जमीन के नीचे से हुई robbery.

Kgf 3

जमीन के नीचे से हुई robbery.

Yah kahani Hai Brazil ki, 8 August 2005 ko Monday morning jab bank ke security officers ne Bank ke walt ko check kiya to unke hosh ud Gaye.. Walt ke ground mein ek bahut bada sa hold hole tha aur Walt Mein rakhe sare paise gayab ho chuke the…Bank main Hone wali vah chori Aaj Tak duniya Mein Hone wali Sabse badi chhoriyon Mein Shamil Ho gai…yah itni badi chori thi ki isko Guinness book off world record mein bhi Shamil Kiya Gaya..

Brazil ke Fortaleza mein apraadh aam baat hai. Sehar ke bich mein ek Vishal building hai jise Central Bank of Brazil kehte hain, yahi vah building hai jo Brazil ki economy ko control karti hai.. 8 August 2005 ko subah police station Mein Ek call aata hai aur unhen khabar milati hai ki Fortaleza Bank Mein chori ho gai hai.. Brazil police turant Bank ki taraf bhagati hai aur Bank ke mahaul Ko dekhkar San rah jaati hai.. kyunki yah koi choti moti chori Nahin thi..

Police yah sochne lagti hai ki agar Bank ke walt ko todkar yah chori ki gai hai to Bank ke alarm kam kyon Nahin kiye.. Brazil ke sabse Bade Bank Mein itni security hone ke bad bhi itni badi chori kaise ho gai.. use samay bank paison se bhara tha kyunki Sarkar purani noton ke badle nai note muhaiya kara rahe the.. lekin Bank ki taraf se na hi purani noton ka koi record Rakha ja raha tha aur na hi unke serial number note kiye ja rahe the.. aur Shayad Choron ko yah baat pata thi kyunki unhone bank se Keval purane note ki churae the…Jo Kareeb 3 Arab 15 crore rupaye the.. Bhale yah chori August Mein ki gai Ho Lekin Choron ka Ek gang 5 mahine pahle yani ki March se hi is chori ki planning karne mein Laga tha..

Is plan ka mastermind tha Luis Fernando Ribeiro…jisne German ki ek criminal Alemao Apne plan ka hissa banaya.. alemao Ek bahut bada criminal tha Jiske bade bade political connections the.. alemao Central Bank ko lootane ke plan Mein lag Gaya.. uska kam tha jameen ke niche Ek tunnel banana Jiske Liye usne Kareeb 25 logon ka ek group banaya.. group ka Har EK member apne apne kam Mein mahir tha.. koi engineer tha jisne ki walt Tak ke raste ka map banaya tha.. toh kuch khodai mein aur kuch mathmatics mein expert the.. unhone pahle hi Ek security guard ko apne plan Mein Shamil kar liya tha vah security guard Central Bank ke security ka hissa tha.. usne alemao ko Central Bank ki security ki puri jankari Den usne use bataya ki sensor security aur CCTV camera Kahan kahan Lage hue hain..

Jiske baad alemao main sabse pahle Bank ke pass Ek purane residential house ko kirae per liya.. aur fir usne Apne group ke logon Ko bhi use ghar mein bula liya.. sabse pahle UN logon ne use ghar ko change kar kar Ek gardening shop Mein parivartit kar Diya.. jise logon Ko Lage ki unhone plants ko bechne ke liye ek shop kholi hai.. unhone jis house ko rent per liya tha vah Central Bank ki building se Kareeb 80 meter ki duri per tha.. aur vah chor Bank Tak pahunchne ke liye jameen ke 13 meter niche Ek tunnel ka Nirman karne lage.. unhone isiliye plant ka business khola tha taki logon Ko Lage ki yah mitti bechne ke liye mangai Hai balki asaliyat To yah the Ki vah mitti tunnel ke andar se Nikal rahi thi…

Iske sath Hai jis ghar mein vah rahte the usmein unke fingerprints Na aaye isliye unhone Ghar Ki diwaron per Jale hue chune ko laga Diya…Choron ne apni shop ke liye ek security Rakha tha Jo ki Brazil ka ek Jana Mana security guard hai aur vah unki shop ko promote bhi Karta tha.. lekin dhere dhere usse security guard ko shak hone laga Ki aakhir itni mitti aati kahan se hai.. vah Choron se puchta bhi Hai Ki aakhir vah itni mitti kahan le jaate hain lekin chor uski baat Ko majak Mein taal dete Hain…

To kya security guard Choron Ki is sajish ka pata Laga payega jaane ke liye dekhiae hamari agli video..

To be continued..

_NEHA MISHRA.

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Jawan

Jawan

अगर बॉलीवुड फिल्म इंडस्ट्री में देखा जाए कि, किस डायरेक्टर को अपनी फिल्म में गाड़ियों को खास कार को उड़ाने का शौक है तो वो

Read More »

Brahmastra 2

M ythological aspects‌ और VFX का बेस्ट कांबिनेशन क्या होता है यह हमें अयान मुखर्जी की फिल्म ब्रह्मास्त्र देखने के बाद पता चला, तो वही ओम

Read More »
DOSTANA 2

Dostana 2

दोस्ताना मूवी में जितना तारिफ जॉन अब्राहम के लुक और फैशन की हुई थी शायद ही किसी और चीज की हुई होगी क्योंकि दोस्ताना मूवी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​