisa yudh tha jiske wajah se jitne bhi itihaaskaar hai unn sabhi ke thoughts alag alag hai. Samrat Ashok apne pitaji Bindusaar aur dadaji Chandragupta Maurya ke raaste par chalna chahta the, lekin Nando ke sasankaal ke waqt Kalinga, magadh samrajya ka ek rajya tha lekin Chandragupta Maurya duwara Nando ki haar ke baad Kalinga ek swatantr rajya ban gaya tha, jabki Chandragupta Maurya aur Bindusaar ne isse phir se jeetne ki koshish ki thi lekin wo isme safal nhi ho paaye the lekin iss kaam ko pura Samrat Ashok ne kiya tha aur phir se apna singhasan wapas le liya tha. Chandragupta Maurya ke shasankaal ke baad mein Kalinga apni sena , ceylon aur jawa jaise areas ke sath business relationship ke liye famous the, yahi sab kaaran ke wajah se Ashok ko Kalinga jeetne ki himat mili aur baad meij unhone apna rajya aur failaya. Ashok ko raja bane jab 12 saal bitt chuke the tab unhone Kalinga se kaha ki wo chup chap surrender kar de aur Kalinga unko shoup de warna yudh ke kiye taiyaar rahe. Lekin aisa hua nhi unhone maurya saamrajya yani Ashok ke saamne jhukne se mana kar diya tha jiske baad 261 BC mein Ashok aur Kalinga ke raja ke bich bahut khatarnak yudh hua tha, aur iss yudh mein Kalinga ki sena ne Maurya samrajya ke khilaaf ek bahadur ladai ladi aur dekhte hi dekhte Kalinga yudh ke maidan mein badal gaya tha . Kalinga ke raja , Kalingaraj ne Magadh samrajya ko harane mein koi kasar nhi chodi lekin Ashok ki Vishal sena ne kalinga ki sena ko pachad diya aur mana jata hai ki Kalinga ke sainik apne antim saans tak aade rahe aur ladte rahe jiske baad Ashok aur unke sena ne unn sab par kaabu pa liya aur Ashok wo yudh jeet gaye the bahut muskilo ke baad.
Itihaas ke itne bade yudh ko Samrath Ashok ne jeet liya tha par bade paimaane par bahut saare jaan aur chizo ka nuksaan bhi hua tha , yudh mein 1 lakh sainik maare gaye aur Kalinga ke 1.5 lakh sainiko ko raja Ashok ne pakad liya tha jinki baad mein maut ho gayi thi. Ashok ne Kalinga par vijay paa li thi aur Kalinga ko magadh samrajya ka panchwo rajya bana liya tha. Kalinga yudh duniya ka ek lauta aisa yudh tha jisme ek winner ne apni talwaar chor di thi hamesha ke liye aur kabhi yudh nhi karni ki Kasam bhi kha li thi . Ashok ne Buddh dharm ko apnaya, Bharat aur padosi desh mein Buddh dharm ko failaane ke liye kai mission bhi kiye unka aisa haal yudh ke baad hua tha aur phir Kalinga ki bigadti halat, khoon , tadap aur logo ko aanshu mein dekh kar wo udaas ho gaye the. Uske baad unhone faisla liya ki wo waha nhi rukenge aur sidha pahado ke taraf jaayenge jaha wo aapni baaki ki zindagi Buddh dharm ke liye bitaayenge, aur issi karan se Kalinga yudh unki paheli aur akhiri yudh sabit hui.
Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Bahubali 3 ki jisme ek yodha ne kaise apne logo ke liye khud ka rajya chor diya. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

RRR,Ram Charan ,Jr. NTR,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

RRRR

Hemu Kalani ek aise desh bhakt the jisne hanste hanste apni jaan desh ke liye de diya tha aur inki maut inke birthday se do

Read More »

Pushpa 2

इस वक्त हर जगह देखो एक ही बात चल रही है और वो है, सलार vs डंकी के बीच होने वाला क्लेश जिसमें fan wars

Read More »
RRR, Ram Charan , Jr. NTR, bollygradstudioz.com

RRRR

भारत को आज़ाद कारवाना कोई आसान काम नहीं था, उसमें कितने लोगों ने अपनी जान गंवाई थी यह वही जानते थे और बहुत ऐसे क्रांतिकारी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​