Black Tiger

Desh ke liye mar mitna har kisi ke bas ki baat nhi hoti hai wo bhi khaas karke spy agent ke roop mein, jab har waqt apke sar par maut mandra rahi ho, Nathan Hale ussi mein se ek the jo apni padhai puri hone baad khud apne mann se spy agent mein jude the aur desh ke liye kaam karne lage. Nathan Hale ka janam Coventry, Connecticut mein 6 July saal 1755 ko hua tha, unka pariwar puritan tha aur colonies mein unki gehri jade thi. Unke purwaz , Robert Hale , saal 1600 ke dasak ki shuruaat mein hi america aaye the, Robert Hale ke bete aur Nathan Hale ke pardada, John Hale ek pastor the jinhone Salem mein infamous witch trails mein bhaag liya tha. Saal 1769 mein Hale ne Yale collage mein apni study shuru kar di thi jo ki ek strictly puritan institution tha jaha se unhone 4 saal baad graduation ki degree hasil ki thi. Graduation ki padhai ho jaane ke baad Hale ne east Haddam mein ek school master ke roop mein aur baad mein ek Connecticut mein new london ke union school mein bhi ek teacher ke roop mein Hale ne kaam kiya tha. Yale mein apni padhai ke dauraan Hale ek secret society ‘brothers in unity’se judd gaye, uske baad jaha unki mulaakat Benjamin Tallmadge se hui thi jo Hale ki ultimately mrityu ke baad Washington ki continental Army mein ek secret millitary vibhaag ke head aur prasid culper spy ring ke founder bane the. June saal 1775 mein Hale ko Tallmadge ka ek letter mila tha jisme colonies ki aur se patriot army mein shamil hone ki strongly orders the, Hale ne naturally roop se Tallmadge ko order ka palaan kiya aur unhone decide kiya ki ab wo apni puri zindagi apne desh ki sewa mein de denge aur spy agent se jakar judd jaayenge. Jaane waqt bhi Hale ne kai aise kaam kiye the jo unke students ko hamesha yaad rahega aur unhe wo hamesha prerit karte rahenge, unhone socha tha ki wo jaane se pahele apne students se jarur milenge lekin waisa nhi ho paya tha kyuki unko turant waha jakar apne posting par join karna tha aur apni mission ko pura karna tha.
Nathan Hale continental army mein aakhir kaar shamil ho gaye aur 1 july saal 1775 ko Connecticut seventh regiment mein lieutenant bann gaye the aur mann hi mann unhone ab thaan liya tha ki ab puri zindagi desh ke naam karenge. Apni regiment ke sath Hale ne Boston ki aur kooch kiya aur sehar ki gherabandi mein unhone bhaag liya tha. Saal 1766 mein Hale ki regiment ko long Island ki ladai mein Washington ki army mein shamil hone ke liye bheja gaya tha. Halaaki hale uss din yudh mein nhi the aur wo dur se hi ladai ke vinashkaari parinaam dekh rahe the. Ladai ke baad hale ne Lieutenant karnal Thomas Knowltons amry mein paheli khufiya point, Knowltons rangers ke roop mein jana jata hai. September ke madhya mein unhone volunteered roop se spy agent banna chaha tha. Nathan Hale ki peshkash Knowltons ki shuruaati hichkichchahat ke waibjud unhe accept kare liya gaya tha aur unhe new york mein dushman ki lines ke pichey ek mission par bhej diya gaya tha, taaki wo waha se jitna ho sake waha ke information yaha bhej sake. 8 September saal 1776 ko Nathan Hale ne apni lines ke pichey british par jasusi karne ke liye khud ko taiyaar kar kiya aur 12 September saal 1776 ko New York sehar mein unko le jaaya gaya tha jaha unhone continental army ke liye jusus ke roop mein kaam shuru kar diya tha, Rogers ne hale ko paihchan liya aur unhe suraksha ki jhuti bhavna ke madhyam se jasusi karne ke liye fhuslaya gaya tha. Rogers aur unke logo ne phir se hale ko pakad kiya aur waha british army ke commander general william Howe ko saup diya gaya tha. Jaha Hale ke liye bahut lambe samaye tak nhi rakha gaya kyuki New York mein unke parichay ke baad ke dino mein unhe pakad liya gaya tha aur 22 September saal 1776 ko unhe phassi de di gayi thi. Nathan Hale ka adhikansh itihaas kisi na kisi rahasy mein duba hua tha kyuki puri tarah se detail description lene ke liye koi social media ya phone nhi tha. Jab Nathan Hale ke baare mein aache se pata kiya gaya toh pata chala ki wo ek aache, imaandar, wafadar aur nek insaan the. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Aashiqui 2

Aashiqui 3

जब से कार्तिक आर्यन की फिल्म भूल भुलैया रिलीज हुई और जिस तरह से कार्तिक ने लोगो के दिल में अपनी जगह बनाई है उसके

Read More »
MUNNA BHAI

Munna Bhai Series

मुन्ना भाई फिल्म ने सिर्फ संजय दत्त, अरशद वारसी के लिए ही नहीं बल्कि उन सभी क्रू मेंबर्स के लिए लकी सबित हुआ जो उस

Read More »
DOSTANA 2

Dostana 2

साल 2019 में धर्मा प्रोडक्शन ने फिल्म ‘दोस्ताना 2’ की घोषणा की थी और इस फिल्म का काम भी जबरदस्त तरीके से शुरू हो गया

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​