KGF 3

Stephanie St. Claire ek African decent ki mahila gangster thi. Stephanie ka janam 24 december 1857 ko West Indies ke sehar Gudeloupe(गुदेलूप) me African mool ki ek akeli Maa Félicienne(फेलिसिएन) ke ghar hua. Félicienne ne apni beti ko school bhejne ke liye kadi mehnat ki thi. Jab Stephanie 15 saal ki hui toh uski Maa bimaar rehne lagi thi, jis wajah se usse school ki padhai chodni padi. Uss lagbhag Stephanie thode bahut paise bachane me kaamyaab rahi. Jab uski Maa ki maut ho gayi toh Stephanie ne apna sehar Guadeloupe chod diya aur Canada ke Montreal aa gayi. Uske baad 1912 me Stephanie Montreal se USA ke New York as an Immigrant chali gayi. Stephanie ne USA aakar apne khaali wakt ka istemaal, angrezi seekhne me kiya. Harlem aakar Stephanie ko ek chote-mote badmaash Duke se pyaar ho gaya. halanki Duke Stephanie ko Prostitution me isse pehle daalta, Duke ek gang humle me goli lagne ki wajah se maara gaya. Iske kuch mahino ke baad Stephanie ki dosti ED se ho gayi. Jiske baad Stephanie ne apne boyfriend ED ke saath milkar ek business ki shuruat ki, jisme woh controlled drugs ko bechti thi. Kuch hi mahino me Stephanie ne $30,000 tak ki kamayi kar li aur usne ED se kaha ki, woh use chodna chahti hai aur apne khud ke business ki shuruat karna chahti hai. Lekin yeh sunte hi Ed ne Stephanie ka गला घोंटने(Strangle) ki koshish ki lekin Stephanie ne Ed ko itni jor se dhakka diya ki uski खोपड़ी ek table se jaakar takra gayi aur uski wahi maut ho gayi. Kuch mahino baad Stephanie ne apne aadmiyon ko hire kiya, police officers ko rishwat di aur 12 April 1917 ko Harlem ke hi ek secret lottery game me, Stephanie ne apne khud ke 10,000 dollars invest kiye. Stephanie uss dauran shehar me sab se jyada famous “number game” chala rahi thi. Number game ko Italian lottery ya mafia lottery bhi kaha jaata hai, jo ki illegal gambling hoti hai. Iss game ko jyadatar America ke gareeb ya working class society ke log hi khelte hai. Apni iss safalta ki wajah se Stephanie poore Manhattan me “Queenie” ke naam se jaani jaane lagi. Lekin Harlem ke logon ne use “Madam St. Claire” ka naam diya. Stephanie policy banking me shaamil thi, jo ki asal me investing, gambling aur lottery ka mix hai. Kayi banks uss dauran tak Black(अश्वेत) customers ko accept nahi karte the, jis wajah se wo log legally apne paison ko invest nahi kar paate the. Policy banking poori tarah se legal nahi thi, lekin uss dauran Harlem ke black logon ko yahi ek maatr option diya gaya tha. Agar woh log apne paise ko invest karna chahte hai toh unhe policy banking ke through hi investment karni hogi. Policy banking poori tarah se black industry thi. Uss dauran number game पुरुष प्रधान tha, jisme Stephanie ek maatr mahila thi. Stephanie ne Harlem ke black community ki bhi kaafi madad ki. Usne kayi logon ko apne number business me jobs diya. Stephanie ne apni community ko badhane ke liye apne paise bhi donate kiye. Apne number game se mili safalta ki wajah se Stephanie lavish life jee rahi thi. Stephanie 1920s me salaana 20,000 dollars kamaati thi. Stephanie ko black community ko badhane ke liye bhi jaana jaata hai. Stephanie, Harlem ke black logon ko unke legal rights, voting rights aur black logon pe police dwara kiye jaa rahe injustice ko lekar local newspaper me ads publish karwati thi, taaki Harlem ke logon ko inn sab ke baare me pata chal sake. Stephanie ne bahut baar police dwara kiye jaa rahe injustice ke khilaaf, local authorities ko complain bhi ki thi. Jab authorities ne iss baat pe koi dhyaan nahi diya toh Stephanie ne senior police officers pe corruption ka aarop lagate huye, Harlem ke newspaper me ads chapwa diya. Iske baad Police pe jhuthe aarop lagane ke jurm me Stephanie ko arrest kar liya gaya, jis wajah se Stephanie ne pure 8 mahine ek workhouse me bitaye. Iske jawaab me Stephanie ne Seabury Commission(सीबरी आयोग) ko गवाह diya ki “usne police officers aur jo log Harlem number game ka hissa bane the, Stephanie ne unhe भुगतान kiya tha.” Iss गवाह ke baad commission ne kayi officers ko naukri se nikaal diya.

