Khurmur gaon mein huye operation ki safalta ko abhi 2 din bhi nhi huye the ki tabtak Lance Naik Mohan nath Goswami ( Bobby Deol ) ki squad ko khabar milti hai ki 5 Pakistani terrorists Line Of Control cross karke Uri sector mein ghuse hai. Unhe bataya jata hai ki jab ye 5 terrorists Line Of Control cross kar rahe the to unme se ek terrorist ko 35 Rashtriya Rifle ke ek soldier ne maar giraya tha, jabki baaki ke 4 terrorists bhaagne mein kaamyaab ho gaye the. Ab 35 Rashtriya Rifle bache huye 4 Terrorists ko dhoondhna shuru karti hai, 35 Rashtriya Rifle in Terrorists ko dhoondhne ke liye apne Searcher Mark 2 drone ki madad leti hai. Ye drone ghuspethiyon ko dhoondhne mein mahir hota hai, or ye drone 26 August ki aadhi raat ko in charo terrorists ko Uri sector ki Shamshabari range mein dhoondh leta hai. 26 August ki subah ek HAL Dhruv helicopter Lance Naik Mohan nath Goswami ke saath 12 Para Commandos ko Shamshabari range par drop kar deta hai. Ye 12 Para Commandos terrorists ka shikaar karne ke liye group mein divide ho jaate hai , or apne operation par nikal jaate hai. Iss operation ka naam hota hai operation “Lidder Panzal”. In 12 Para commandos ke liye un 4 Terrorists ko dhoondh pana bilkul bhi asaan nhi hone wala tha, kyunki Uri sector ki Shamshabari range mein chupne ke liye kai natural thikaane pehle se hi mojood the. 4000 feet ki unchaai par, kai saari gufaaye or ghane jungle ke beech peeth par 40 kg ka payload carry karke un 4 terrorists ko dhoondhna bilkul bhi asaan kaam nhi tha. In 12 jabaaj Para Commandos ke saath Indian Army ka Searcher Mark 2 drone bhi un 4 Terrorists ko dhoondhne mein laga hota hai.
Terrorists ko dhoondhte huye Lance Naik Mohan nath Goswami ek gufa mein ghus jaate hai, us gufa mein aage badhne par Lance Naik Mohan ko ek 30 feet unche paththar ke peeche terrorists najar aa jaate hai. Lance Naik Mohan apni Tar 21 rifle se un terrorists ke upar firing karna start kar dete hai. Terrorists bhi Lance Naik Mohan ki taraf bheesad golibaari karna shuru kar dete hai. Lance Naik Mohan Terrorists ki golibaari se bachne ke liye ek chote se paththar ke peeche cover lete hai, or vo apne saathiyon se gufa ke dono entry points ko block karne ke liye kehte hai. Jab terrorists ki golibaari halki ho jaati hai to Lance Naik Mohan bhi bhaagkar gufa ke bahar apne saathiyon ke pass chale jaate hai. Indian Para Commandos ki team un Terrorists ko surrender karne ke liye kehti hai. Lekin jab bohot der tak terrorists ki taraf se koi jawaab nhi aata hai to ek Para Commando Gufa ke andar RPG ko fire kar deta hai. RPG ke blast hote hi ek terrorist firing karte huye gufa se bahar nikalta hai, lekin vo Lance Naik Mohan ki goli ka shikaar ho jaata hai or vahi dharasahi ho jaata hai. Iske baad Para Commandos gufa mein andar jaate hai to ek terrorist unke upar firing karne lagta hai, lekin vo bhi ek commando ki goli ka shikaar ho jaata hai. Thodi or aage badhne par unhe ek terrorist pehle se hi mara hua milta hai, jo RPG ke blast mein maara gaya tha. Para Commandos bache huye terrorist ko last warning deti hai, or surrender karne ke liye kehti hai. Kuch time ke baad ye bacha hua Terrorist bhi Commandos ke saamne surrender kar deta hai, jiske baad iss Terrorist ko helicopter ki madad se headquarter bhej diya jaata hai.
Lance Naik Mohan ka teesra or aakhiri operation tha 6 September ko, unhe intelligence mili hoti hai ki 6 Terrorists Kupwara ke ghane jungle mein chupe huye hai. Jiske baad Lance Naik Mohan apne senior Major Anurag Kumar ke sath iss operation ke liye nikal jaate hai. Terrorists ke saath ho rahi muthbhed mein Lance Naik Mohan ka ek saathi ghayal ho jaata hai. Apne us saathi ko bachaane ke liye Lance Naik Mohan bina apni jaan ki chinta kare terrorists ki firing ke saamne aa jaate hai, or lagataar terrorists ki taraf firing karne lagte hai. Lance Naik Mohan ki firing se 2 terrorists maare jaate hai , lekin terrorists ki bhi 2 goliyan Lance Naik Mohan ko lag chuki thi. Jab tak Major Anurag Kumar Lance Naik Mohan nath Goswami ke pass pahunchte hai tabtak Lance Naik Mohan nath Goswami veergati ko prapt ho chuke the. Lance Naik Mohan nath Goswami ne pichle 10 din mein 3 anti-terrorist operation mein hissa liya tha, or in 3 operations mein 10 Terrorists maare gaye the or 1 Terrorist jinda pakda gaya tha. Lance Naik Mohan nath Goswami ko adamya sahas or veerta ke liye posthumously Ashok Chakra se sammanit kiya jaata hai.
( The End )