KGF ke pehle do chapters me humne dekha tha ki, kaise Rocky apne aap ko ek mafia ke roop me ubhaarta hai. Wahi Rocky ki pehchaan Mumbai me baithe underworlds se bhi thi. Aise me jab KGF chapter 3 me Rocky videsh ka rukh kar raha hai, toh woh sab se pehle America pahuch sakta hai wajah iski saaf hai, film KGF ne America me kaafi jyada acchi kamayi ki thi aur America ke log Yash ke bade fan bhi ban chuke hai. Dusri taraf jis tarah se KGF “gangster” aur “smugglers” jaise logon ki kahani pe based hai, aise me KGF ke nirmaata Prashant Neel ko America se apne film ke liye bahut accha content mil sakta hai. America ke New York ko toh waise bhi gangsters aur crime families ka ghar maana jaata hai, jiske basis pe Mumbai me bhi Underworlds ka aana hua. Agar Rocky America jaata hai toh usse waha pe apne dushmano ke liye taiyaar rehna hoga, jo kisi baahari smuggler ko aise hi apne desh me pakad bithane nahi de sakte. Par sochne waali baat yeh hai ki, aakhir Rocky ka yeh American dushman hoga kaisa? Agar aap bhi yahi soch rahe hai toh aayiye jaante hai.
Itihaas me American mafia ke naam bahut saare khatarnaak vaardaat darj hai. New York ke “5 crime families” se toh sabhi awgat hai aur unhi me se ek tha Lucky Luciano, jo New York shehar pahuch kar 5 crime families me shaamil hua aur “Luciano gang” ki sthapana ki. America me crime ki shuruat tab hui jab Italy ke kuch gangsters New York aaye aur apni ek alag gang banayi aur phir yahi se shuru hua mafia gang aur crime ki woh kahani, jiske aag me aaj bhi America jalta hai.
Lucky Luciano ka asli naam “Salvatore Luciano (सल्वाटोर लुचिआनो) tha. Uska janam 24 November 1897 ko Lercara Friddi Sicily, Italy (लेरकारा फ्रीडी सिसिली) me hua tha. Luciano ke alawa uske 4 aur bhai-behan bhi the. Luciano ke pita Sicily me Sulphur ke mine me kaam karte the, jab Lucky Luciano 8 saal ka tha toh uska pariwaar Sicily se United States aa gaya. Woh log New York shehar me stith Manhattan(मैनहट्टन) ke Lower East Side me bas gaye, jo ki Italian Immigrants ke beech ek popular jagah thi. 14 saal ki umar me Luciano school se drop out ho gaya aur “Hat Delivery” ka kaam karne laga, jiske liye use har hafte 7 dollars milte the, jo aaj ki Indian currency ke mutabik 600 rupay ke aas-paas hai. Halanki Luciano jab ek lottery ke through 244 dollars jeet gaya toh usne apni naukri chod di aur phir sadak pe woh paise kamane laga. Ussi saal Luciano ke maata-pita ne use “Brooklyn Truant School” (ब्रुकलिन ट्रूंट स्कूल) me bheja. Luciano jab teenager tha tab usne apni gang ki shuruat ki thi. Luciano uss dauran “Five points gang” ka bhi member tha, jo asal me ek street crime gang hua karti thi. Lekin jaha dusri gang ka maksad sirf crime failaana tha. wahi Luciano young Jewish ko Italian aur Irish gangs se protect karta tha, lekin badle me Luciano unse har hafte 10 cents leta tha. Luciano aage jaakar crime ki, duniya me apni pakad banata gaya. 1916 se lekar 1936 tak Luciano 25 baar arrest hua tha. Halanki usne kabhi bhi apne din jail me nahi guzare the. 1920 me America ke naye rules ke mutabik Alcoholic beverages ke manufacture, selling aur transportation pe rok laga di gayi. Lekin jaahir taur pe alcohol ki demand logon ke beech bani rahi. Issi demand ka fayeda criminals ne uthaya, jinhone alcohol ko black me bech kar apne nayi income source ki shuruat ki. 1920 tak Luciano aane waale samay ke kayi mafias se mil chuka tha, Jisme Frank constello(फ्रैंक कॉन्स्टेलो) aur Vito Genovese(विटो जेनोविस) bhi shaamil hai, jo ki Luciano ke tab se dost hai jab woh “Five points gang” ka member hua karta tha. Ussi dauran Luciano