Alcohol pe se jab prohibition ka ban hata, toh jo log alcohol ki Black marketing kar paisa kama rahe the, unhe apne munafe me kami dikhayi dene lagi. Isme Jewish aur Italian-American crime families bhi shaamil thi. Mafias ne munafe me kami hone ki wajah se Harlem ke gambling me shaamil hone ka faisla kiya. Inn sab me Dutch Schultz(डच शुल्त्स) pehla mobster tha, jo Harlem ki gambling me jabardasti shaamil hua aur paise naa dene pe “Number game” operators ko maarne laga. Stephanie aur uska sahyogi Bumpy Johnson police dwara mil rahe dhamkiyon ke bawajood, Dutch Schultz ko paise dene saaf inkaar kar diya. Stephanie ne Schultz ko sabak seekhane ke liye, police ko uske aadmiyon dwara chalaye jaa rahe illegal business ki dukaano ki jaankaari de di. Iska natija yeh hua ki Police ne Schultz ke ghar pe raid daali, jisme kayi employees ko jaha arrest kar liya gaya, wahi 190 million dollars police dwara seize kiya gaya. Schultz se huye iss maamle ke baad St. Claire ko crime se hatt kar police se apni doori banaye rakhni padi. Issiliye usne apne criminal business ko apne sahyogi Bumpy Johnson ko saup diya. Iske baad Bumpy ne Lucky Luciano ke saath deal fix ki, jisme Lucky ne Schultz ki jagah leli aur deal ke according iska thoda percent Bumpy Johnson ko bhi diya gaya. Iss wajah se jab bhi Italians ko Harlem me koi dikkat hoti thi toh woh seedhe Bumpy ke paas jaate the. 1940s ka woh daur tha jab Bumpy Harlem ka reigning king ban gaya, wahi Stephanie number game me bahut कम शामिल hone lagi. 1940s ka woh daur tha jab Stephanie ka character kaafi badal chuka tha. woh ab mafia se ek successful businesswoman ban chuki thi. Inn sab ke baad bhi Stephanie local newspaper ke ek column me discrimination aur police dwara kiye jaa rahe अन्याय ke khilaaf likhti rahi. Stephanie ki maut ek ameer mahila ke roop me uske 73rd birthday se pehle hi ho gayi. Lekin uski maut ko lekar koi official date aaj tak disclose nahi hui hai.

Toh yeh thi female gangsters Stephanie ki kahani. KGF 3 me aage jaakar kisi female gangster ki entry bhi ho sakti hai, jo Rocky jitni hi powerful hogi. Aur kyunki Reena ki maut KGF 2 me ho gayi hai. iss wajah se ek female gangsters Rocky ki nayi love interest ban kar bhi ubhar sakti hai.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

leo

Leo

फिल्म लियो की पहली song को रिलीज कर दिया गया है और इस गाने ने जो रिकॉर्ड बनाया हैं वो एक्टर विजय थलापति को लाइफ

Read More »

Bahubali 3

फिल्म बाहुबली कोई छोटी मोटी फिल्म नहीं थी साल 2015 में अगर किसी फिल्म ने पूरी भारतीय सिनेमा को हिला कर रख दिया था तो

Read More »
Master

Master

Thalapathy Vijay का कहना है की “Vijay Sethupathi ऐसे इंसान बन चुके है जिन्हें avoid नहीं किया जा सकता है. Thalapathy कहते है की “हमने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​