RRRR

1 nahi 2 nahi balki 3 doston ne milkar hila diya tha Angrezon ko India mein. Benoy Basu, Badal Gupta, aur Dinesh Gupta teeno dost the. Benoy 22 saal ka tha, Badal 18 ka aur Dinesh 19 ka. Teeno aas paas hi rehte the aur teeno hi angrezon ke zulm seh seh kar bade hue the. Magar abb inhein saans nahi arahi thi. Yeh angrezon ko daraan achahte the, aur yeh samjhna chahte the ki Indians kamzor nahi hain. Bus isi liye inhone jawani ke josh mein ek kadam uthaya.

Yeh teeno Kolkata rehte the uss samay. Wahan ki Writer’s building aaj bhi khoob famous hai. Iss building mein hamesha se important discussions hote aaye hain, aur uss din bhi aisa hi hone wala tha. Sabhi Generals jo uss waqt India mein the Kolkata ki issi Writer’s building mein coffee par milne waale the. Meeting shaam ko thi, aur instructions yahi diye gaye the ki bahut se “English Men” uss din Writer’s building mein alag alag samay par aayenge. Khaas bola gaya tha sabhi naukaron ko khaatirdaari karne ke liye.

Issi beech subah ke 11 baje 3 officers wahan aa pahuche. Yeh teeno officers kaafi young the magar chamak rahe the. Teeno ne European style kapde pehne the. Teeno hi 3 piece suit pehnkar aaye the. Inke paas haath mein briefcase tha, aur teeno ek hi gaadi se utre the. Yeh uss zamane ki ambassador toh nahi thi, magar kyun ki inka huliya aisa tha isi liye watchman ne inhein roka nahi. Teeno ko salaam thok kar andar jaane diya gaya.

Yeh teeno andar jaate hi main conference hall mein lejaaye gaye. Lejaane wala bhi ek Indian hi tha toh usne kuch check hi nahi kiya. Bus yeh bhaar ke pehnaave waale log isse sahi lag rahe the.

Kuch 15 minute wait karne ke baad Colonel NS Simpson, Inspector General of Police aaye apne kuch aur Britisher doston ke saath. Unhone bhi inn teeno ko nahi pehchana. Haath milaate hi jab yeh baithne jaa rahe the, tab inn teeno ne banduk nikaal kar inn sab par goli chala di. General ki ussi samay maut hogayi. Yeh teeno Benoy, Badal aur Dinesh hi the.

Teeno hamla karne par bhaagne lage, magar security kaafi tight thi. Benoy ne cyanide pill le li jisse puri body mein zeher phail gaya, aur baaki dono ne khud ko hi goli maardi. Magar woh apna maksad pura kar kar gaye. Sabhi Britishers iss hamle ke baad darr gaye. Unhein samjh agaya tha ki Hindustani abb chup nahi baithne wale hain. Isi liye unhone security aur bhadha di thi iske baad.

Toh bus iss baar RRRR mein 2 nahi aise hi 3 jawaano ki baat ho sakti hai. Kya pata iss baar ek trio hamare saamne aaye!

Toh bus tyaar ho jaagiye powerful performances dekhne ke liye RRRR mein.

Description

3 friends entered the Writers’ building in Kolkata to kill some Britishers to show what India now wants.

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pushpa 2

Pushpa 2

फिल्म पुष्पा 2 का क्लाइमेक्स सीन शूट हो चुका है और उस सीन ने मानो जैसे ये रिवील कर दिया हो कि पुष्पा 3 भी

Read More »
bahubali 3

Baahubali 3

बाहुबली 3 की स्टोरी कटप्पा पर बेस्ड होगी, जिसमें मेन विलेन होंगे भल्लालदेव के पिता, बिजल देवा। क्योंकि उनका अंत अभी तक दिखाया नहीं गया

Read More »
thalapathy 68

Thalapathy 68

अगर किसी फिल्म में दो अलग-अलग फिल्ड के शेर एक साथ आ जाए जिसमें एक टॉलीवुड फिल्म इंडस्ट्री का सुपरस्टार और दूसरा क्रिकेट दुनिया का

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​