Tiger 3

Hum dekhte hai ki plan ke mutaabik Tiger ( Salman Khan ) aur uski team ke 6 Para Commandos ek MI-35 helicopter mein savaar ho jaate hai, or vo helicopter Baltistan prant mein sthith jail ki taraf badhne lagta hai, kyunki Pakistan ka poora dhyaan line of control par India ki taraf se ho rahe attacks par tha isliye vo Baltistan prant mein ghuse MI-35 helicopter par dhyaan nhi de pata hai. Helicopter Tiger aur Para Commandos ke saath jail ki chat(roof) par land karta hai. Para special forces ke snipers jail ke chaaro taraf faili pahadiyo se jail ke guards ko khatam karna shuru kar dete hai. Jail mein chal rahe rescue mission se dhyaan hataane ke liye, teen HAL Prachand helicopter jail se 200 meter door Pakistani army ki 37th infantry division ke headquarter par tabadtod firing karna start kar dete hai. 

Doosri taraf, Tiger aur uski team jail mein andar ghusne ke liye jail ki chat par bane darwaaje ko explosives ki madad se uda dete hai. Jail mein andar ghusne ke baad vo smoke grenade ki madad se har taraf dhuan hi dhuan kar dete hai or Tiger jaldi se Gopi ke cell tak jaane lagta hai. Tiger apne raaste mein aane wale har guard ko maar daalta hai. Tiger jaldi se Gopi ki cell tak pahunchta hai. to vo dekhta hai ki jail ka ek guard Gopi ke sir par bandook taane khada hai. Lekin isse pehle ki vo guard Gopi ko shoot kar pata Tiger use shoot karke maar deta hai. Baaki ke Para Commandos bhi Gopi ki cell ki taraf badhna shuru kar dete hai. Gopi ke cell ke darvaaje ko todne ke liye Tiger darvaaje ke lock par do goliyaan chalata hai, lekin vo lock fir bhi nhi toot ta hai, jiske baad ek commando chota sa blast karke us lock ko tod deta hai. 

Jaise hi darvaaja khulta hai vaise hi Tiger cell mein andar ghusta hai or kehta hai, “Gopi tu theek hai na ?” Kai dino se jail mein band Gopi Tiger ko dekhkar kaafi khush hota hai or Tiger ke gale lag jaata hai. Gopi kehta hai ki, “mein jaanta tha mera desh mujhe jaroor bachayega”, or itna kehte huye Gopi khushi ki vajah se rone lagta hai. Kai dino ke torture ke baad aakhirkaar Gopi azaad ho chuka tha. Tiger Gopi ko bullet proof helmet, bullet proof jacket or ek hand gun deta hai, Jiske baad vo sab log chat ki taraf badhna shuru kar dete hai. Chat par pahunchne ke baad Tiger, Gopi or vo 6 Para Commandos MI-35 helicopter mein baithkar vaapas India ki taraf jaane lagte hai. Lekin tab tak vahan par Pakistani army ki 37th infantry division ke soldiers aa gaye hote hai, or vo Pakistani soldiers MI-35 helicopter par heavy firing karna start kar dete hai. Heavy firing ki vajah se helicopter apna balance kho deta hai or vo jameen par crash land kar jaata hai. Iss crash landing mein 2 Para Commandos ghayal ho jaate hai. Helicopter ka pilot ek baar firse iss helicopter ko start karke udaan bharne ki koshish karta hai, lekin dushman ki heavy firing ke chalte safal nhi ho pata hai.

Tiger aur uski team Gopi ko lekar pass hi ki ek building mein chup jaate hai. Gopi Tiger se kehne lagta hai ki shayad uski azaadi itni hi der ke liye thi, or vo use yahi chodkar apni team ke saath vaapas chala jaaye. Tiger kehta hai ki “agar yahan se jaayenge to saath mein jaayenge, varna nhi jaayenge”. Tabhi hum dekhte hai ki ek Para Commando building ki chat par chadta hai or vo aasmaan mein Mandara rahe Indian Air Force ke attack helicopters ko signal dene lagta hai. Ek Helicopter iss signal ko dekh leta hai, jiske baad vo baaki ke attack helicopters ko us building ke upar pahunchne ke orders deta hai. Kuch hi seconds mein us Building ke upar 2 AH-64 Apache helicopters or 3 HAL Prachand helicopters pahunch jaate hai, or vo Pakistani soldiers par tabadtod firing karna shuru kar dete hai. Attack helicopters ki firing se Pakistani soldiers mein bhagdadh much jaati hai. Iss cheej ka faayda uthakar Indian Air Force ka ek or MI-35 helicopter us building ki chat par land kar leta hai, jiske baad Tiger aur uski team Gopi ke saath jaldi se us helicopter mein Chad jaate hai. Helicopter ka pilot jaldi se take off karta hai or vahan se nikal jaata hai. Attack helicopters bhi MI-35 helicopter ko cover fire dete huye vahan se nikal jaate hai. Hum sab logon ko lagta hai ki iss rescue mission ko poora hone mein kam se kam 20-25 minutes to lage hi honge. Lekin tabhi ek commando radio par message bhejta hai ki mission successful raha or ise poora hone mein 6 minutes ka time laga. 

Iske baad ye helicopter seedhe jaakar Srinagar airbase par land karta hai. Jahan par Gopi ko receive karne ke liye Khud Prime minister or Shenoy aaye hote hai. Or isi ke saath ye kahani yhi par end hoti hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Bholaa ,Ajay Devgn,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Bholaa

चार्ल्स को 1976 में भारत में गिरफ्तार किया था. हालांकि एक बार जेल से भाग भी गया था, लेकिन उसे दोबारा गिरफ्तार कर लिया गया

Read More »
Jawan, Shah Rukh Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Jawan

26 जनवरी 1982 दक्षिण sikkim की तहसील मे एक मां एक बब्बर शेर को जन्म देती है जिसे नाम मिलता है Sanjog Chhetri । Sanjog

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​