Toh yeh baat hai Ranjit Kumar Chandra ki jo ki Indian born Canadian the. 1980s se hi inhone apne rang Canada ki Ross Laboratories mein dikhana start kardiya the. Chandra ko hire kiya tha Ross Laboratories walon ne jo ki Isomil aur Similac naam ke infant formula banati hain. Unhone Chandra ko study karne ke liye diya tha ek aisa formula jo ki infants yaaniki chote bachon ki allergy ki problems ko solve karde. Chandra iss formulae ki study kar rahe the. Ussi samay Nestle aur Mead Johnson ne bhi Chandra ke saath contract sign kiya tha aisi hi study ke liye.
Abb aise mein Chandra ne yeh claim kardiya tha ki Nestle aur Mead Johnson ke formulae toh aisa kar sakte the mafar Ross Labs ke nahi. Ji haan, Chandra ki research yeh batata thi ki Nestle aur Mead Johnson perfect hain, aur woh inn allergy ki problems ko solve kar sakti hain, magar Ross Labs ke formulae “incompetent” hain, aur unhein apni research badalni padegi. Baad mein Mariyln Harvey naam ki ek nurse ne iss baat ko oppose kiya tha. Marilyn Chandra ke liye subjects laati thi lab mein, aur usne bataya ki sabhi formulae bilkul same the, aur Chandra ne zabardasti Ross Labs ka naam kaharab karne ke liye unka formula galat bataya hai.
Pehle toh Chandra maan hi nahi rahe the, magar baad mein unhone yeh kehkar baat tahl di ki Ross Laboratories waale unhein paise sahi nahi de rahe the, isi liye unki research sahi nahi ho paayi.
Iske alawa bhi Chandra ne Nutrition naam ki journal mein apna “multivitamin supplement” Science ki history mein sabse kamaal ka supplement bataya tha. Chandra ka claim tha ki yeh supplement 65 saal ke logon ki memory problems ka ilaaj hai, yaaniki jo bhi 65 ke upar ke log yeh supplement khaayenge unhein memory loss nahi hoga. Unhone yeh patent bhi kara liya tha, aur unka claim tha ki isse koi challenge nai kar sakta. Baad mein British Medical Journal ne yeh claim daala tha ki yeh sabhi patents aur rights joothe hain, aur sabhi hallmarks khud hi banaye gaye hain. Aur yeh sahi bhi tha kyon ki Chandra ne isse apni beti ki company Javaan Corporation se hi verify karwaya tha. Iske alawa bhi Nutrition journal walon ne hi aur sawaal utha diye the yeh kehte hue ki “unse galti hogayi hai, aur Chandra ke paper publication ki dhangh se jaanch nahi hui hai”. Iske baad jab asli research karni chahi, ki kya yeh supplement jo claim karta hai woh sach hai bhi yaa nahi, toh investigation ho hi nahi paayi kyon ki Chandra retire kar rahe the, aur unhone yeh kaha ki shifting ke dauraan woh saare documents jo isse support karte the, woh sab gum chuke hain!
Toh itni hera pheri ki thi iss scientist ne.
Bus aisa hi corrupt scientist hamein Krrish 4 mein dikh sakta hai.
Tab tak agar aapko hamara blog pasand aya, toh isse like aur share karein.
-By Pratima Ratwani.