apne partners ke saath gambler Arnold Rothstein(अर्नोल्ड रोथस्टीन) ke liye kaam karne laga. Arnold naye niyam ko dekhte huye samjh gaya ki Alcohol ka kala-bazaar use kaafi paisa de sakta hai. issi kaaran Arnold ne Luciano ko Alcohol ki smuggling ke गुन sikhaye taaki woh iss dhandhe ko chala sake. Arnold ke paise pe Luciano aur uska dost Costello aur Genovese, ab Alcohol ki smuggling ke dhande me aa chuke the. Arnold ne Luciano ke liye ek mentor ki tarah kaam kiya. Lekin inn sab se alag Arnold ne Luciano ko bataya ki, ek “high society me kaise aage badha jaaye”. 1923 me Luciano undercover agents ko heroin bechne waale ek sting me pakda gaya. Lekin Luciano ne jail me zara bhi wakt nahi guzara. Ek drug peddler ke roop me pehchane jaane ke baad, Luciano ki image uske high-class doston aur customers ke beech khraab ho gayi. Apne iss image ko thik karne ke liye Luciano ne Boxer Jack Dempsey(जैक डेम्पसे)aur Luis Firpo(लुइस फ़िरपो)ke beech hone waali boxing match ke expensive seats ke 200 tickets, khareede aur usse bade aur naami gangsters aur politician ke beech baant(बांट) diya. Iske baad Arnold Luciano ko Wanamaker’s department store le gaya, taaki Lucisno match ke liye expensive kapde khareed sake. Yeh strategy kaam aayi aur Luciano ki reputation bach gayi. 1925 tak Luciano ki salaana kamayi 12 million dollar ke paar jaa rahi thi. Luciano sirf gambling aur alcohol ki smuggling se akele har saal 4 millions dollars kama raha tha. Uss dauran purane Italian mafias old tradition ko follow karte the, jisme Italian mafias sirf Italians ke saath hi kaam karte the. Gangsters unn logon ke saath kabhi bhi deal nahi set karte the, jo Non-Italian hote the. Lekin Luciano inn sab se alag tha. woh Irish, Italian aur Jewish har kisi ke saath kaam karta tha. Luciano ka maan’na tha ki, jab tak use paise mil rahe hai, tab tak use fark nahi padta hai ki, kon Italian hai aur kon nahi. Aage jaakar Luciano ne unn mobsters ke saath bhi haath mila liya jo Italy me janme the, lekin America aakar bas gaye. Luciano ko Arnold ke dwara di gayi seekh ke according, use apni gang ko ek criminal empire me khada karna tha, jo usne kiya bhi. Luciano pehla aur ek matra “National crime syndicate” ka head tha. Iske alawa Lucky Luciano ne 5 crime families me shaamil “Genovese family” ka bhi head tha, jo pehle “Lucky Luciano crime family” ke naam se jaani jaati thi, lekin baad me Luciano ke dost Vito Genovese iss crime family ka boss ban gaya. 1929 me Luciano ko 3 aadmiyon dwara ek limousine(लिमोसिन) me le jaaya gaya, jaha gunpoint pe unn aadmiyon ne Luciano ko khub maara aur छुरा ghusa diya. Baad me Luciano ko unn logon ne Staten Island (स्टेटन द्वीप)stith ek warehouse me, usske haathon ko baand kar use ek rod se latka diya. Kisi tarah Luciano iss ghatna se bach paaya. Halanki iss ghatna se uske chehare pe “nishaan” aa gaye aur uski ek aankh bhi सूज (swollen) gayi. Luciano ke mutabik woh nahi jaanta ki, akahir woh log kon the? yaha tak ki, aaj tak bhi koi yeh pata nahi laga paaya hai ki aakhir kisne Luciano ko iss tarah maara tha.
Luciano ki 26 January 1962 ko heart attack ke kaaran, Airport pe maut ho gayi thi. Luciano American producer Martin Gosch(मार्टिन गोश) se milne Airport gaya tha, jo uski life pe film bana rahe the. Luciano Martin ko yeh batane gaya tha ki film me kisi bhi mafia ko antagonize karne ki jarurat nahi hai.
Toh yeh thi Genovese crime family ka head aur American Gangsters Lucky Luciano ki kahani. Iss tarah ke kirdaar ko hum KGF me shaamil hote huye jarur dekh sakte hai, kyunki KGF ki bhi kahani 80 ke pehle ke dashak pe based hai.