Hum dekhte hai ki Shenoy ( Girish Karnad ) Tiger ( Salman Khan ) ke plan ko approve karvaane ke liye Prime minister’s office ( PMO ) jaata hai. PMO mein Shenoy Tiger ke plan ke baare mein Prime minister, National Security Advisor aur Defence secretary ko batate hai. 30 minutes chali iss meeting ke baad, Prime minister Tiger ke plan ke liye apna approval de dete hai. Prime minister se Hari jhandi milne ke baad Shenoy Tiger ko uske plan ko aage badhane ke liye kehta hai. Jab Shenoy Tiger se kehta hai ki humne tumhari team ke liye RAW ke best agents chune hai, to Tiger kehta hai ki “ sorry sir, but mein apni team khud hi choose karunga”. Jiske baad Tiger sabse pehle apni team choose karta hai, jisme Namit ( Angad Bedi ) jo ki firearms ( हथियार ) or bombs ka expert hota hai, Nikita ( Anupriya Goenka ) jo ki ek analyst ( विश्लेषक ) hoti hai aur team ka last member hota hai Gopi ( Ranveer Shorey ) jo ki Tiger ka puraana friend hai. Iske baad Tiger team ko ikathaa ( इकठ्ठा ) karke, unhe unki nayi Russian identity or passports deta hai. Tab Shenoy vahan aakar team se kehta hai ki “tum log iss baar bohot hi khatarnak mission par jaa rahe ho, to dhyaan rahe tumhe humaari taraf se koi bhi madad nhi milegi”.
Iske baad Tiger aur iski team ek ek karke Russians bankar Turkey jaate hai, kahan ye log bina kisi dikkat ke airport security ko check kar lete hai. Hum dekhte hai ki Gopi aur Nikita ek couple bankar Turkey ki ek ship company ke pass jaate hai, or unse “Coco sea resort” naam ki ek cruise ship ko 1 mahine ke liye rent par le lete hai. Cruise ship ko rent par lene ke baad, Tiger aur uski team Pakistan ke Karachi ke liye ravaana ho jaati hai. Pakistan pahunchne ke baad Tiger apni cruise ship ko Karachi ke ek sunsaan beach par rok deta hai. Iske baad Gopi aur Nikita Karachi ki beach authority ke office jaate hai, taaki vo beach par cruise ko rokne ki permission le sake. Beach authority ka head unse unke ship ki talaashi dene ke liye kehta hai, Gopi usko rishwat dene ki koshish karta hai. Beach authority ka head Gopi ka laya hua Paisa dekhkar bina kuch soche samjhe or bina kisi talaashi ke Gopi aur Nikita ko cruise ship ko beach par rokne ko permission de deta hai. Iske baad Tiger aur Gopi shaam ke time Karachi city jaate hai, or vahan par minorities se milte hai. Vo dono minorities ke leader Govind Singh ( Kumud Mishra ) se jaakar milte hai. Govind unhe batata hai ki unlogon ki haalat kaafi buri hai, bhooke log bhooke mar rahe hai. Govind unhe ye bhi batata hai ki in dango ke peeche Pakistan ke terrorists group ka haath hai, jiska commander Abdul Ahmed ( Mir Sarwar ) hai or vo kaafi khatarnaak aadmi hai. Iske baad hum Tiger ko dekhte hai jo cruise ship mein apni team ke saath baithkar planning kar raha hota hai. Vo apni team ko batata hai ki Muslims ke liye Friday kaafi pavitra din maana jaata hai, isliye us Friday ki din road par kam bheed hogi or police wale bhi kam honge. Tiger aage kehta hai ki hum upcoming Friday ko minorities ke pehle batch samandar ke raaste India bhejenge varna vo log bhooke pyaase mar jaayenge. Ye baat sunne ke baad team mein sab log serious ho jaate hai, or apna apna kaam karne lagte hai.
Doosri taraf, hum dekhte hai ki refugees ke first batch ko bachaane ke liye Indian Navy ne bhi apni kai ships bhejdi hoti hai. Friday night ko Tiger aur uski team minorities ke pehle batch ko cruise ship ki madad se Pakistan se bahar nikaalkar Indian Navy ke ships take pahuncha diya jaata hai. Or isss tarah se Tiger aur uski team ka pehla rescue mission poora ho jaata hai, jisme unhone poore 250 logon ki jaan bachai hoti hai. Tiger aur uski team itne logon ki jaan bachaakar kaafi khush hote hai, vahi Indian Navy ke ships mein minorities ko healthy khaana khilaaya jaata hai. Kyunki ab minorities ka agla batch 6 din baad jaayega, isliye Tiger aur uski team enjoy ka rahe hote hai. Next day, unki ship ke pass kuch terrorists aa jaate hai, jinka leader Abdul Ahmed hota hai.
Kya Abdul ho gya hai Tiger par shak ? Kya Tiger ka mission padega khatre mein ? Jaanenge iss blog ke agle part mein.