Salaar

Kahani mai Rajesh Raja ko bahane se Mumbai sehar bhej deta hai. Vahan jakar Raja ki mulakaat Surya se hoti hai. Raja ko pata chalta hai ki Rajesh ne Bandargaah ka maalik banne ke liye use Jhooth bol kar yahan bheja hai. Sehar mai election ki Taiyaariyaan chal rahi hai. Surya kisi se phone par baat karte huye kehta hai, “Haa, vahan se or bhi hathiyaar mangwao. Election ka waqt hai or jab tak dange na ho, tab tak maza nahi aata.” Raja uski baate sun leta hai. Or kehta hai, “Seth, tumko ye sab maal kahan se milta hai?” Surya kehta hai, “Ye? Ye toh hum videshon se mangaate hain.” Raja baaton baaton mai Surya se ye pata kar leta hai ki Desh mai sabse zyda demand kis hathiyaar ki hai or kaun kaun ise zyda khareedte hain. Ek din Surya Raja ke paas aata hai or kehta hai, “Raja aaj se tum mere Mumbai wale port ke maalik ho. Vahan ki puri jimmedaari tumhari.” Raja bas isi mauke ki talaash mai rehta hai. Agle din se Raja Bandargaah par aane wale sabhi jahaajon ko apne kabze mai le leta hai. Or Jahaaj par kaam karne wale har ek aadmi ka naam or pata apne diary mai likh leta hai. Jahaaj par kaam karne wala ek aadmi kehta hai, “Are sahab, aap ye huliya bana kar kahan ja rahe hain? Beech samudra mai uss waqt jayenge toh aayenge kab?” Raja kehta hai, “Tum uski fikra mat karo. Mujhe kuch nahi hoga.” Agle scene mai Raja ek Naav lekar samudra ke beech mai pahuch jata hai or Suraj ke dhalne ka intzaar karne lagta hai. Suraj ke dhalte hi use phir se vaise hi aawaze aane lagti hai. Tabhi Raja dekhta hai ki uski naav par ek bomb aa gira. Vo turant paas khade samudri looteron ke jahaaj par chaddh jata hai or ek zordaar dhamake ke sath puri naav ke chithade udd jate hain. Raja andar se aane wali aawazon ka picha karta huya chori chipe Samudra ke sabse niche hisse par pahuchta hai. Jahan vo dekhta hai ki Kam se kam hazaaron ki ginti mai log door rakhe ek jahaaj se vaise hi heere khoj rahe hain jaise usne bachpan mai apne maalik ko diye the. Ye samudri Lootere koi Lootere nahi balki usi ke jaise aam aadmi hain. Lekin Raja ko ye baat samjh nahi aati hai vo sabhi aadmi itne gehrai mai saans kaise le rahe hai. Tabhi use mehsoos hota hai ki vo bhi bina kisi pareshaani ke itni deir se Samudra mai hai. Kuch logo ko aate dekh Raja vahan se chala jata hai.

Agle din Raja Surya ke pass pahuchta hai or kehta hai, “Seth, tumko mere upar kitna bharosa hai?” Surya kehna hai, “Kya mazak kar rahe ho Raja? Tum itne waqt se yahan kaam kar rahe ho tum par bharosa kyun nahi hoga?” Raja kehta hai, “Agar Bharosa hai toh ye election mai main khada hona chahta hu. Or ye wada karta hu ki kisi bhi haalat mai jeet kar dikhaunga.” Surya Raja ki baat maan jata hai. Or Raja ke posters har jagah lagwa deta hai. Raja gareebon ke pass jakar kehta hai, “Agar main iss election mai jeet gaya toh aapko khane ki kabhi bhi kami nahi hogi.” Vahin Sabhi sharaabiyon se dry day ke din bhi Sharaab milne ka wada karta hai. Surya Raja ki taiyaari dekh kar khush ho raha hai. Idhar Rajesh Ko jab iss baat ka pata chalta hai toh vo ek chitthi likhta hai. Jisme likha rehta hai, “Raja ne apne peir failaane shuru kar diye hain. Agar uske peir tum logo tak pahuch gaye toh uske haatho ko tumhari gardan tak aane mai zyda waqt nahi lagega. Savdhaan!” Rajesh ye chitthi Apne aadmi ke sath Samundar ke beech pahucha deta hai. Jaise hi vo aadmi Chitthi pahucha kar wapas aata hai, uske jahaaj mai ek zordaar dhamka hota hai. Rajesh ye dekh kar muskurate huye kehta hai, “Main kisi ko bhi apna raaz pata chalne nahi dunga.” Agle scene mai Raja Election jeet jata hai. Surya Raja ke pass aata hai or use gale lagate huye kehta hai, “Ab tumhara maqsad kya hai vo toh batao?” Raja kehta hai, “Mera maqsad jald hi sabko pata chal jayega.” Raja ke phone ki ghanti hai, “Rajesh ne ye khabar un tak pahucha di hai ki tum unke liye ek bada khatra ban’ne wale ho.” Or phone cut ho jata hai. Raja ye sun kar tez tez hasne lagta hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Master , Salman Khan, By Jaya Shree bollygradstudioz.com

Master

Charles Shobhraj gunaahon ki duniya ka ek aisa naam tha jisase aam aadmi ke sath sath police wale bhi darte the. Use ‘Bikini killer’, ‘Serpent

Read More »
Judwaa 3

Judwaa 3

जुड़वा फिल्म के director डेविड धवन हमेशा से ब्लॉकबस्टर कॉमेडी film को बनते आ रहे हैं. जब उन्होंने जुड़वा फिल्म बनाई थी तो डेविड काफी

Read More »
Animal

Animal

फिल्म एनिमल एक ऐसी फिल्म होने वाली है जिसके हर सीन में violence होगी और अब जब मेकर्स ने इसकी announcement कर दि है तब

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​