Charles Shobhraj gunaahon ki duniya ka ek aisa naam tha jisase aam aadmi ke sath sath police wale bhi darte the. Use ‘Bikini killer’, ‘Serpent killer’ jaise naamo se jana jata tha. Shobhraj ka janam saal 1944 mai Saigon mai huya tha. Ye vahi saal tha jab bharat mai असहयोग आंदोलन chalte waqt Mahatma Gandhi ji ki tabiyat kharab ho gayi thi. Or unhe jail se rihaa kar diya gaya tha. Shobhraj ke Pita ek indian the or maa Vietnam ki. Uski mata or pita ne kabhi shadi nahi ki or shayad yahi wajah thi ki uske pita kabhi use accept nahi kar paye. Shobhraj jab chhota tha, tabhi se usne chhori chakari, pocket maari jaise chhote mote apraadh karne shuru kar diye the. Saal 1963 mai Shobhraj ne apne chhori chakari wale kaamo ko badhawa dena shuru kiya. Lekin ab uske hath kisi chhoti cheez par nahi balki badi badi cheezon par saaf hone lage the. Isi ke sath usne Farzi tourist ban kar Logo se unke paise lootna shuru kar diya. Iss kaam ke chalte usne 20 logo ka murder kar diya. Or isme auraton ki ginti zyda thi. Ek din sadak par ghoomte waqt police ne use arrest kar liya. Ye pehli baar tha jab Shobhraj ko kisi saza ke chalte jail jana pada. Agle din Jab Shobhraj ki aakhen khuli toh use apne khud ko ek aise aadmi ke sath paya jo underworld se taalluk rakhta tha. Dono beech mai dosti gehri hoti gayi. Or jail se niklne ke baad bhi dono ne apni dosti ko zaari rakhte huye underworld ke andar hi apne kaamo ko anjaam dena shuru kar diya. Usne bhale hi bachapan se chhori chakari loot paat(पाट) jaise kaam kiye ho, lekin fashion or style mai vo filmy heron ko maat deta tha. Or yahi ek wajah thi ki ladkiya use dekhte hi uss par fidaa ho jati thi. Iss beech Shobhraj ki mulakaat ek ladki se huyi. Jiska naam कॉम्पैग्नॉन tha. Jis din Shobhraj कॉम्पैग्नॉन ko propose karne wala tha usi din police ne usko pakad kar jail mai daal diya. Jahan vo 8 mahine tak band raha.
Jail se nikalne ke baad Shobhraj ne police se bachne or कॉम्पैग्नॉन ke sath apna rishta bachaane ke liye France chhod diya or Mumbai aa gaya. Yahan aakar usne ek beti ko janam diya. Lekin yahan bhi uski chhori chakari band nahi huyi. Apne purane kaamo ke sath sath usne taskari ka kaam karna bhi shuru kar diya tha. Or in sabse uske pass beshumaar paisa aaya. In paison ko police ki nazar se bachaane ke liye usne juaa khelna shuru kar diya. Saal 1973 mai Shobhraj mai ek jewellery ki dukaan lootne ka plan banaya. Lekin is kaam mai vo nakamyaab raha. Or Bhartiya police ne use arrest kar liya. Police arrest karke Shobhraj ko tihaar jail mai le aayi. Vo jitna chhori karne mai maahir tha, utna hi rishwat lene wale officer ko pakdne mai. Jail mai rahne ke dauraan usne police walo se setting kar li. Or ab jail uske liye kisi 5 star hotel se kam nahi tha. Jail mai khane pine ke saamaan se lekar TV tak maujood tha. Shobhraj aksar kehta tha ki “Aaj tak koi aisa jail nahi bana, jo use kaid karke rakh sake.” Jail mai rahte huye Shobhraj par kai case file huye hain. Vo khud ko ‘khud ka vakeel’ kehta tha. Case chahe civil court mai ho ya Supreme Court mai vo apna case khud hi ladta tha. Yahi dekh kar jail ke dusre kaidi bhi usase apne case ki पैरवी karne ke liye aa jate the. Iss beech uski mulakaat ek aise Aadmi se huyi jiske aane Shobhraj ki zindagi mai kaafi changes aaye or usne jail se nikal kar normal life jine ka socha. saal 1984 ki baat hai. Din tha Shobhraj ke birthday ka. Jahan Tihaar mai sabhi kaidiyon ke sath Police wale or Halwdaar bhi mil kar uske birthday ka cake kaat rahe the. Lekin kisi ko bhi iss baat ki bhanak tak nahi thi ye Shobhraj ki agli chaal sabit hone wali hai. Usne apni patni ki madad se cake mai Nasheeli dawaiyaan milaayi Or sabke behosh hone par vahan se bhaag nikala. Lekin saal 2003 mai Shobhraj jab Nepal mai ghoom raha tha toh use Nepali police ne arrest kar liya. Jiske baad use aajeevan karavaas ki saza sunayi gayi.