War 2

Ajit Doval ko India ka James Bond kaha jaata hai. 1968 batch ke Kerala Cadre ke IPS aadhikaari rahe Ajit Doval, saal 1972 me RAW se jood gaye the. Unhone 7 saal tak undercover agent ke roop me kaam kiya. Ajit Doval ka janam 20 January 1945 ko Uttrakhand ke ek Garhwali pariwaar me hua. Doval ne apne har mission ko bakhubi nibhaya. Chahe woh dushmano ke khilaaf operation ho, yaa phir ghaati me shaanti lana ho, yaa Pakistan aur China ko muh tod jawaab dena ho, yaa 1999 ka kandhaar kaand(कंधार कांड) hi kyun naa ho. Doval ne inn sab ko itne behtarin dhang se nibhaya ki unki taarif chaaron taraf hui. Ajit Doval poore 7 saal tak Pakistan me ek under cover agent ke roop me rahe aur kisi ko bhi iss baat ki bhanak tak nahi lagi. Doval bhale hi limelight se door rehte ho lekin, jab kabhi bhi woh bhaashan(भाषण) dene aate hai, tab sabhi unhe dhyaan se sunte hai. Ajit Doval ne apne ek bhaashan me kaha tha ki “Bharat kabhi videshi taakaton se itna nahi haara, jitna ki yaha ke logon ke saath naa dene ki wajah se uski haar hui”. Doval aage kehte hai ki unhe aaj bhi iss baat ka darr hai ki kahi desh ke log hi राष्ट्र ki suraksha ka sauda naa kar baithe. Doval ke die huye ek bhaashan me unka dard saaf jhalakta hai. Doval kehte hai “Angrezon ne Bharat ke khilaaf koi bhi ladai aisi nahi jeeti, jisme angrezon ki fauj(फौज) me bharatiya sipaahi naa rahe ho. Chahe woh pehle Bangal Native Army thi, 1857 me Gorkha aur Sikhon ne unka saath diya, jab Sikhon se ladai ho rahi thi toh baaki logon ne unka saath diya. Humesha Native Army unke saath thi.” Doval ne aage kaha ki, “Hindustaniyon ko haraya hai toh humesha hindustan ke logon ne. Saath nahi diya desh ke logon ne aur dard hai toh issi baat ka.” Doval kehte hai ki, “Bharat ke itihaas ko dekhe toh dard iss baat ka nahi hai ki, videshon ne humare saath kya kiya, par unka mukaabla toh hum kar lete. Dukh toh iss baat ka tha ki humare sabhi logon ne saath nahi nibhaya, iss baat ka ehsaas mujhe aaj bhi iss desh me hota hai.” Ajit Doval ne humare desh ke logon ko warn kiya hai. Who kehte hai ki “Ithihaas duniya ki sabse badi adaalat hai. Isse badi koi adaalat nahi hai. Supreme Court me kya hua, ladai ke maidaan me kya hua, high Court me kya hua…yeh baatein aati hai aur chali jaati hai. Baad me reh jaata hai toh sirf itihaas aur itihaas ka nirnay, humesha uske saath gaya hai jo shaktishaali tha. Usne kabhi uska saath nahi diya jo nayay ke saath tha, jo sahi tha. Agar aisa hota toh…Delhi me aaj Babar road hai lekin Rana Sanga road nahi hai. Kyunki Babar aaya, Vijay hua aur Rana Sanga haar gaye. Bharat ki Hindu shaahi kingdom kam hote hote yaha tak nahi aa jaati. Humne kisi pe humla nahi kiya, humne kisi ke jeevan मूल्यों ko khatam nahi kiya. Humne kisi ke धर्म ग्रंथों(religious books) ko aur Dharm sthaano(धर्म स्थानों) ko khatam nahi kiya. Shaayad sach bhi humare saath tha lekin Shakti humare saath nahi thi. Issiliye Itihaas ne hume uski saja di.”

Ajit Doval desh ko represent kar, kayi baar bhaashan dete hai jise har hindustaani ko sunna chahiye.

Yeh kahani yaha khatam nahi hoti hai, balki yaha se shuru hoti hai. Ajit Doval ne apni zindagi me kya kaam kiye aur kaisi mushkilon ka saamna kiya, jaisi tamaam cheezen aapka intezaar agli blog me kar rahi hai. Issiliye bane rahiye humare saath humare iss blog pe, jiska naam hai Bollygrad studioz. Dhanyawaad

To be continued…

(Part 1)

Cast:-

Ajit Doval:- Akshay kumar

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Jawan,Shah Rukh Khan in a dual role with Vijay Sethupathi, Nayanthara, Sanya Malhotra and Priyamani,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Jawan

फिल्म “जवान” में कुल मिलाकर 19 स्टार कास्ट है, जो इस धांसू फिल्म को बेहतर बनाने के लिए मेहनत कर रहे हैं। इन 19 पक्के

Read More »
sultan 2 , sequal of sultan , salman khan

sultan2

17 अगस्त 2016 की देर रात को शांत शहरों में शुमार रोहतक, जो देश की राजधानी दिल्ली से 66 किमी दूर है, अचानक सुदेश मलिक

Read More »
Housefull 5

Housefull 5

Kuch din pehle hi Bareilly ka ek ajeeb sa qissa headlines mein tha. Ek din ek regular state bus kuch passengers ko lekar jaa rahi

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​