RRRR

Mashur Kakori rail ki Dakaiti ki planning karne ke pichey Ram Prasad Bismil ka hi hantha tha. Bismil ek bahadur freedom fighter the yaha tak ki wo ek association se bhi jude huye the jiska naam Hindustan Republican Association tha . Bismil sirf freedom fighter nhi the wo hindi aur Urdu mein kai saari kavita aur Kahani bhi likha karte the, Sarfaroshi ki tamanna ye kavita Bismil ji duwara hi likhi gayi thi. Bismil hamesha haare huye ya maayush huye logo ke andar freedom ki aag apne kavita se lagate the jiss se wo saare log ko aihsas hota tha ki wo abhi bhi lad sakhte hai aur apne desh ko aazad karwa sakhte hai.
Bismil ka Janam Uttar Pradesh ke Shahjahanpur mein 11 june saal 1897 mein ek Brahman family mein hua tha, inko bachpan se hi Kavita aur kahani mein dilchaspi thi. Jab Bismil 19 saal ke the toh unhone apne naam ke aage Bismil laga diya tha jisse wo ye sabit karna chahte the ki hum sab sath hai aur ek hai, bas aur kiya tha uske baad waha se shuru hui inki kavita aur Kahani ki zindagi. Bismil ji ka pariwar bahut hi simple tha unke mata ji naam Mulmati aur pita ji ka naam Murlidhar tha . Bismil ji ke pita ji Shahjahanpur nagarpalika mein ek worker the jiske wajah se unki salary bhi kam thi aur salary kam hone ke wajah se Bismil ji ek middle class family ki zindagi jiye the. Unhone apni padhai Hindi aur Urdu dono language mein ki thi jab ki unko padhna bilkul bhi pasand nhi tha aur iske liye wo apne pita ji se bahut maar bhi khate the phir bhi wo mann laga kar nhi padh paatey the. Baat hai saal 1916 ki jab Bismil 19 saal ke the toh inhone freedom fighter banne ka faisla kiya aur apne baaki ke 11 saal ki zindagi mein inhone kai saari kitaabe likhi thi aur wo uss kitaab ko bech jar paisa jama karte the taaki wo hathiyaar kharid sake aur uska istemaal british par sake.
Ram Prasad Bismil ko Kakori kaand ka hero kaha jata hai log batate hai agar ye nhi hotey toh unka plan kabhi successful nhi ho pata. Hua ye tha ki Bismil, Bhagat Singh aur Chandra Shekhar Azad jaise freedom fighter ne milkar hindustan republican association banaya tha jisme british ke against hathiyar ko uthaane ka faisla hua tha lekin unki sabse badi majburi thi adhik paiso na hona jiske wajah se unhone Kakori rail ko lootne ka plan banaya tha. Saal 1925, 9 August ko Ramprasad Bismil, Asfaq Ullah Khan, Rajendra Prasad Lahidi ke sath aur 10 freedom fighter ne ek group bana kar british ko challenge kiya ki wo uski train loot kar rahenge. Freedom fighter ne Shahjahanpur se Lucknow ki taraf aa rahi train ko rok kar usme rakha british ka khajana loot liya aur ye wardaat ko jaha anjaam diya gaya tha wo Lucknow se 20 km ki duri Kakori mein hua tha, aur uss waqt maujud freedom fighter ke hanth total 4601 rupay hi hanth aayi thi jiske wajah se british government mein bhuchal mach gaya tha aur aananfannan mein giraftaari ki gayi thi. Iss ghatna ke wajah se unko 26 September saal 1925 mein pakad liya gaya tha aur Lucknow ke hi jail mein daal diya gaya tha jiss room mein unko rakha gaya tha uska number 11 tha , jiske baad unhone apne zindagi ke aakhiri 4 mahine Gorakhpur ke jail mein bitaaye the. Ye case bahut dino tak chalta raha aur aakhir kaar 2 saal baad Iski sunwai hui jisme Ramprasad Bismil, Asfaq Ullah Khan, Rajendra Prasad Lahidi aur Roshan Singh ko phasi ki saja suna di gayi thi.
19 December saal 1927 ki subha 6 bje Kakori kaand ke hero Bismil ko phasi di jaani thi . Phasi dene se kuch der Pahele jailer ne Bismil ko kasrat karte dekha aur wo ye karta dekh chauk gaye jiss par unhone Bismil se sawal bhi puch diya tha toh Bismil muskuraate huye boley Mai Bharat mata ke charno mein Arpit hone waala phul hu aur wo Phil murjhaya hua nhi hona chahiye, wo toh ek dum swasth aur sundar hona chahiye isliye wo kasrat kar rahe hai, baad mein inn teeno ko ek saath Gorakhpur ke jail mein phasi de di gayi thi.
Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie RRRR ki jisme e freedom fighter ne apni jaan dedi lekin british ke saamne jhukna swikaar nhi kiya. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

BAHUBALI 3

Bahubali 3

बाहुबली फिल्म से वापस फेम में आई रम्या कृष्णन जिन्होंने शिवगामी का रोल निभाया था, अब उन्हें फिर से बाहुबली 3 में काम करना है

Read More »
bahubali 3

Bahubali 3

फिल्म बाहुबली की हर एक चीज मशहूर हुई थी फिर वो चाहे फिल्म की कहानी हो या फिल्म में रखे गए गाने। लेकिन पूरी फिल्म

Read More »

Kanguva

नेशनल अवॉर्ड विनर तमिल एक्टर Suriya का आज 48वा जन्मदिन है और इस खास मौके पर उन्होंने अपने फैंस को एक बहुत ही बड़ा सरप्राइज

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​