Jawan

Kahani ki shuruaat hoti hai Sehar mai lage ek bahut bade mele se. Jahan Saikdon ki bheed jama hai. Or usi bheed mai Army officer Surya bhi apni Patni Amira or 8 saal ke bete Veer ke sath maujood hai. Tabhi Amira Surya ko tokte huye kehti hai, “kya kar rahe ho Surya? Yahan aaye ho toh enjoy karo na.” Surya kehta hai, “Are biwi, main toh enjoy hi kar raha hu. Vo toh bas Uhi…” Amira kehti hai, “Bas bas, rahne do, sab pata hai mujhe. Mere sath rahte huye bhi tumhe desh ki hi chinta satati rahti hai.” Surya kehta hai, “Are tum ek Jawan ki biwi hokar aisi baate karti ho?” Tabhi Surya ke phone ki ghanti bajti hai. “Hello Surya, main bol raha hu Rajesh.” Rajesh Surya ka bahut acha or purana dost hai. Rajesh humesha se hi paison ke piche bhaagne wala insaan hai. Uske liye sahi or galat kuch bhi matlb nahi rakhta hai. Use matlab hai toh bas paison se. Phir uske liye chahe Rajesh ko kuch bhi karna pade. Or iss baat ke liye Surya bhi usko kai baar mana kar chuka hai. Surya kehta hai, “Haa Bolo Rajesh.” Rajesh kehta hai, “Mujhe maaf karna yaar. Maine tumhari baat nahi maani. Lekin ab mujhe samjh aa chuka hai. Kya tum idhar Cinema complex ki parking mai aa sakte ho?” Surya haa mai jawab dete huye kuch deir baad hi complex ki parking mai pahuch jata hai. Surya Rajesh se hath milata hai. Surya ke sath Amira or Veer bhi hain. Rajesh kehta hai, “Mujhe maaf karna yaar.” Or gale milta hai. Gale hi milte hi Rajesh Surya ko peeth par chaaku maar deta hai. Or Surya vahin gir jata hai. Ye dekh kar Amira chilla padti hai or Rajesh ki collar pakad huye kehti hai, “Ye tune kya kiya?” Rajesh Amira ko dhakka maar deta hai or use bhi chaaku maar deta hai. Veer ko rota huya dekh Rajesh usase kehta hai, “Rota kyu hai? Mere sath chal tujhe tere baap jaisa toh bilkul bhi nahi banaunga.” Rajesh Veer ko lekar vahan se chala jata hai.

Kahani mai 15 saal ka leap aata hai. Scene mai DIG ka cabin dikhaya jata hai. Tez kadmo ki aahat se ek police inspector jiska naam Veer hai, andar aate huye poochta hai, “May I come in sir.” Veer 23 saal ka ek naujawan ladka hai. Jisne kuch waqt pehle hi Police department join kiya hai. DIG Sunil Malhotra kehta hai, “Aao Veer, baitho. Mujhe bataya gaya ki tumhe kuch zaruri information mili hai?” Inspector Veer kehta hai, “ yes sir, Sir mujhe information mili hai ki Agle 1 mahine ke andar sehar ki kai prominent personalities par hamla hone wala hai. Jisme humare police department se lekar politicians parties tak sab par khatra mandara raha hai.” DIG sochte huye kehta hai, “Bahut acha kiya tumne jo ye baat kisi ko na bata kar direct mujhe batayi. Ek kaam karo jald se jald ek team taiyaar karo or iss master plan ke piche jo koi bhi hai uska pata Lagao.” Veer kehta hai, “Sure Sir. main aaj hi kaam par lag jata hu. Jai hind.” Aisa keh kar Veer DIG ke cabin se nikal jata hai. Veer ke jate hi DIG ek phone milata hai or kehta hai, “Ha kahan ho? Tumhara dimag toh theek hai? Yahan hum sab ki band bajne wali hai or tum holiday enjoy kar rahe ho.” Phone ke dusri taraf maujood shaksh, jiska chehra nahi dikhayi de raha hai, kehta hai, “Kya huya? kyu pareshaan ho rahe ho?” DIG kehta hai, “Veer aaya tha mere pass. Usne mujhe kuch bataya hai.” Vo shaksh kehta hai, “Oh vo, Abhi abhi police mai aane ka pagalpan chadha hai uss par. Thoda wait karo. Use bhi line par le aayenge.” DIG kehta hai, “ Kal ke kal tum sehar mai wapas aa jao. Or haa ye baat sabko bata dena ki main sabse baat karna chahta hu.” DIG phone rakh deta hai. Idhar Veer apne cabin mai pahuchta hai. Or DIG ke diye order par kaam karne lagta hai. Tabhi Veer ke pass ek message aata hai. Veer phone utha kar dekhta hai. “Aisa message kaun bhej sakta hai?” Veer message dekh kar sochne lagta hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Mogul

Mogul

टी-सीरीज के मालिक भूषण कुमार ने आमिर खान को रिक्वेस्ट की‌ थी कि वह गुलशन कुमार की बायोपिक Mogul में काम करें। वैसे अभी तक

Read More »
War 2

War 2

फिल्म वॉर की success के बाद फिल्म के डायरेक्टर सिद्धार्थ आनंद और एक्टर ऋतिक रोशन को एक इंटरव्यू के लिए बुलाया गया था और उस

Read More »
Krrish 4, Hrithik Roshan and Priyanka Chopra by Utkarsh Mishra bollygradstudioz.com

Krrish 4

Krrish-3 me jaisa ki humne dekha ki Rohit Mehra ek aisi device pe research kar raha tha, jo dead tissues ko solar energy ki madad

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected