kahani mai Raja ko jahaaj par se ek chamkeela patthar milta hai. Jise vo jahaaj ke maalik ko de deta hai. Kaam se paise milne ke baad Raja ko ghar mai Kasturi zakhmi haalat mai milti hai. Padosi use batate hain ki ye haalat Baniye ke aadmiyon ne ki hai. Raja God (गोद) mai apni maa ko liye rehta hai, tabhi Kasturi dam tod deti hai. Agle din baniya apni dukaan kholne ke liye aata hai. Or dekhta hai ki saamne kisi ki laash padi hai. “Sala, ye kaun so raha hai subah subah meri dukaan ke aag?” Baniya use ek dande se hilaane jata hai tabhi use ek zordaar laat padti hai. Baniya dekhta hai ki use maarne wala koi or nahi balki Raja hai. Raja kehta hai, “Ek baar vo kapda hata kar dekh baniye. Tujhe teri maut ka paigaam milne wala hai.” Baniya kapda hata kar dekhta hai ki ye Kasturi ki laash hai. Baniya use dekh kar chauk kar jata hai. Agle hi pal mai Ek chhota baccha Raja ek khoonkhaar naujawan jaisi baate karne lagta hai. Raja kehta hai, “Pata chala? Apne kiye karmo ka pata chala? Ab tujhe unn karmo ka Fal bhi milega.” Raja ek danda uthata hai or Baniye ko maarne lagta hai. Tabhi vahan Baniye ke aadmi aate hain. Apne Seth ko maar khata dekh vo log use bachaane ke liye aage badhte hain. Or kuch deir mai hi Raja un sabhi aadmiyon ko maar maar kar adhmara kar deta hai. Apni maa ki maut ka badla lene ke liye Raja ek bada sa patthar uthata hai or Baniye ke upar patak deta hai. Agle hi pal Raja ka gussa shant ho jata hai or vo Kasturi ki laash utha kar rone lagta hai. Pure bazaar mai kisi ki itni himmat nahi hoti hai ki vo uss waqt Raja ke pass ja sake. Agle scene mai Raja shamshaan Ghaat mai akela hi apni maa ko antim vidai deta hai. Tabhi gaon ke Kamlesh chacha uske paas aate hain. Or chillate huye kehte hain, “Aee Raja, Raja.. Tu bhaag ja, yahan se bhaag ja. Varna vo log tujhe chhodenge nahi.” Raja poochta hai, “Kaun chacha?” Kamlesh chacha kehte hain, “Are police padi hai tere piche. Tu ek kaam kar Bandargaah ke maalik ke pass chala ja. Vo ache hain tujhe zarur bacha lenge.” Raja police se chipte chupate Bandargaah ke maalik ke pass pahuchta hai. Or use puri baat batata hai. Maalik kehta hai, “Tu dar mat, ek kaam kar Jahaaj mai jakar chip ja. Baki main dekh lunga.” Raja Jahaaj mai jakar chip jata hai. Agle hi pal police Vahan aati hai or Bandargaah ke maalik se kehti hai, “Yahan Raja ka naam koi chhota baccha aaya tha kya?” Maalik kehta hai, “Nahi, yahan bacchon ka kya kaam hai inspector sahab?” Raja chip kar ye sab sun raha hai. Tabhi Raja dekhta hai ki Maalik police ko ek chhoti si potli(पोटली) de raha hai. Jisme vaise hi chamkeele chhote patthar hain jaise Raja ko Jahaaj par se mile the. Jab police chali jati hai toh maalik Raja ko aawaz lagata hai, “Raja bahar aa jao. Ab koi bhi nahi hai yahan.” Raja bahar aata hai or Maalik se poochta hai, “Maalik, sab bolte hain ki aap ache insaan hain. Phir aapne uss police wale ko patthar kyu diye?” Raja ki baat sun kar Maalik hasne lagta hai or kehta hai, “Tujhe vo patthar lagte hain? Are heere hain vo heere. Usi ka dhandha toh hum karte hain kacche maal ke naam par.” Raja pura khel samjh jata hai. Tabhi Maalik kehta hai, “Lekin Shaam se pehle hume apne jahaaj Bandargaah tak pahuchna padta hai. varna vo samudri Lootere saara maal hathiya lete hain.” Raja kehta hai, “Samudri Lootere?” Maalik kehta hai, “haa or aaj se tu mere jahaajon ki rakhwali karega. Kaun sa jahaaj aane wala hai or pahucha ya nahi ye sab dekhna hoga. Jiske badle mai main tujhe paisa dunga.” Raja ko apni maa ki yaad aati hai ki paison ki tangi ki wajah se hi aaj uski maa uske sath nahi hai. Raja kehta hai, “Theek hai Maalik main kaam karne ke liye taiyaar hu.” Agle din se Raja apne kaam par lag jata hai. Kahani mai leap aata hai. Ab Raja 25 saal ka ek naujawan hai. Maalik Bandargaah par aata hai or jahaajon ko dekh kar kehta hai, “Raja, itne saalo se tumne bahut ache se mere Bandargaah ko sambhala hai.” Kuch deir baad hi Maalik vahan se chala jata hai. Raja dekhta hai ki sabhi jahaaj aa chuke hain sivaay ek ke. Raja ki nazar dhalte Suraj par padti hai. Raja khud se kehta hai, “Agar ye Jahaaj surat ke dhalane se pehle yahan nahi pahucha toh humara laakhon ka nuksaan ho jayega.”
Dabangg 4
Gopal Das, Odisha Police mein 1992 se kaam kar raha hai. Ganjam district mein 2009 mein Das ka promotion hua tha, aur woh philhaal Assistant