Mr. India 2

China ke alawa dusre desh, kaafi saalon se AI technique se yukt ek robot banane ki disha me kaam kar rahe hai, jinme se kayi desho ne yeh success haasil bhi kar li hai. Ab issi list me China ki ek humanoid Robot Jiā Jiā( चिया चिया) ka bhi naam jood gaya hai. Jia Jia(चिया चिया) ko dekh kar kayi logon ke hosh udd jaane waale hai. kyunki yeh robot dikhne me ek sundar ladki jaisi lagti hai, jo apne chehare ke bhaav insaano ki tarah badalne me bhi saksham hai. Naa sirf chehare ke bhaav balki Jia Jia naam ki yeh robot dusre logon se insaano ki tarah baat bhi kar sakti hai. China ke iss humanoid robot ko “University of science and technology, China” ke engineers ne milkar banaya hai. Shanghai ke “Futuristic Financial Center” me aayojit “Economic Conference” me iss Robot ko pesh kiya gaya. Hairaani ki baat yeh hai, ki jab Jia Jia public me dikhi tab uske chaahron yod media thi. Jia Jia cameraman ko dekh kar unhe batati hai ki woh kis angle se jyada khubsurat lagegi ya phir kis angle se uska chehara bada dikhayi dega.

Jab Robot ko banane waale researchers ne Jia Jia se “Hello” kaha toh usne jawaab me kaha “yes my lord mai aapke liye kya kar sakti hu?” Wahi Jia Jia se haath hilaane ko kaha gaya toh usne waisa hi kiya. Robot ko design karne waale researchers ne bataya ki Jia Jia ko iss tarah se design kiya gaya hai, jisse uske chehare ke haav-bhaav, muh aur body language bilkul kisi asli insaan ki tarah lagti hai. Unhone yeh bhi bataya ki aane waale 5 se 10 saalon me China me Robots ke liye banaye jaane waale application programs badhengi. Jia Jia ke saamne camera lekar agar koi bhi jaata hai, toh woh photo ke liye turant taiyaar ho jaati hai. Iss Robot ko banane me poore 3 saal ka samay laga. Yeh robot apple ki cloud aur i-cloud se mile messages ke according kaam karti hai. Iss Robot ko saal 2017 me launch kiya gaya, tab se Jia Jia ne kaafi popularity gain ki hai. Jia Jia ko traditional Chinese attire diya gaya hai, jisme woh kahi se bhi ek robot nahi lagti hai. Iss Robot ko banane waali team ke mutabik, aane waale kuch saalon me Jia Jia jaisi aur bhi Robot Chinese Restaurants, nursing homes jaise dusre jagah dikhne lag jaayegi.

Toh yeh thi Chinese Robot Jia Jia ki kahani. agar aap aisi tech se joodi aur bhi baatein jaan’na chahte hai toh bane rahiye humare saath iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz. Dhanyawaad

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

Hina Hussain एक मुस्लिम परिवार की बेटी जिसे हमेशा से बताया गया था कि जब उसकी शादी होगी तो किस standard का लडका होना चाहिए।

Read More »
SOLDIER 2

Soldier 2

जब बात शुरू हुई सोल्जर को बनाने की तो मेकर्स मूवी में बतौर मेल लीड एक्टर के लिए सिर्फ और सिर्फ बॉबी देओल को कास्ट

Read More »

Tridev 2

Aksar aisa hua hai ki criminals khud ki apradh ko chipane ke liye ya toh jhut ka sahara lete hai ya politics ka kyuki wo

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​