Raja bhaiya ka naam UP ki raajneeti me sab se aage raha hai. Raja bhaiya ki sab se anokhi baat yeh hai ki woh royal family se taaluk rakhne ke bawajood bhi, unhone crime ki duniya ko gale lagaya hai.
Toh aakhir kon hai yeh Raja bhaiya, jinka naam sunte hi aaj bhi UP ke kunda(कुंडा) ke log khauf se bhar uthte hai.
Raja Bhaiya ya Raghuraj Pratap Singh ka janam 31 October 1967 ko Kolkata me hua tha. Raja Bhaiya ke pita Pratapgarh ke Bhadri riyaasat se taaluk rakhte hai. Issi wajah se Raja Bhaiya bhi royal prince hai. Jis tarah se Raja bhaiya ka naam poore UP me faila hai, waise hi unke pita ka bhi apne ilaake me kaafi naam tha aur woh kaafi charcha me bhi the. Raja bhaiya ke pita ka naam Raja Uday Pratap Singh hai, jinhone Indira Gandhi ke daur me kaafi naam kamaya tha. Woh bhi vivaadon ke kaaran. Asal me Uday Pratap ki riyaasat Pratapgarh, Congress ke apne गढ़, Raebareli se kaafi paas hai. Yahi wajah rahi ki Indira Gandhi ka Pratapgarh me kaafi interest tha. Jab Jawaharlal Nehru the, uss daur me Bhadri pariwaar ke raja, Bajrang Bahadur Singh ki Gandhi-Nehru family se accha relationship tha. Lekin Jab Raja Uday Pratap saashan me aaye, toh unhone Bhadri riyaasat ko Bharat ka independent state announce kar diya, jis wajah se Indira Gandhi ko majbooran Kunda me Armed forces ko bhejna pada aur Issi ke saath Pratap-Indira Gandhi ka political rishta bigad gaya, jo aajtak thik nhi ho paaya hai. Raja bhaiya ka pariwaar itni purane baat pe aaj bhi kaayam hai aur congress se puri tarah se door hai. Raja Bhaiya ke pita kattar hindu-waadi hai. Issi wajah se woh RSS se bhi jood gaye, jo Islamic supporter congress ko bilkul nahi bhaaya aur secular desh me religious-political war shuru ho gaya.
Raja bhaiya apne pariwaar ke pehle member bane, jinhone raajneeti me apna kadam rakha. Raja bhaiya ke pita Uday aur unke Dada Bajrang ka bhale hi bade-bade raajnetaon se contact tha, par tab bhi woh kabhi bhi kisi political party ka hissa nahi bane. Lekin 1993 me Raja bhaiya ne pehli baar politics me kadam rakh kar, apne pariwaar ka royal tradition tod diya. Raghuraj Pratap singh ke Raja bhaiya banne ke peeche bhi ek kahani chupi hai. Asal me Raja bhaiya ke pita Uday Pratap “Devraha baba”(देवरहा) ke bhakt the. Waise toh naa sirf Uday balki Indira Gandhi aur Atal bihari bhi unke bhakt the.
Raja Uday apni wife ke saath ek baar Devariya gaye, jaha pe unhone apne guru Devraha baba se mulakaat ki. Wahi pe Baba ne Uday ko bataya ki unke ghar ek beta janam lene waala hai.
Infact Baba ne hi Raja bhaiya ka naam “Raghuraj” rakha aur unhe pehli baar “Raja” keh kar bulaya. Apne pita ki hi tarah Raja Bhaiya bhi Devraha Baba ke humesha ke liye bhakt ban gaye, bhale hi baba aaj iss duniya me naa rahe ho. Rahuraj paratap ko jab se Raja nickname mila, woh issi naam ke saath raajneeti me utare aur unke aas-paas ke sahyogi, unhe respect se bhaiya bulane lag gaye. Yahi se Raghuraj Pratap Singh ban gaye “Raja Bhaiya!”
Raja bhaiya ne apni padhayi Allahabad yaani ki Prayaagraj se puri ki. Raja bhaiya Allahabad se schooling karne ke baad Lucknow University se apna graduation pura kiya. Raja bhaiya apne extraordinary hobbies ke liye bhi charcha me rehte hai. Unhe Aircraft udaana, horse-riding karne ke alawa, markmanship(shooting) me bhi ruchi hai. Raja bhaiya ki shaadi “Basti” riyasat ki princess Bhanvi Devi se hui aur unke 2 betiya aur 2 bete bhi hai.
Agar hum Raja bhaiya ke political career ki baat kare, toh unhone iski shuruat 1993 me ki thi. Issi saal Raja bhaiya ne individually Pratapgarh ke Kunda se election lada.
Uss wakt Congress ke Niyaaz Hasan ka Kunda ki seat pe kabza tha, jise Raja bhaiya apne naam karna chahte the. Uss wakt Raja Bhaiya sirf 26 saal ke the, jab unhone 6 baar Kunda ki seat jeet chuke Niyaaz Hasan ko pehli baar election lad kar hara diya. BJP aur Samaajwaadi party ki sarkaar me Raja Bhaiya minister bhi rahe.
BJP ke Kalyan Singh jab U.P ke CM bane toh pehli baar Raja Bhaiya ko cabinet ministry me shaamil kiya gaya. 1999 me ek baar phir Kalyan Singh ke raaj me Raja bhaiya cabinet ministry me shaamil huye aur unhe “Youth Affairs and sports” ka mantri banaya gaya. Issi dauran Raja bhaiya ab ke “Defence Minister” Rajnath Singh ke kareebi ban gaye. Yaha tak ki aaj bhi Raja bhaiya aur Rajnath Singh ke beech acchi dosti hai. UP me BJP ke Kalyan Singh ke baad 2004 me Samaajwaadi party ki sarkaar aayi, jisme Raja bhaiya BJP chod Samaajwaadi party se mil gaye aur unhe state ka “food minister” bana diya gaya.
Dekha jaaye toh power me bane rehne ke liye ek party se dusri party ki adla-badli toh politics ka tradition raha hai. Netaon ko iss baat se fark nahi padta ki woh diye gaye department ko acche se sambhaal bhi paayenge ya nahi, par sirf power ke liye unhe jo department milta hai woh le lete hai. Ab Raja bhaiya ko hi dekhiye, kaise woh sports minister se seedhe food minister ban gaye.
Khair, isse kya fark padta hai ki woh kiske mantri the kyunki issi daur me hi toh Raja bhaiya khul kar saamne aaye aur unka khauf logon ke beech banne laga. Samaajwaadi sarkaar ke daur me Raja bhaiya khub charcha me rahe aur dekhte hi dekhte woh UP ke naami neta ban gaye. Unke iss naam ne hi unhe crime ke raaste bheja, lekin woh har baar apne political influence se bachte chale gaye. Raja bhaiya jitni raajneeti me apni pakad bana rahe the, woh andar hi andar crime ki duniya se dosti kar bhi chuke the.
Aage hum jaanenge ki kaise Raja bhaiya, kisi neta ke kidnapping case me phans kar jail pahuch gaye the aur kaise unhone apne hi gadh Kunda me khauf paida kar diya tha, jo aaj bhi kaayam hai.
Toh aage ki kahani jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath iss blog pe, jiska naam hai Bollygrad studioz.
To Be Continued…part-1
Brahmastra 2
बिना अवॉर्ड के लगता है एक्टर्स की कोई वजूद ही नहीं है, शायद इसलिए हर एक्टर अपनी जिंदगी में बेस्ट एक्टर का अवॉर्ड पाना चाहता