Rambo

Rambo

Thumbnail

भारतीय सेना ने dikhaya वीर प्रक्रम

Sierra Leone Africa ke West Coast Mein Basa Ek Chhota Sa Desh Hai Jahan per 1961 Tak British rule chala, Ek Bar British ke jaane ke bad Yahan alag alag Kabilon main Sangharsh shuru ho gaya or 1991 Aate Aate yah Sangharsh civil war Mein badal gaya, 30 years Tak chalne wale is yuddh mein Kai Sare aatankwadi Sangathan Uber kar Samne aa gaye the, Inmein se sabse Khatarnak aur beraham group Mana jata tha Ruf, yani ki regulations United front. Ruf Badnaam tha logon ka katleaam karne ke liye, auraton ka rape karne ke liye aur chhote chhote bacchon ko drugs ki Aadat Laga kar aatankwadi banane ke liye.

R u f ka ye Khatarnak Chehra Duniya Ke Samne Tab aaya Jab 5 January 1999 ko Ruf ne Sierra Leone ki Rajdhani free town per Hamla Kar Diya, Vahan per Hamla Karte Hi RUF ke aadamiyon ne katleaam aur auraton ka rape karna start kar diya Aur Logon se Bhari building ko aag ke Hawale Kar Diya, Ruf Yahan Tak Nahin Ruki Balki unhone chhote chhote bacchon ke Hath aur pav Tak kat diya, Chhote chhote bacchon mein newborn baby bhi Shamil the.Ruf ka ye katleaam 7 days tak chala Or 12 jan 1999 ko jakar rukha. Is incident ke bad United State ki Nind Khuli or usse ne vahan per negotiation start kar di. Kuchh mahinon ke negotiation k baad Sierra Leone ki saari parties ke bich mein Ek agreement sign hua jiska naam tha “The lome agreement” is agreement ke tahat Sabhi aatankwadiyo ko Apne Hathiyar United State Ke Samne surrender karne Honge, Yani ki na unhen arrest Kiya jaega Nahin hi voh surrender Karne Wale the sirf Apne Hathiyar United States ko Dene Wale the. Iske liye United States ne United State assistant Sierra Leone yani ke UNSL ki committee Banai United States ne UNSL mein Army bhejne ke liye India se bhi madad ki guhar Lagai Aur India ne apni Army bhejne Ka Faisla Kiya. Indian army ki Jin forces ko UNSL main bhejne Ka Faisla hua uska naam tha in bat one Aur dursi force bheji Gai thi uska naam tha QRC yani ki Quick reaction force.

 Indian forces December 1999 Tak Sierra Leone main Indies ho chuki thi, Aur April 1999 tak inki 200 companiyon ko RUF ke Dominic area Jaise Daru Or Kailahun deploy Bhi Kiya Ja chuka tha. United State ke is mission ka commander bhi Indian Army ke ek officer ko hi Chuna gaya tha, Jinka Naam hai Major general VK jetly. Usse time ye Lieutenant General Hua Karte The. Inka objective tha aatankwadi se Hathiyar dalvana aur civilian ko surakshit karna aur unhen medical equipment provide karvana. Isase pahle ki objective pura Ho pata Ruf Or unsal main samil Kenya ki forces main jhadap shuru ho gai, iske Chalte 1 may 2000 mein Daru Or Kailahun se 250 KM door Makeni main Kanya ki forces ke upar Ruf ne Hamla Kar Diya aur unhen Bandi banaa liya, Communication gap hone ki vajah se Daru Or Kailahun main tenat in-bat-one forces ko iski Jankari Nahin thi. Agale Din in bat one Or Ruf ke bich main Kailahun main meeting Hone Wali thi, is incident se Anjan in bat one ke officer commander Ruf ke pass pahunche Jahan ruf unhen pahle Hi pakdane Ko taiyar tha. Jaise hi vahan per pahunche unhen Hathiyar dalne per majbur kar diya Gaya Aur unhen Bhi Hostage banaa Diya Gaya, Charo taraf se giree hone ke bavjud in bat one ke officer ne Hathiyar Nahin dalen aur vah batchit Karte Rahe Ruf ke sath. Kuchh Dinon Ki batchit ke bad Ruf in bat one ke officers ko chhodane ke liye Raji Ho Gaya. Lekin abhi bhi USAL main in-bat one ke Jawan Charo taraf se ruf se Gire hue the. Indian government ne United Nation, Britain aur jo Baki ke Desh the jinki army UNSL main Shamil thi un Sab ke sath batchit karna Shuru kar diya Or India Ne Idea Rakha military operation karne ka Offensive karne ka. United Nation abhi is bare mein Soch Raha Tha Ki tabhi India ki leadership mein Britain aur Baki ke Desh military operation karne ke liye taiyar ho gaye. Yah operation five phase mein kiya Jana Tha, Har Phase mein India ki Bhumika bahut jyada thi aur important thi. Is operation ke bad Indian Army aur Indian Air Force Duniya ko apni strategy planning ka Loha manvane wali thi. Lekin is operation ko successfully karne mein bahut sari problem thi Jase Sierra Leone ki geography, hostages camp ki details etc etc.

