The Dakar Rally!
10 se 15 tak chalne wali yeh rally, itehaas se hi kaafi mashoor rahi hai. 1977 mein ek motorcycle racer Thierry Sabine ek din ghum hogaya tha. Usne ke rally mein participate kiya tha magar woh achanak Libyan desert mein kho gaya tha. Usse bahut jald rescue karna padha tha magar usne iss experience se duniya ko kuch naya bhi diya. Yahin se shuruat hui thi Dakar Rally ki.
1979 se yeh rally shuru hui. Iss rally mein 5 alag tarike ki gadiyan ek challenging trek karti hain. Yeh alag isi liye hota hai kyon ki ek toh yeh gadiyan desert mein chalti hain aur dusra inke drivers ke paas koi ajeeb sa roadmap hota jiske hisaab se inhein aage badhna hota hai. Unhein pehle hi kuch zaroorat ke saman ki list di jaati hai jo unhein trek ke dauran car mein kaam ayega, aur unhein 10 se 15 din ke liye chod diya jata hai.
Abb yeh track desert mein hota hai toh zaahir si baat gaadiyon ke makers ko dhiyan rakhna padhta hai ki tyres aise lagaye jaayein jo reth mein ruke na. Yeh ek race zaroor hoti hai, magar drivers isse apne hi skills test karne ke liye chunte hain. Aise rough sadak par gaadi chalana sabke bus kaa nahi hoti. Kyun ki map race ke waqt hi diya jata hai, toh racers iss track par practice bhi nahi kar sakte hain. Unke liye hamesha hi sab naya hota hai.
Iss rally ne kayin routes cover kiye hain aur alag alag countries aur continents bhi. 1979 se 2007 tak yeh Europe aur Africa host kiya karte the. 2009 se 2019 tak isse South America ne host kiya hai aur uske baad se isse Saudi Arabia host kar raha hai.
Iss rally ka aim hi yeh hai ki racers ko aise aise landscapes se nikalwaya jaaye ki woh dang reh jaayein.
Kamaal ki baat yeh hai ki khud Thierry Sabine ki maut bhi aise hi trek ke dauraan 1986 mein hui thi. Iss rally ke dauraan hi Thierry helicopter mein the. Woh yeh rally upar se dekh rahe the. Magar yeh rally kyon ki desert mein hoti hai, toh kayin baar racers ko sandstorms ka saamna karna hota hai. Aur aisa hi ek bada sandstorm Thierry ke helicopter ride ke samay bhi aya tha. Bade bhayanak tarike se hi unka helicopter crash hua, aur woh baaki 4 passengers ke saath maare gaye the.
Toh bus aisi hi khatarnak race hamein Race 4 mein dekhne ko mil sakti hai. Aur iss race mein kaisi kaisi gadhiyan hissa leti hain yeh hum aapko agle video mein batayenge.
Tab tak agar aapko hamara yeh blog pasand aya toh isse like aur share karein.
-By Pratima Ratwani.