Black Tiger movie ki shooting bahut jald shuru hone waali hai aur makers ne iss movie ke liye pahele hi Salman Khan ko final kar liya hai aur iska reason ye hai ki jis tarah se wo movie mein jaan daal dete hai aur toh aur pahele hi inhone apna jadu tiger movie mein dekha diya hai jisse impress hokar makers ne Black Tiger movie ke liye Salman Khan ko final kar liya hai aur aisa ho sakhta hai ki Herbert ki role Black Tiger mein Salman Khan ko miley kyuki kahi na kahi Herbert ka jaisa role hai wo Salman hi aache se nibha paayenge.
Herbert Arthur Philbrick ka janam 11 May saal 1915 ko Rye, New Hampshire mein hua tha . Herbert apne bhai bahen mein wo ek bhai aur uski ek bahen hi thi. Herbert ke pitaji Guy Philbrick Boston aur maine railroad ke ek conductor the toh wahi inki maa Alice May Shapleigh jo ki ek nurse thi aur Herbert inka ek lauta beta tha. Herbert ne apni shuruaati saal mein north ke New Hampshire mein bitaye the aur phir uske baad unki 10 saal ki umar hone se pahele hi apne pariwar ke paas wapas boston chale gaye the. Herbert ne somerville, Massachusetts mein high school mein apni padhai puri ki aur unka samajik jeevan waha ke Baptist Church ke ird-gird ghumta raha tha. Unhone Boston mein Northeastern University ke Lincoln technical school mein night school mein bhaag lene ke liye visham naukriyon mein kaam kiya tha phir saal 1938 mein unhone apni civil engineering ki degree haasil ki lekin baad mein unhone 3 September saal 1939 ko Eva Luscombe se shaadi kar li thi aur uske baad unki 5 beetiyan hui thi. Ghar chalane ke liye kuch dino tak Herbert ne M and P chinema threater mein ek advertising director ke roop mein kaam kiya tha uske baad saal 1942 mein wo Wakefield mein 8 park street ke ek bade ghar jaane se pahele dono couple kuch waqt ke liye Harvard square ke paas cambridge mein reh rahe the. Jab Herbert ko engineering mein koi kaam nhi mil raha tha toh unhone Holmes direct Mail service ke sath ek advertisement ki Naukri shuru kar di thi baad mein saal 1940 mein naye customers ki talash mein unhone cambridge mein Massachusetts youth council ko bulaya aur iss sale call ke jariye wo youth council mein Interest rakhne lage the jiske baad Cambridge mein ek sahayak organization unhone set up karne ki madad ki aur dheere dheere unhe pata chala ki organisation ko niyantrit kaise kiya jata hai aur communist party ko prachar ke liye kaise istemaal kiya jata hai. Unhone waha maujud logo ko ye dikhaya aur jataya ki unko FBI mein rakh liya jaaye taaki wo aache se aapne kaam ko pura kar sake aur aakhir kaar Herbert ko FBI mein rakh liya gaya tha. Saal 1940 ke dasak ke dauraan unhone Boston chehtra mein communist party ke organisation mein as spy agent gaye jisme Wakefield aur baad mein Malden mein shamil ho gaye the. Herbert ki gatividhiyon ko unki patni Eva aur unn do agents ko chhodkar aabhi se secret rakha gaya tha jinke sath Herbert ne saal 1940 se 1949 tak 9 saal ki awadhi mein kaam kiya tha. Ab jab FBI waalo ko pata chal gaya tha ki Herbert advertising mein kaafi hoshiyar hai toh unn logo ne socha ki kyu na issi tarike se unka faida uthaya jaaye aur FBI waalo ne Herbert ko bola ki jis tarike se bhi ho tum bas waha ki information idhar supply karte raho bas, aisa hi hua jaisa FBI ke logo ne kaha tha aur 6 April saal 1949 mein unhone bahut sochne ke baad apne kaam se retirement le liya aur ab unka bacha hua waqt unko khud par aache se bitana tha.
Herbert ab retirement ke baad apne youth waale ghar North Hampton, New Hampshire ke little Boar ke head district mein chale gaye the. Wo pahele ki tarah active rahe aur kai logo ki madad bhi ki aur kahi kahi speech bhi dene jaya karte the. Spy agent waale kaam ne unhe darr ke sath sath naam, izzat aur shauhrat sab diya tha. Unhone apne akhiri dino mein ek dukaan khola tha jiske baad unhone apna pura waqt wahi de diya tha, 16 August saal 1993 mein inki maut ho gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit