“MAX HEADROOM SIGNAL HIGHJACKING” 22 Nov 1987 ke raat ko hui thi, jab Chicago ke Illinois me stith do television radio-station ko highjack kar liya gaya tha. Iss case ko tech ki history me sabse badi mystery maani jaati hai. Max Headroom asal me ek fictional AI character hai, jiska kirdaar abhineta Matt Frewer(फ्रीवर) ne nibhaya tha. MAX ko pehla “computer generated TV presenter” kaha gaya. Issi fictional kirdaar ki mask pehne ek aadmi, 1987 me Chicago ki radio-station ko highjack kar liya tha. Radio-station ke highjack hone ke baad 1000 logon ke TV pe MAX Headroom ki mask pehne ek aadmi dikhne laga. Pehli ghatna tab hui jab raat 9:00 baje WGN-TV pe Sports dikhaya jaa raha tha. Iske baad signal beech me ruk gayi aur screen pe ek mask pehne aadmi dikhne laga jo jhilmilaati screen pe aise dikh raha tha, jaise woh screen ke saath hil raha ho. Woh aadmi animated character Max ki mask pehne nazar aa raha tha. Screen pe sirf jod se buzz ki awaaz sunayi de rahi thi. TV aise kareeb 30 second tak बाधित rahi. Uske baad WGN tv ke engineers ne apne broadcast tower ka dobara control haasil kar liya. Dusri ghatna kareeb 2 ghante baad hui. Yeh PBS station ke channel 11 pe hui. Uss dauran “Doctor who” naamak serial dikhaya jaa raha tha. Yeh interruption pehle ke mukable jyada der tak raha. Iss dauran darshak mask pehne aadmi ko, asli ke Max Headroom ki advertisement ki nakal karte huye sunn paa rahe the. Iske baad screen pe kisi aurat ke haathon me fly swatter, yaani ki maakhi ko maarne waali stick dikhayi di, jo asal me mask pehne aadmi ko maarne ke liye thi. Masked man kehta hai “Oh no they’re coming to get me.” Yaani ki “Aree nahi who mujhe pakarne ke liye aa rahe hai”, jiske baad uss aurat ki jod ki awaaz sunayi di “bend over bitch” yaani ki “neeche jhukon” aur uske baad mask pehne uss aadmi ko sab rote huye dekh paa rahe the. Aisa lag raha tha jaise woh koi ladka tha, jiski mummy uski badmaashi pe usse Peet rahi ho aur yeh sab kuch hazaaron log tv pr dekh paa rahe the. Yeh sab kuch kareeb 90 sec tak chala aur uske baad normal program phir se shuru ho gaya. Iss ghatna ke baad higher officials ne bahut khoj ki, lekin kisi ko aaj tak nahi pata chal paaya hai ki aakhir inn sab ke peeche kon tha. Iss ghatna ke baad kayi viewers ne tv channel se baat ki lekin kuch pata nahi chal paaya ki aakhir yeh sab hua kaise aur kisne kiya.
Toh yeh thi MAX HEADROOM HIGHJACKING ki puri kahani. aap chahe toh uss din ke video ko YouTube pe bhi dekh sakte hai yeh kaafi jyada funny hai. Agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like karna naa bhule. Dhanyawaad