Kgf 3
10 crore dollars की बड़ी चोरी.
15 February 2003 ko duniya Ki history Ki Sabse badi robbery hoti hai.. yeh robbery Belgium Mein hui thi jismein paise Nahin balki Sona Chandi aur hire churae gaye the… jisse Choron Ko 10 crore se bhi jyada ka profit hua…
Belgium mein diamond aur gold ki jwelery main floor ke niche basement ke locker room me Rakhi hui thi..Jahan Kisi security bilkul tight thi.. aur itni security hone ke bad bhi chori Hui Kaise ki janne ke liye hamen 3 sal piche Jana Hoga…
Chori ke 3 saal pehle Leonardo batlo ne 7 hundred dollars per month mein diamond world centre mein office rent per liya tha.. taki vah vahan ke employ manager aur Baki logon Ka bharosa Jeet sake…Leonardo ne 3 sal Tak vahan per as a worker kam Kiya.. Kuchh samay Tak vahan per tenant yani ki kiraedaar banne ke bad Leonardo ko 24/7 ki diamond center access key mil gayi.. jiska matlab hai ki Leonardo ab Kisi bhi samay diamond center se a ja sakte hain.. jiske liye unhen Kisi Ki permission ki bhi jarurat Nahin Hai iske sath hi unhen waly ki access key bhi mil gai.. ab voh walt mein bhi kabhi bhi ja sakta tha. Taki voh apne diamond store kar sake. Lekin Leonardo ka plan khud ke diamond store karne ka Nahin balki dusron ke diamond churane ka tha…
Diamond center ki building ke andar Kuchh bhi capture ya record karna Mana tha.. isliye Leonardo ne ek stream tiny mini camera pen apni shirt Mein Laga Liya…taaki kisi ko bhi pata na chal sake aur vah aasani se diamond center ke andar Har chij record kar sake…Leonardo janta tha ki vah itni badi chori akele nahin kar payega…isliye usne 5 logon Ki Ek team banai.. Leonardo din bhar diamond centre ke andar chijen record Karta aur uske bad team use captured image se ek 3D blue print tyaar karti…aur dekhte hi dekhte Leonardo ki team ne diamond center ki as it is 3D blue print ka hard copy bana lia. Aur usi Ko dekhkar chori ki planning karne lage…
February 2003 tak unka plan Puri tarah se taiyar tha aur ab samay tha plan ko execute karne ka..chori se ek din pahle Leonardo hamesha Ki tarah diamond center jata hai aur vahan thermal poison sensor jo ki ek heat ko detect karne ke liye sensor hota hai use per Leonardo ne women hair spray kar Diya…taki voh sensor deactivate ho jae..
Agle din Leonardo ki puri team is highest ko anjam dene ke liye taiyar thi.. sabse pahle unhone ek car rent per Li aur vah diamond center pahunche…Jiske bad Leonardo ke alava baki Sab Ek ladder ki madad se background garden se diamond center ki balcony par chade…balcony mein ek infra raid sensor tha.. jisse bachne ke liye unhone ek polyester shield ki madad li…balkani mein pahunchte hi unhone shild Ko sensor per lagakar use deactivate kar diya…Jiske baad vah khidki ki madad se andar ghuste hain aur basement Mein pahunch gaye…sabse pahle unhone basement ke sabhi camere per black shirt Chadha de…walt ke door pr Ek magnetic lock tha jise deal karne ke liye unhone ek aluminium plate jis per heavy double tape laga hua tha.. unhone use aluminium plate ki madad se walt ke screw ko khola aur use deactivate kar dia… aur kyuki Leonardo ko walt ke deal lock ke bare mein pata tha isliye vah easily use bhi khol sake.. lock kholne ke bad use gang ne walt ke andar ki lights ko switch off kar diya jisse ki sare sensor automaticly band Ho jaaye… uss gang ne sare gold aur diamond ko bags mein bhara aur use le kar balcony ki madad se hi bahar aa gye…aur vahan se farar ho gaye….poori hiest ke dauran sabne plastic ke gloves pehle the jisse ki kahi bhi unke finger prints nahi mile… agle din Leonardo hmesa ki tarah diamond center aata hai aur chori ko dekj kar shocked hone ki acting karta hai. Aaj Tak Kisi ko bhi pata nahi ska ki akhir yeh chori ki kisne thi…
The End..
_NEHA MISHRA.
Leonardo- YASH.