Director Kabir khan Or Bhaijaan mil kar ek baar phir se saal 2015 ki film ‘Bajrangi Bhaijaan’ ke sequel par kaam karne ja rahe hain, jiska naam hoga ‘Pawan Putra Bhaijaan.’ Salman ke alawa iss film mai Kareena Kapoor khan, Harshaali Malhotra, Mir Sarwar, Meher Vij or Nawazuddin Siddiqui jaise kalakaar shamil ho sakte hain. Jaisa ki humne aapko bataya tha ki kahani mai Pawan yani Salman khan Munni ke desh pahuchta hai. Idhar munni yani Harshaali Malhotra Kisi dusre mulk mai Dulhan ki tarah sazi huyi dikhayi deti hai. Pawan or Chaand Nawab yani Nawazuddin Siddiqui police station jate hain. Police station ke bahar niklte hi Pawan ki nazar ek aadmi par padti hai. Jo kaafi deir se unka picha kar raha hai. Pawan ishare se chaand nawab se kehta hai, “Chaand Bhai, uss aadmi ko dekh rahe ho?” Chaand Nawab kehta hai, “Kaun bhaijaan” Pawan use vo aadmi dikhata hai jo police ki gaadi ke piche chipa huya hai. Thodi der baad Vo aadmi dekhta hai ki vahan se achanak hi sab gayab ho gaye hain. Bahar niklte huye vo aadmi khud se poochta hai, “Sab kahan chale gaye?” tab tak Pawan or chaand Nawab uske saamne aakar khade ho jate hain. Chaand Nawab use maarte huye kehta hai, “Bata tu hai kaun? Or kyun humara picha kar raha hai.” Vo aadmi apna naam Faizi yani Paras Arora batata hai. Chaand Nawab poochta hai, “Or humara picha kyu kar rahe the?” Faizi kehta hai, “Nahi main kahan aapka picha kar raha tha.” Pawan kehta hai, “Chaand Bhai, ise police ko de dete hain. Tab ye sach batayega.” Tabhi Faizi Hath peir jodne lagta hai. Or unhe batata hai ki vo usi agency ke maalik ke liye kaam karta hai, jo sehar ki ladkiyon ke liye rishte suggest karta tha. Chaand Nawab kehta hai, “Aakhiri baar vo tumse kab mila tha?” Faizi kehta hai, “Takriban.. Ek mahina pehle. Uske baad vo kahan hai mujhe bhi nahi pata. Lekin haa, vo har Sunday ko mujhe phone karte hain sehar ka haal chaal lene ke liye.” Chaand Nawab kehta hai, “Or aaj Sunday hi hai. Chal aaj pura din tu humare sath rahega.”
Agle scene mai Munni ka number aa jata hai. uska Shauhar Zubair yani Ali Baldiwala room mai aate huye kehta hai, “Chal tera number aa gaya. Or muh apna band rakhna. Samjhi.” Zubair Munni ko bahar laata hai. Bahar baitha Shaikh Munni ko upar se niche dekhta hai. Or muskurate huye Zubair se kehta hai, “Ladki bahut achi hoti. Lekin ye final tabhi hoti, jab humare Shaikh sahab ki razamandi hoti.” Zubair kehta hai, “Ha ji Shaikh sahab, bade sahab ko dikha lijiye.” Shaikh kehta hai, “tum vahan Intzaar karti, jab humare Shaikh Sahab aati toh hum tum dono bulati.” Zubair Munni ko lekar wapas kamre mai aa jata hai. Munni ro ro kar haklaate huye kehti hai, “Hume ek baar apppni ammi abbu se baat karne dijiye.” Zubair uske paas aata hai. Or uske baal par hath pherta hai phir agle hi pal uske baal nochte huye kehta hai, “Ammi Abbu baad mai. Abhi sirf main hu samjhi. Pehle mera kaam ho jaye, phir teri baat karwaunga.”
Idhar Pawan or Chaand Nawab Faizi ke sath mil kar Uss agency ke maalik ke phone ka intzaar kar rahe hain. Pawan kehta hai, “Kab aayega phone?” Tabhi phone ki ghanti bajti hai. Faizi kehta hai, “Usi ka phone hai.” Pawan kehta hai, “Speaker par rakho.” Faizi phone uthate huye kehta hai, “Haa bhaijaan, aapke hi phone ka intzaar tha.” Phone ke dusri taraf ka shaksh kehta hai, “Vahan sab theek toh hai na?” Faizi kehta hai, “Ji bhaijaan, sab theek hai. Aap yahan kab aayenge?” Vo aadmi kehta hai, “Main Parso subah tak vahan pahuch jaunga.” Tisre din Faizi Station par khade hokar apne maalik ka intzaar karta hai, or idhar Pawan or Chaand Nawab chip kar ye sab dekh rahe hain. Jaise hi vo aadmi aata hai, Faizi ishare se Pawan or Chaand Nawab ko bula leta hai. Uss aadmi ne muffler se apna chehra dhak raha hai. Vo aadmi jaise hi Faizi ke pass pahuchta hai, Pawan or Chaand Nawab use pakad lete hain. Chaand Nawab uska muffler hatate huye kehta hai, “Tu?”