Pawan Putra Bhaijaan

kahani mai Pawan or Chaand Nawab police station ke bahar se Faizi ko pakad lete hain. Faizi apne maalik ke aane ki khabar deta hai. Chaand Nawab uss aadmi ka muffler hatata hai toh uska dost Kamil nikalta hai. Chaand Nawab kehta hai, “Tu? Tu bahar kab gaya? Tu hai agency ka maalik?” Kamil kehta hai, “Are bhaijaan kaun maalik kaun agency?” Tabhi Faizi kehta hai, “Maaf kijiyega, mujhe laga yahi hain. Vo inhi ke jaise hai na toh galatfahami ho gayi.” Idhar kahani mai dusre Mulk mai maujood Munni or uska Shauhar Zubair bade Shaikh ke aane ka intzaar kar rahe hain. Zubair ghadi dekhte huye kehta hai, “Itni deir ho gayi. Ye bade Shaikh aaye kyu nahi?” aisa kehte huye Zubair bahar chala jata hai. Tabhi Munni ki nazar Zubair ke phone par padti hai. Munni mauke ka fayda utha kar Zubair ke phone se apne ghar phone lagati hai. Rasia uss waqt namaaz padhti rehti hai. munni baar baar Allah se phone ko uthane ki dua maang rahi hai. Phone ke na uthane par Munni uss number par ek message kar deti hai. Call details or Message delete karte waqt hi vahan Zubair aa jata hai. Munni ke hath mai apna phone dekh kar Zubair kehta hai, “Aee, kya kar rahi thi tu? Haa bata? Zyda chalaki nahi. samjhi? Chal Shaikh sahab aa gaye hain.” Munni or Zubair bahar aate hain. Shaikh Munni ko upar se niche dekhta hai. Or muskurate huye kehta hai, “Ye ladki wakai bahut khoobsurat hoti. Hum Allah ki banayi kaarigari par daag nahi lagana chahti. Isliye hum ye faisla karti ki hum iss ladki se nikaah karti.” Nikaah ka naam sunte hi Munni haklaate huye kehti hai, “Leeekkiinnn humara nikaah toh” Zubair uska haath daba kar use shaant kara deta hai or kehta hai, “Ji Janaab. Hum toh aapke gulaam hai. Aapko gulaab dena humara kaam hai, baaki aapki marzi, uss gulaab ka jo bhi kare. Lekin humari majdoori yaad rakhiyega.” Shaikh Hasta huya apni jeb se Kuch paise nikaal kar Zubair ko deta hai.

Rasia namaaz khatam karti hai or phone utha kar dekhti hai toh uske hosh udd jate hain. Vo daudti bhaagti Rauf ke pass jati hai. Rauf uss number par phir se phone milata hai. Lekin iss baar number switch off batata hai. Rauf chaand Nawab ko phone lagata hai. Idhar Chaand Nawab or Pawan chip kar Agency ke maalik ka intzaar kar rahe hain. Phone ki ghanti bajti hai. Chaand Nawab phone dekhte huye Pawan se kehta hai, “Bhaijaan, Munni ke abbu ka phone aa raha hai.” Pawan kehta hai, “Phone uthaiye.” Chaand Nawab phone uthata hai. Udhar se Rauf use Puri baar batata hai. Chaand Nawab phone rakhte huye Pawan se kehta hai, “Bhaijaan unke phone par Munni ka message aaya hai.” Pawan turant jane lagta hai. Tabhi chaand Nawab kehta hai, “Lekin bhaijaan vo Agency wala?” Pawan Faizi ko phone milata hai or kehta hai, “Dekhiye, abhi toh hum ja rahe hain. Lekin agar aapne apne maalik ke sath mil kar koi chalaki ki toh hum police ko sab kuch bata denge.” Faizi unhe bharosa rakhne ko kehta hai. Pawan or Chaand Nawab Rasia ke ghar pahuchte hain. Jahan Pawan apne phone se uss number par phone karta hai or bell jane lagti hai. Zubair apna phone dekhte huye kehta hai, “Ye Hindustan ka number mere phone par?” Pawan Chaand nawab ko phone pakda deta hai. Chaand Nawab kehta hai, “Are beta sab khairiyat se toh Mumbai mai? Tum toh aise gaye beta ki aaye hi nahi.” Zubair kehta hai, “Are aap kaun bhai? Or ye Mumbai nahi Saudi Arabia phone milaya hai aapne.” Chaand Nawab kehta hai, “Theek hai beta, aate huye Burj khalifa lete aana mere liye.” Or phone kaat deta hai. Zubair kisi pagal insaan ka phone samjh kar iss baat ko nazar andaaz kar deta hai. Rasia kehti hai, “Haa Zubair ke abbu ne kaha tha ki unka beta vahan naukari karta hai. Pawan kuch sochne lagta hai. Tabhi Chaand Nawab poochta hai, “Kya huya bhaijaan?” Pawan kehta hai, “Iss sach ko bahar laane mai ek Hindustani humari madad kar sakta hai.”

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Krrish 4

Krrish 4

फिल्म क्रिश के बाद एक्ट्रेस रेखा जी का क्या हुआ फिल्म में ये बात कोई भी नहीं जानता है, और जब मेकर्स से पूछा जाता

Read More »
Aashiqui 3 , by kiran yadav , bollygradstudioz.com

Aashiqui 3

आशिकी 2 को बनाने के लिए जितनी मदद महेश भट्ट ने की थी उतनी मदद शायद ही कोई दूसरा प्रोड्यूसर करता होगा क्योंकि महेश भट्ट

Read More »
Bhool Bhulaiya 3, Kartik Aaryan,Bollygrad Studioz ,bollygradstudioz.com

Bhool Bhulaiyaa 3

महराष्ट्र राज्य के नांदेड़ गाँव के पास रायपुर इलाके में आज भी खून की प्यासी डायनों का बसेरा है। वहा पर रहने वाले लोगो का

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​