KGF 2

Underworld ki duniya mein ab tak bahut sare bade se bada gangster dekhe Gaye. Unme se kuch Jane Gaye apne kaam se, naam se, khauf se aur kuch Jane Gaye apne deemag se Jesse unhi mein se ek tha Manya Surve . Manya surve ki soch baki gangsters se kaffi alag thi aur apne isi alag tarah ki soch se Manya surve ne apna bada naam banaya underworld mein. Manya Surve saal 1944 mein hi Mumbai mein apne mata pita ke sath aake rehene laga. Manya ne Kirti college se apni graduation khatam ki hai aur Manya ko pehele se hi underworld mein Ruchi thi aur uska bada bhai jo pehele se hi kayi sare jurm kar chuka tha aur jiska pehele se underworld mein connection tha usne Manya ko underworld mein entry karwaya, isiliye college ke time pe hi Manya apni ek gang bana chuka tha apne doston ke sath, us gang roop se Sumesh Desai aur Bhargav Dada as gang ke members the. Manya aur uske gang ka attang itna badh gaya tha ki us time ke bade se bade don bhi Manya se darne lag gaye the. Manya dhire dhire apna khauf Mumbai ke kone kone mein phelane lagta hai. Yahan tak ki us samya ka ek mahan Don Pathaan bhi Manya se darne laga tha jo pichle 2 saloon se mumbai underworld mein raaj kar raha tha. Manya aur uski gang kai sare bade gangs ko madad karte the apne dushman gang ko harane ke liye, yahan tak ki Pathaan bhi apne dushmani gang Keshar group ko harane ke liye Manya Surve ka madad liya tha. Un dino Manya itna mashoor ho gaya tha ki underworld ke bade se bada group Manya se madad lene ke liye ati thi. Manya apne time ka pehela padha likha aur Hindu gangster tha. Yahan tak ate ate Manya ka gang kaffi bada ho chua tha jisme Sekh Munir, Vishnu Patil aur Udaye Jesse gangster shamil ho chuke the.

Manya Surve ko umarked huyi thi ek murder ke jurm mein. Aur Manya jail ke andar Jake pehele se jyada khatarnak aur powerful ho gaya Mano Jesse wo Jail ke andar apni saja katne nehi balki wahan par kesse ek powerfull gangster bana jaye uski training lene gaya ho . Manya jail ke andar bhi apna atang badhane laga dhire dhire karke Manya ka dab daba jail ke andar bhi ho gaya , jail ke andar bhi sare apradhi Manya ko janne aur use darne lag gaye. Manya ne jail ke andar bhi apna ek gang bana liya tha, wo Jail ke andar dusre gang members ko dhund ke unke sath marpit karne lagta tha. Manya ki jail mein badhti huyi atang ko dekh ke prasashan ne Manya ko Ratnagiri jail mein transfer kar diya gaya lekin wahan par bhi Manya ki badmashi Kam nehi huyi balki aur badh gayi . Manya Ratnagiri jail mein bhookhadtall karne laga aur uska bhookhadtall 20 dino ke liye chala in 20 dino mein Manya ne apna bhari wajan ghataya aur uske wajhe se use tez bukhar hua aur use medical mein admit kar diya gaya uska fayeda uthate huye Manya ne police ko chakma dekar jail se farar ho gaya aur sidha Mumbai agaya aur ek naye gang ki shuruwat ki.

Mumbai akar wo apne family ke pas ja sakta ta lekin Manya ne Mumbai ate ate hi apna ek naya gang banane lag gaya wo kaffi chalaki se aur kaffi soch dekh ke apne gang mein logon ko ikatha karta tha . Iss naye gang ke sath Manya ne apni peheli daketi 5 April 1980 ko ki jisme unhone ek ambassador car chori ki. Ratnagiri jail se farar hone ke baad Manya Mumbai mein akar ek flat le liya tha aur wahan pe rehete huye Manya ne apna sari badmashi karta tha, aur dhire dhire Manya dobara Mumbai underworld mein apna naam banaya. Manya ko padhai ka bhi padhai ka bhi shouq tha wo kitaben padhta tha crimes ke upar aur unhi kitabon mein likhi huyi tareekon se crime karta tha. Manya ka crime karne ka tareeka baki sare gangsters se kaffi alag thi . Manya Surve ne ek baar Kanara bank ko bhi luta tha. Manya surve dhire dhire apna atang Mumbai bhar mein badhane lagta hai aur . Manya in dono Mumbai ka ek bahut bada aur kaffi khaufnak don ban chuka hota hai log ab Manya se pehele se jyada darne lagi , Yahan tak Manya ne police walon ko bhi nehi choda ek bar usne ek police wale ke pet mein churi ghusa kar uska murder kar diya tha.Us samay police bhi kaffi active ho chuki thi aur ab police gangsters ko sidha encounter kardeti thi unhe jail mein dalne ke wager. Usi samye inspectior Kisab Bhagwat Raja Rambhat ne Manya Surve ka case apne hathon mei liya aur Manya Surve ke khilaf apna operation shuru kardi. Police dhire dhire bade bade gangster ko giraf karne lage, usi se ghabra kar Manya Mumbai chod diya ke kisi dusri jagah chala gaya. Police ne Manya ke talash mein uske apartment se kai sare illigal weapons , grenade, bom paye.

Akhir mein 1982 mein Maharastra police ke ek encounter mein Manya Surve ki maut Hui. Manya Jesse itne bade gangster ki asli power uski alag tarah ki soch thi , uski sabse alag soch hi use Mumbai ka itna bada gangster banne mein madad ki. Manya bachpan se hi underworld mein Ruchi tha aur mauke pe uska bada bhai jo pehele se kayi sare crimes kar chuka tha wo Manya ko underworld mein leke agaya. Manya apne samye ka sabse bada gangster tha jise marne mein police ko kai takleef bhi huyi , ye mana jata hai ki Daud ne hi police ko Manya ko marne ka tip diya tha.

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pushpa 2

Pushpa 2

पुष्पा फिल्म कि कास्टिंग से पुष्पा फिल्म के डायरेक्टर सुकुमार चाहते थे कि सारे के सारे एक्टर्स और एक्ट्रेस एक बार सुकुमार के ऑफिस जाकर

Read More »

Salaar

Baahubali हमारी इंडियन सिनेमा के लिए एक last era defining film थी, जिसके जरिए एसएस राजामौली साहब ने फिल्में किस तरह से बनाई जाती है,

Read More »
Robot 3.0

Robot 3

एक ऐसा Robot जो इंसानों के दिमाग को control कर सकता है। जैसा कि हमने Netflix की आज तक कि best Sci Fi series Strangers

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​