Raju ek shaitani hasi hasne lagta hai, Babu bhaiya kehte hai “ ae halkat hass kya raha batana iss paper mein kya hai ?”. Shyam ( Sunil Shetty ) kehta hai “Babu bhaiya lagta hai ye Raju paagal ho gya hai”, to Babu bhaiya kehte hai “aree Deva ab iske ilaaj ke liye paisaa kidhar se aayega re Baba”. Raju un dono se kehta hai ki jab tumhe pta chalega to tum bhi Khushi ki vajah se paagal ho jaoge, to Babu bhaiya kehte hai “aree devaa fir hum teeno ka ilaaj kaun karvayega isliye tu mereko mat bata mereko paagal hone ka hi nhi hai re”. Fir Raju un dono ko batata hai ki ye khajaane ka naksha hai, Shyam kehta hai “kya kuch bhi bol raha hai”. Raju Shyam ki baat ko ignore karte huye Babu bhaiya se poochta hai ki aapko ye naksha kahan se Mila, to Babu bhaiya batate hai ki mandir mein ek aadmi unse takra gaya tha or uske pass se ye paper neeche gir gaya tha to mene utha liya.
Shyam Raju se kehta hai tujhe kaise pta ki ye naksha asli hai, nakli bhi to ho sakta hai. To Raju kehta hai “pta hai, bas mujhe pta hai”, Babu bhaiya kehte “to la Mera khajaana de mereko”. Raju kehta mein khajaana Jeb mein lekar thode hi ghoom raha hu, vo to humein dhoondhna padega na. Hum dekhte hai ki Raju Babu bhaiya aur Shyam ko khajaana dhoondhne ke liye mna raha hota hai, tabhi shyam ko gaana sunai deta hai “golmal hai bhai sab golmal hai”. Shyam poochta hai aap logon ne koii gaana suna to Raju kehta “ e chalna yrr chup na abhi”. Babu bhaiya Raju se poochte hai ab aage kya karna hai, to Raju kehta hai ki humein sabse pehle uss aadmi ko dhoondhna padega jiske pass se Babu bhaiya ko naksha mila tha. Shyam kehta hai “or vo aadmi humein kaise milega, vo kya humare pass khud chalkar aayega” ? Raju kehta hai vo aadmi Babu bhaiya se Mandir ke pass takraya tha, to ho sakta hai vo abhi bhi vahi kahin aaspass ho. Iske baad Hum dekhte hai ki vo teeno us aadmi ko dhoodhne ke liye mandir jaate hai, or aaspass ki jagah par us aadmi ko dhoondhne lagte hai.
Tabhi un teeno ko vo aadmi ek under-construction building mein marne ki haalat mein milta hai, vo teeno jaldi se us aadmi ke pass jaate hai. Shyam kehta hai ki humein ise doctor ke pass le jaana chahiye lekin Raju mna karta hai, or kehta hai ki agar hum ise doctor ke pass lekar Gaye to hum fas sakte hai. Isi baat ko lekar Shyam aur Raju ke beech behes hone lagti hai, tabhi vo aadmi Raju ke haath mein naksha dekh leta hai. Vo aadmi kuch kehne ki koshish karta hai lekin Shyam aur Raju ki behes ke beech vo kuch bol nhi paata hai. Babu bhaiya dekh lete hai ki vo aadmi kuch kehne ki koshish kar raha hai, Babu bhaiya Raju aur Shyam se chup hone ke liye kehte hai lekin vo chup nhi ho rahe hote hai. Isliye Babu bhaiya ek jordaar thappad Raju ko jad dete hai, Raju Babu bhaiya se poochta hai “aapne thappad kyun maara” ? Babu bhaiya kehte hai vo bichara Marta hua aadmi kuch kehne ki koshish kar raha hai, uski bhi to sun lo. Babu bhaiya us aadmi se kehte hai “ bol Bhai, tu bol”, fir Vo teeno us aadmi ki baat sunne lagte hai. Vo aadmi unhe batata hai ki vo archeology ka ek professor hai, or jo naksha Raju ke haath mein hai vo uska hi hai. Vo aadmi unhe ye bhi batata hai ki Mumbai ke bahar ek pracheen khandar hai, jiske aaspaas khajaana hai or Jo naksha Raju ke pass hai vo usi khajaane ka naksha hai. Vo aage unhe batata hai ki iss khajaane ke peeche Cobra gang ka boss pada hua hai, jo ki kaafi khatarnaak aadmi hai, or itna kehkar vo aadmi apna dum tod deta hai. Raju ek public telephone booth se police ko us aadmi ke maut ki jaankari deta hai.
Kya Raju , Shyam aur Babu bhaiya khajaana dhoondh paayenge ? Kya Cobra gang ke haath lagega khajaana ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.