KGF 3 ko lekar kaha jaa raha hai ki Rocky iss baar America ka rukh kar sakta hai, jaha pe uski madad American mafia karega. Toh aakhir kis tarah ka kirdaar hoga iss American mafia ka? aayiye jaante hai. Ellsworth Raymond “Bumpy” Johnson ka janam 31st October 1905 ko America ke South Carolina ke Charleston(चार्ल्सटन) me, ek Black family me hua tha. Jab Johnson 10 saal ka tha toh uske bade bhai Willie(विली) pe ek White aadmi ki hatya karne ka aarop laga tha. Bumpy ke maata-pita ko dar tha ki kahi mob lynch naa ho jaaye. iss wajah se unhone अपना घर गिरवी रख दिया taaki woh paisa jama kar sake aur Willie ko surakshit uske relative ke yaha North Carolina me chod sake. Johnson ko “Bumpy” naam, uske sir ke peeche maujood ek “bump” ki wajah se pada. Jaise-jaise Johnson bada ho raha tha. waise uske maata-pita Johnson ke temper ko lekar pareshaan the. Johnson Whites ke prati kaafi batazmeez hote jaa raha tha, jo baat uske maata-pita ko pareshaan kar rahi thi. Issi ke kaaran Johnson ko Harlem (हार्लेम), uski badi behan Mabel(मेबेल) ke paas bhej diya gaya. Harlem New York ke paros me stith ek shehar hai. Johnson high school se drop out ho gaya aur अनियंत्रित नौकरियां karne laga. Yeh wahi wakt tha jab Gangster William Hewett(हउवेट) ne Johnson ko notice kiya, jiske baad Johnson ne William ke liye kaam karna shuru kar diya aur apni crime ke career ki shuruat ki. Johnson, “Number” yaani ki lottery game ki queen kahi jaane waali St. Claire(सेंट क्लेयर) ka sahyogi tha. 1930 me Johnson Claire ka main lieutenant ban gaya. St. Claire aur Johnson ka maksad tha ki woh New York mobster Dutch Schultz (डच शुल्त्स) ke khilaaf yudh ki shuruat kare. Iss ladai me 40 logon ke murder ke alawa, kayi logon ki kidnapping bhi hui. Wahi kuch hi wakt me Johnson ke liye ek saude ke saath, Dutch ki team yeh ladai haar gayi. Iss ladai me Johnson ne Dutch ki hatya kar di thi. Johnson ne uss dauran apna gambling ka bhi dhanda banaye rakha tha. Johnson ab African-American community me famous ho gaya tha aur log uska samaan karne lage the.
1952 me Johnson ki activity America ki magazine “Jet” ke celebrity section me प्रकाशित hui. Heroin ki smuggling karne ki wajah se Johnson ko ussi saal, 15 saal jail ki saja sunayi gayi. Do saal baad “Jet” ke crime section ke column me Johnson ko lekar ek khabar प्रकाशित hui, ki Johnson ab apni aage ki zindagi jail me bitayega. Johnson ne San Francisco ki “Alcatraz jail” (अलकतरा जेल) me apni saza puri ki. Halanki 1963 me Johnson jail se Parole pe riha ho gaya. Jab Johnson riha hua toh uska swagat karne ke liye logon ki parade khadi thi. Johnson apni zindagi me 40 se jyada baar arrest hua tha aur kareeb do baar usse Narcotics ki taraf se jail ki saza mili. Johnson jab heart attack se mara tab uske upar drugs ko lekar charges lage huye the. Johnson ki maut 62 Sala ki umar me 7 July 1968 ko hui. Bumpy Johnson ne Mayhem Hatcher (हैचर) se 1948 me shaadi ki thi. Johnson ki do beti thi. Mayhem ki maut 94 Saal ki umar me 2009 me hui.
Johnson ko America ka crime boss kaha jaata hai. Khaas kar usse Harlem me Heroin ki smuggling karne ke liye pehchaana jaata hai.
Johnson Harlem se crime family “Gambino”( गैम्बिनो) ka main associate tha. 1968 me jab Johnson ki mrityu hui tab Gangster Frank Lucas ne uski aage ki viraasat sambhaali. Johnson ne apne shuruati dino me floors ko saaf karne se lekar Newspaper tak becha hai. Johnson ki safalta me Frank Lucas ne bhi apna sahyog diya hai. Bumpy Johnson Heroin ki smuggling karte huye kaafi ameer ban chuka tha. poore Harlem pe ab uska hi raaz tha. issi wajah se usse aaj bhi Harlem ka Godfather kaha jaata hai. Bumpy ke hi raste chal kar Frank Lucas ne Harlem me Heroin ki smuggling kar apni jagah banayi thi.
Toh yeh thi Mafia Bumpy Johnson ki kahani. Iss tarah ke crime boss ko hum KGF chapter 3 me dekh sakte hai.
Agar aapko yeh kahani pasand aayi toh apna opinion hume comment karke jarur batayiye! dhanyawaad!