Judwaa 3

Hum sab jab bhi bachpan mein kisi bhi Humsakal se related film ko dekhte the toh hame Aisa lagta tha maano ek ko chot lagti toh dusre ko bhi dard hota tha. Ek shararat karta toh dusra maar khata tha, aur uss waqt hame Aisa lagta tha ki ye kaise ho sakhta hai. Kai baar ye bhi suunne mein aata hai ki ek chehre ke total 7 log iss duniya mein hai. Lekin aaj hum ek aise Judwaa logo ki kahaniyon ke baare mein jaanenge jinki sirf shakal hi nhi balki pehchan bhi milti thi wo bhi uss hadd tak ki unhone police aur kanoon ko bhi chakma de diya tha. Jurm ek ne kiya magar police ke saamne dono aa gaye the. Ab kanoon ka toh ye niyam hai ki 100 gunahgaar chhut jaaye magar kisi begunah ko saja nhi honi chahiye. Aur inn dono bhaiyon ne aisa hi kiya tha aur inka naam tha Albert Ebenezer fox aur Ebenezer Albert Fox. Inn dono bhaiyon ka janam saal 1857 mein Symonds green mein hua tha aur inka naam Albert Street par Ebenezer Chapel ke naam par rakha gaya tha, jinme se unke pitaji Henry Fox ek devout supporter the aur unki maa Charlotte fox jo ek straw worker thi aur unke pitaji ke paas 10 acre jameen thi jispar wo kheti karte the. Jab ye dono bhai bade huye toh aksar badmsi ek karta tha aur phas dusra jata tha aur kai baar toh aisa hua tha ki dono itne similar dikhte the ki inko paihchane ke liye inki maa ne dono ke hath mein alag alag ribbons bannd diya karti thi taaki uhne paihchanna muskil nhi hota tha. Dono bhaiyon ne pura bachpan aisa hi bitaya tha wo aksar kuch aisa karte the ki log samjh nhi paate the ki saja kise deni hai. Aisa hi karte karte dono bhai bade huye aur unhone apradh ki duniya mein apne pairr ko pasaarne lage the. Wo aksar kisi dukan mein ghuste aur ek bhai chori karta toh wahi dusra bhai usse bachane ke liye police station pahuch jaaya karta tha aisa karte karte dono bhaiyon ke naam total 200 case darj ho gaye the. Ye dono bhai hamesha chori nhi karte the pahele toh ye dono ek khet mein fox ko pakadne ka kaam kiya karte the toh kabhi kisi bann rahe police station mein majduri ka kaam kiya karte the. Lekin inka sabse interesting chiz tha chori karne ke liye, jinke bhi ghar mein pet animals hotey the unke ghar ghush jaya karta tha unhe biswas dilaya karta tha aur jab unko inn dono bhaiyon par pura biswas ho jata tha toh ye dono bhai unke pet animals ko lekar bhaag jaaya karta tha aur kisi aur ko kam daam mein bechh diya karta tha. Jitna ho sake sirf illegal kaamo ko kiya karta tha taaki jab bhi kuch bura ho toh dono bhai ek dusre ko bacha sake aur hamesha ek dusre ke sath rahe jiske wajah se inn dono bhaiyon ka naam bhi rakha gaya tha Twins fox jo hamesha sath rehte the.
Police waale bhi thak gaye the dono bhaiyon ke jurm se unhone kai koshishe ki taaki unhe pakda ja sake lekin wo har baar ek hi chiz ko bol kar bach jaya karte the. Ek din police waalo ko idea aaya ki kyu nhi finger print ke jariye unhe padka jaaye aur aisa hi hua iss baar jo chori unhone ki thi uski fingerprint aur dono bhaiyon ki fingerprint match ho gayi thi jisse court mein pesh kiya gaya tha. Ab dono bhai samjh gaye the ki ab unka bachnna muskil hai jiske baad unhe saja mili aur jail mein bhej diya gaya tha. 2 October saal 1926 ko Ebenezer ki mrityu ho gayi thi jab wo 68 saal ka tha aur uske baad se albert ne khud ko badal liya tha wo hamesha apne bhai ko yaad kiya karta tha. 20 May saal 1937 ko albert ki bhi mrityu ho gayi thi jab wo 79 saal ke the aur dono bhaiyon ko saint Nicholas church , Stephen’s Cathedral mein dafnaya gaya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Judwaa 3, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Soldier 2

Soldier 2

जब बात सोल्जर फिल्म की आती है तो audience के दिमाग में बहुत सारी चीज़ें आती है कि कैसे अब्बास – मस्तान ने मिलकर उस

Read More »

Gadar 2

  Jab India aur Pakistan mein yudh hua karta tha tab kai aur aisi chize hoti thi jisse yudh ka naam de diya jata tha

Read More »

Tridev 2

Humne kai baar suna hai ki padosi se bada apna koi nhi hota hai sayad issi baat ko Uttar Pradesh ke criminals ne kuch jada

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​