Gadar 2

Azaadi ke 75 saal baad bhi batware ke dauraan huye khooni manjar jehen mein aati hai toh aankhon se aanshu behne lagte hai, logo ne apno ko khoya so khoya, bachpan mein sath khelne waale unn dosto ko maarte aur behanon ki aabru luttee hui dikhi thi. Apna ghar aur apni jameen chutne ka dard kaisa hota hai ye unn logo se behtar koi bhi nhi jaanta jinhone batware ko apni aankhon se dekha tha. Second world war saal 1945 ko garmiyon mein khatam hua aur ye samaye tha jab bharat chhodo ke aahvaan ke liye saal 1942 se jail mein band bharat ke politicians ko chhod diya gaya tha, iske 2 saal se bhi kam samaye ke baad 21 February saal 1947 ko primier italy ne London mein ghoshna karwayi ki british se bhartiya ko azaad kar diya jaayega, unhone kaha ki Mountbatten bharat mein viceroy ke roop mein Wavell ki jagah lenge aur usse Britain ke bahar nikaalne ke plan par kaam karenge. 2 June saal 1947 ko congress ke neta Jawaharlal Nehru, Sardar Vallabhbhai Patel aur president Kriplani, muslim league ke president Jinnah, Liaquat, Nistaar aur akaalee pratinidhi Baldev Singh ne azaadi aur batware ke liye Mountbatten ki planning ko apni manjuri de di thi. 3 June ko iss planning ki publicly roop se ghosna ki gayi thi. 14 june ko A I.C.C ne confirm kiya ki Kriplaani ne kis chiz par signature kiye aur Nehru, Patel ne sehmati de di thi, baad mein 18 july ko King George chhathe the ki bhartiya swatantrata abhiniyan par singnature kiye jisme planning ki dooragaamee visheshataon ko moort ke jaise roop diya gaya tha. Ye sach tha ki saal 1937 mein Hindu mahasabha aur saal 1940 meim muslim league ne mana tha ki hindu aur muslim do alag alag rashtriya hai lekin pura Bharat uss siddhant ke sath nhi gaya jisme batware ki baat ki gayi thi lekin na chahte huye saal 1947 ke samjhaute ka imaandaari se samarthan karne se inkaar kar diya gaya tha.

15 August saal 1947 ki aadhi raat ko India aur Pakistan kanooni taur par do indipendent desh bann gaye the lekin pakistan ki satta pariwartan ki rasmein 14 August ko Karachi mein ki gayi taaki aakhiri british viceroy Luis Mountbatten, Karachi aur New Delhi dono jagah ki rasmo mein hissa le sake isliye pakistan mein independence day 14 August aur India mein 15 August ko manaya gaya tha. India ke divison se karodon log prabhavit hiye aur uss dauraan hinsa mein karib 10 lakh log maare gaye the aur karib 1.46 crore refugees ne apna ghar- baar chhodkar majority community waale desh mein sharan li thi. Lekin iss se pahele Gandhi ji ne bahut koshish ki taaki ye batwara ruk jaaye kyuki jab Gandhi ji Mountbatten se miley the toh unhone unnse kaha bhi tha ki kuch bhi ho jaaye aap India ko mat todiye ga nhi aur nahi kaatiye ga lekin iske badle mein Mountbatten ne kaha ki khoon ki nadiya behti hai toh bahe kyuki ki ye bahut soch vichar karke ye faisla liya gaya hai nhi toh unhone Gandhi ji se pucha ki aapke paas koi dusra rasta hai toh batatiye? Ye baat suntey hi Gandhi ji ne fauran Vallabhbhai aur Nehru ji se baat ki lekin iss topic par Vallabhbhai aur Nehru ji sehmati the , unka kehna tha ki India ki bhalayi batware mein hi hai. Lekin phir bhi Gandhi ji puri koshish kar rahe the ki aisa nhi ho unhone apne saathiyon se kaha ki unki baat maane aur batware ko rok de kyuki ekta mein rehna hi unki sabse badi takat hai aur agar ye ekta ki dor khul gayi toh bahut muskilo ka saamna karna padh sakhta hai, lekin iss baat par Nehru ji aur Vallabhbhai ke argument ke aage Gandhi ji tik nhi pa rahe the. Vallabhbhai aur Nehru dono ne kaha ki ekta ke liye bhi tyag ek sima tak kiya ja sakhta hai aur Prime minister ka post Jinnah ko dena uss sima ka atikraman Karna hi hoga. Gandhi ji ke iss dawaae se dono disagree the, jisse Gandhi ji ka dil tut gaya tha aur wo ye bhi samjh gaye the ki ab koi aur dusra rasta nhi hai aur aakhir kaar Gandhi ji bhi batware ke liye bahut muskil se maan gaye the.

Batware ke baad kiya hua tha ye unn logo se behtar koi nhi jaanta jinhone ye apni aankhon se dekha tha, India mein uss waqt charo taraf sirf aur sirf khoon aur rone ki awaaze thi, jisse chah kar bhi chup nhi karaya ja sakhta tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

India aur Pakistan ke bich huye yudh saal 1971 mein sirf nuksan yudh ke maidaano mein nhi hua tha, pakistanio ne jaha kahi bhi Indian

Read More »
Mr. India

Mr. India 2

China ke alawa dusre desh, kaafi saalon se AI technique se yukt ek robot banane ki disha me kaam kar rahe hai, jinme se kayi

Read More »
Hera Pheri 3 , Paresh Rawa and Sunil Shetty, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Hera Pheri 3

Professor ki maut ki khabar police ko dene ke baad Raju, Shyam aur Babu bhaiya naksha lekar apne ghar ki taraf jaane lagte hai. Lekin

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​