1993 me huye Mumbai bomb dhamake ka doshi Yakub memon ko 2015 me faansi ki saza sunayi gayi thi.
Yakub memon ka janam 30 July 1962 ko Mumbai me hua tha. Woh Abdul Razaak Memon ke 6 beton me se teesara tha. Yakub apne pure pariwaar me se sab se jyada padha likha tha. Yakub English medium ke school se paas hua aur higher studies ke liye B.COM ki degree haasil ki. Baad me woh 1990 me Chartered accountant yaani ki C.A ban gaya. 1991 me Yakub ne apne bachpan ke dost Chetan Mehta sang “Mehta and Memon associates” ki shuruat ki. Yeh company asal me Chartered accountancy firm thi. Halanki dost ke alag ho jaane ke ek saal baad, Yakub ne apni khud ki firm “AR and sons” kholi jo ki uske pita ke naam pe thi. Yeh company itni safal rahi ki Yakub ko “Best Chartered Accountant Of The Year” ka award “Memon Community” dwara mila. Jald hi Yakub ne apni company Tejrath International ki shuruat ki jo ki khaari yaani ki Persian Gulf aur Middle East me, meat ke products ki export me shaamil thi. Ek entrepreneur ke taur pe mili safalta ke baad, Yakub ne Mahim (माहिम) Dargaah ke paas stith ek building ke 6 flats me invest kiya. Yakub apne bhai Tiger Memon aur Dawood ko financially assist karta tha. 1993 me poori Mumbai, dhamake se hil gayi thi. Iss dhamake me 257 logon ki jaane gayi, jab ki 700 se adhik log iss dhamake ki wajah se ghaayal huye the. Iss dhamake ka main mastermind Dawood Ibrahim aur Yakub Memon ka bhai Tiger Memon tha. Iss dhamake ke baad jaha Tiger desh chod ke Pakistan bhaag gaya tha. wahi police ne 1994 me Yakub ko pure pariwaar ke saath giraftaar kar liya tha. Yakub ke khilaaf humle me madad krne aur uksaane ke liye case file ki gayi. Yakub par doshiyon ke liye flight ki ticket book karana, humle me shaamil hone waali gaadiyon ka intezaam karna jaise aarop lage. Yakub ke dwara ki gayi daya ki appeal ke bawajood court ne use 2007 me fasi ki saza sunayi. Yakub ko iss ghatna ke 22 saal baad yaani ki 30 July 2015 ko faansi ki saza di gayi. Yakub ko jis din faansi di gayi ussi din uska janmadin bhi tha.
Toh yeh kahani thi 1993 ke Mumbai humle ke aaropi Yakub Memon ki. Ek C.A ka aisa anokha antt shaayad hi kisi ne socha hoga. Agar aap ko yeh blog pasand aayi toh isse like karna naa bhule. dhanyawaad.
Cast:-
Yakub memon:- Farhan Akhtar