Gary Tovar ka janam Los Angeles me hua tha. Gary jab sirf 14 saal ka tha tab se woh illegal samaano ki smuggling karna shuru kar chuka tha. Ek baar aise hi Gary, Mexico se firework lekar America me ghus aaya tha. Kaha jaata hai ki, Gary ne aisa ek aadmi ke ishaare pe kiya tha, jo ki America ke famous drug gang “The Brotherhood of enteral Love” ka saathi tha. Gary ki Marijuana ke saath involvement 1960s ke akhir me shuru hui thi. Uss duaran America aur Vietnam War chal raha tha, jis beech chutti pe kuch military serviceman apne ghar America waapas aa rahe the. Gary inhi logon ka sahara lekar Marijuana ki seeds ko America me transfer karwa raha tha. Marijuana ek tarah ka drug hota hai. Gary Vietnam se Marijuana ke seeds laata tha, jinhe woh kisaano ko dekar unn seeds ko उगाता tha. Iske badle me Gary kisaano ko distribution “network” aur ‘selling market’ dene ki guarantee deta tha. Gary “Thai sticks” jaise, kayi dusre tarah ke drugs ko import karta tha. 1991 me police ke jariye arrest hone se pehle tak Gary drugs ke dhandhe se करोड़ों kama raha tha. Drug trafficking ke jurm me Gary ko 1992 me 7 saal ki saza sunayi gayi. Halanki bhaut kam logon ko pata tha ki, Gary aane waale time me America ka powerful aadmi banne waala tha.
Gary Tovar ka music promotion me interest tab jaaga(जगा), jab 1981 me uski choti behan ne Gary ko bataya, ki Police California me “Punk rock” music ko band karwa rahi hai. Gary aur uski behan Punk Rock genre ke music ke fan the. Par police ke mutabik yeh music genre violent tha. Kaha jaata hai ki,“Punk rock” ki lyrics aksar political aur dusre mudde pe based hoti thi. Iske alawa Punk rock music ke concerts, kaafi jyada violent hote the. Yahi kaaran raha, ki iss music se related jitni bhi development ho rahi thi, use police band karwa rahi thi. Lekin Gary punk rock ko lekar kehta tha ki, “humare paas iss culture ka aur ise perform karne ka pura adhikaar hai.” Punk rock ko promote karne ke khilaaf police bhale hi Gary pe daabaao bana rahi thi, lekin Gary isse zara bhi nahi ghabra raha tha. Gary ne kaha ki, “Punk Rock, budhe ho rahe ‘Hippie’ culture ka successor(उत्तराधिकारी) hai. Hippie culture America me फैली ek aisa culture tha, jisme shaamil log “non-violence” pe vishwaas karte the. Gary ki baaton se young generation influenced hone lag gayi aur woh Gary ka saath “Punk Rock” ko waapas laane me dene lage. 1981 me America ke Santa Barbara me, Gary ne apna pehla show host kiya, jisme usne America ke 3 musical bands ko shaamil kiya tha. Music ka promotion karte-karte Gary ki logon ke beech acchi reputation banne lag gayi. Gary jin bands aur singers se perform karwata tha, unse woh koi charge nahi leta tha, balki unki mehnat ke hisaab se unhe hi paise deta tha. Gary apne iss promotional business ke kaaran America ke music business me ek influential aadmi ban gaya. Gary ki apni booking agency bhi thi, jisse woh artists ke concert ki tickets sell karta tha. Isse “The Vandals” aur “Social Distortion” jaise bands ko national level pe safalta mili.
1982 me Gary Britain ki yaatra pe gaya, jaha pe woh kayi British punk bands ke contact me aaya. Gary ne unn bands ko Los Angeles ke show me perform karwaya. Gary ne yeh show, smuggling se aa rahe paison ki madad se organize karwaya tha. Iss show me “Anti Nowhere league” aur “Public Image Ltd” jaise kayi saare British punk band shaamil the. 1984 me huye L.A Olympic Games ke mauke pe, Gary ne “Grand Olympic Auditorium” me kayi International Punk Bands se perform karwaya tha. Iss show me kuch bands ke show tickets kaafi saste the, jis kaaran kareeb 4000 log uss show ko dekhne Los Angeles(L.A) pahuche the. Halanki iss beech Gary ko kaafi nuksaan bhi hua tha, kyunki Gary music promote karta tha aur artists ko bhi paise deta tha, issi kaaran use kareeb 10 million dollar ka nuksaan hua tha. Lekin yeh bhi sach hai ki music promotion ki आड me Gary ab aaram se drug trafficking se paise kama paa raha tha. Paison ke nuksaan ke alawa kayi logon dwara music aur badhte violence ke khilaaf huye pradarshan ne Gary ke business pe prabhaav daala. 1983 me Punk music ke khilaaf 3 bade riots huye, jispe Gary ne kaha ki “hum kaafi aage the. Humare paas gamble karne ke liye kaafi resources the. Hum daring ho kar unn bands ko bula lete the, jo wakt se kaafi aage the. Kuch bands toh itne pehle hi aa chuke the, jinke baare me fans mujhe 6 mahine baad batate the ki, aakhir mujhe unhe kaise laana hai. Sach me hum fans ki iss soch se bhi kayi मायने me aage the” Gary aage kehta hai ki “maine apne khud ke paise kho kar dil se unn artists ko pay kiya hai.” Gary ki inn baaton ne young generation dwara use support dilwaya.
Aage hum jaanenge ki kaise Gary Tovor naam ka yeh smuggler ek celebrity ban jaata hai, jise aaj ke zamane ke kayi bade celebrities jaante hai, jinme Beyoncé ka bhi naam shaamil hai. Toh puri kahani jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath iss channel pe, jiska naam hai Bollygrad studioz.
To Be continued… PART-1
DANGAL 2 (Part 2)
एक दिन अजनबी शहर का आदमी, उम्र 21 साल , गेहुआ रंग , ब्लैक पैन्ट्, सफ़ेद कमीज़ पहने और कंधे पर काले रंग का एक