Hera Pheri 3

Raju ( Akshay Kumar ) aur Shyam ( Sunil Shetty ) dekhte hai ki DK ( Mukesh Tiwari ) ke aadmi Babu bhaiya ko jabardasti uthakar le jaa rahe hai. Shyam Raju se kehta hai ki “humein Babu bhaiya ko bachaana chahiye”. Raju kehta hai,”agar hum Babu bhaiya ko bachaane Gaye to hum bhi pakde jaayenge”. Shyam Raju ko yaad dilaata hai ki naksha to Babu bhaiya ke hi paas hai. Raju kehta hai “aree yrr ye Babu bhaiya bhi na”.

Jiske baad hum dekhte hai ki Raju aur Shyam Babu bhaiya ko bachaane ke liye DK ke aadmiyon ke pass jaate hai, or unse Babu bhaiya ko chodne ke liye kehte hai. Babu bhaiya ye dekhkar emotional ho jaate hai ki Raju aur Shyam unhe bachaane ke liye aaye hai. Babu bhaiya emotional hote huye kehte hai “ baba re baba, Deva re Deva mein to tum dono ko haraami samjhta tha lekin tum to dev manush nikle. Tum dono Babu Roa ko bachaane ke liye aaye”. Raju kehta hai “hum aap ko nhi aapke pass jo naksha hai use bachaane ke liye aaye hai”.bitna sunte hi Babu bhaiya ke expressions change ho jaate hai or vo “ chamailla” kehte huye Raju ko maarne ki koshish karte hai. Lekin DK ke aadmi Babu bhaiya ko pakad lete hai. Babu bhaiya unse kehte hai “chod re mere ko chod, Aaj mein iss Raju ki khopdi todunga”. Shyam DK ke aadmiyon se kehta hai “Babu bhaiya ko chod do varna achaa nhi hoga”. DK ke aadmi hasne lagte hai or apni gun nikaalte hai. DK ke aadmi Raju aur Shyam par gun point krte hai. vo un teeno ko car mein bithakar apne boss DK ke pass le jaate hai.

Jab Shyam, Raju aur Babu bhaiya DK ke pass pahunchte hai, to DK unse khajaane ka naksha maangta hai. Vo teeno pehle to mna karte hai ki, unhe nakshe ke baare mein kuch bhi nhi pta hai, lekin jaise hi DK apni gun nikaal kar Babu bhaiya ke sir par rakhta hai toh, Babu bhaiya ghabraa jaate hai or apne banyaan mein se naksha nikaal kar de dete hai. DK bohot jor se hasne lagta hai or kehta hai ki, ye gun to nakli thi. Vahan par mojood sab log hasne lagte hai, Raju Shyam aur Babu bhaiya bhi jor jor se hasne lagte hai. Tabhi Raju DK ke haath mein se naksha cheen leta hai or idhar udhar bhaagne lagta hai. ab vahan par bhaagam bhaag chalu hoti hai. Kbhi naksha Raju ke pass hota hai, kabhi Shyam ke pass, toh kabhi Babu bhaiya ke pass. Kuch der Tak chali iss bhaagam bhaag ke baad DK apni gun nikaalkar Raju ke upar taan deta hai. Babu bhaiya haste huye kehte hai “abhi tune hi to bataya tha ki ye gun nakli hai to ab hum isse darenge thode hi, kya yeda hai re tu “. DK apne chehre par smile laate huye Babu bhaiya ke pairo ke pass goli chala deta hai. jaise hi goli chalti hai vaise hi Babu bhaiya darr ki vajah se koodkar Shyam ki god mein aa jaate hai. Babu bhaiya kehte hai “ ye Raju tu isko naksha de de re baba dede”. Raju thodi der sochta hai or us nakshe ko faadkar kha jaata hai. Babu bhaiya, Shyam aur DK shock ho jaate hai. DK gusse mein kehta hai ki “ye tune kya kar diya” or vo Raju ke sir par gun taan deta hai. Raju kehta hai,” agar tumne mujhe maar diya to tumhe khajaana kabhi nhi milega”. DK kehta hai,”vo to vaise bhi nhi milega kyunki tune naksha Jo kha liya hai”. Raju kehta hai,” naksha hai”. DK poochta hai ki kahan hai toh, Raju kehta hai ki naksha uske dimaag mein hai. Raju aage kehta hai ki usne naksha padh liya tha or use achee se pta hai ki khajaana kahan hai, lekin vo khajaane ka raasta tabhi batayega jab use bhi khajaane mein se hissa milega. DK thodi der sochta hai or iss baat ke liye Maan jaata hai.

Ab Hum dekhte hai ki vo sab log milkar Mumbai ke bahari ilaake ke ek khandar mein jaate hai. DK Raju se poochta hai ki khajaana kahan hai. To Raju nakshe ko thoda yaad karta hai or DK se ek jagah khudaai karne ke liye kehta hai. DK apne aadmiyon se us jagah par khudaai karvaata hai. kaafi der khudaai karne ke baad vahan se ek box nikalta hai. Jab DK us box ko kholkar dekhta hai to usme gold coins or jwellery hoti hai. Ye dekhkar sabki aankhein fati ki fati reh jaati hai. Babu bhaiya apni dhoti failaate huye DK ke pass jaate hai or usse kehte hai “la bhai la jaldi se Mera hissa la”. DK ek shaitani hasi ke saath kehta hai ki,” tumne mujh par yakeen bhi kaise kar liya ki, mein tumhe khajaana de dunga”, or itna kehte huye vo un teeno ke upar gun taan deta hai. Shyam DK se kehta hai ki “ab to aapko khajaana mil gaya hai ab to humein jaane dijiye, aap saara khajaana rakh lijiye”. DK kehta hai ki,” tum log iss baat ke iklote gavaah ho ki khajaana mere pass hai isliye mein tumhe kaise chod du”. DK gun chalaane hi wala hota hai tabhi vahan par police aa jaati hai or DK aur uske aadmiyon ko pakad leti hai. Darasal, DK ki gang ka member police ka khabri tha, jisne police ko DK or khajaane ke baare mein bta diya tha. Police ke aa jaane se Raju, Shyam aur Babu bhaiya bhi Bach jaate hai. police vahan se DK ko arrest karke le jaati hai or khajaane ko bhi apne kabje mein le leti hai. Raju police se jaakar kehta hai ki “sir humne apni jaan par khelkar DK ko pakadvaya hai to humein bhi kuch inaam milna chahiye na”. Police kehti hai ki,”hum tumhe arrest nhi kar rahe hai yahi tumhare liye inaam hai varna jo tumne nakshe ke baare mein police se chupaya tha to iss jurm me hum tumhe arrest bhi kar sakte hai”.

End mein hum dekhte hai ki itni kashmakash ke baad bhi un teeno ke haath kuch nhi lagta or vo teeno vaapas apne chawl jaane lagte hai. Or isi ke saath ye kahani yhi par end hoti hai.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

judwaa 3

Judwaa 3

जुड़वा फिल्म जितना देखने में आसान लगता है शूट करना, उतना होता नहीं है । हमें लगता है कि, जिसने डबल रोल प्ले किया है

Read More »
JUDWAA 3

Judwaa 3

सभी जानते हैं कि साजिद नाडियाडवाला ऐसे producer में से है जिन्की हर फिल्म या तो सुपरहिट होती है या ब्लॉकबस्टर बन जाती है। ख़ासकर

Read More »
Singham 3

Singham 3

Sixteen saal ka Karanbeer waise toh apni maa ka ladla tha, magar uska jigra bahut bada tha. Usse zyada darr nahi lagta tha, aur apne

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​