Yah sari intelligent karne ka kam Diya Gaya India ki second paraforce ko, Halat Itni kharab thi Ki para forces ke pass Sierra Leone ka geographical map bhi nahin tha isiliye 2nd para force ke Commando tourist map or basic instrument Jaise satellite phone ke sath getup change kar ke ruf ke camp main enter Ho Gaye Aur unhone intelligence gather karni start kar di. 2nd para force ke Commando 24 seven satellite phone Se in- bat one Se conducted the Aur sari intelligence de rahe the. India ki second paraforce ke dwara collect ki gai is intelligence ke Dam per hi yah Mission successful hone wala tha.

15 july ko Subha 6 off clock Indian Air Force ne 80 para commander ko Dushman ki territory mein utaar Diya, In Commando ko air cover Diya Jaane wala tha lekin us Din Mausam kharab hone ki vajah se cover dene mein aadhe ghante ki deri ho gai, Iske bavjud Hamare para commandos is vajah se Ruke Nahin unhone operation ko delay karna Sahi Nahin Samjha Aur vah Bina cover ke Aage badhate Rahe inmein se 40 Commandos ne Jamila gaon ke upar Ham la bol diya, Vahi 34 Commandos ne banda junction per Hamla bol diya aur unhen secure Kar Diya. Baki ke 6 commandos ne vahan per Hamla bola Jahan hostages ko Bandi Bana Ke Rakha gaya tha, Yahan per para forces ne Apni 5/8 Gorkha Rifles ko bachane Se Pahle United Nation Ke Jo Military officer the unko bachane Ka Faisla Kiya Taki Duniya Ko galat message Na Jaaye.

Para forces ke Commando bina kisi cover ke Aage badh rahe the aur Sath hi ruf ki heavy firing bhi le rahe the, lekin rok Nahin Rahe the aage badhate bharate aakhirkar kambia hunt ke town Shahar pahunch hi gaye. Lagbhag 9:30 Tak weather clean Ho Gaya aur Indian Air Force ne coverfire Dena start kar diya, wahi 6:20 min hi Daru wala mai bhi Hamla bol diya tha, Daru mein India ke 18 grenadier k javan maujud the. 18 grenadiers ne integrity fighting vehicle aur artillery ki madat se jitne bhi Raste Jo Daru Ki Taraf Jaate the ya Bahar nikalte the us per kabja karna Shuru kar diya Aur vah Kafi Tej Gati se Aage Ki or badh rahe the.

Lekin Subah 8:30 baje Ind ko Daru wala main raf ki heavy firing ka Samna karna Pada lekin Indian forces ne enemies ko neutralize jaldi Kar Diya Aur Aage badhate Rahen or vahan per jitne bhi Hostages the unhen helicopter ki madad se Bahar nikala.

 Lekin abhi Aakhri aur sab se important kam Baki tha, Ye tha pendembu per kabja karna Kyunki ki Ruf ka headquarter pendembu per tha. Jisko Charon taraf se r u f ke aatankwadiyon Ne ghera hua tha iske upper RPG lagi hui thi LMG lagai gai thi or ise Ek kile ke baati secure Kiya hua tha. Dopahar ko theek 1 Baje Indian Air Force 5 bar headquarters Ke Upar Se gujre Goliya barsate hue Aur kuch Minto mein jitni bhi Suraksha protect kar rahe the headquarters ko vah Dhul Mein Mit gayi, Aur tabhi dusri taraf se 18 grenadiers or para forces Ne Hamla bol diya. Pendembu per operation lagbhag 5 ghante chala Aur Sham 6:00 baje tak ruf ka Naam O Nishan MIT Gaya, Ruf ke Kuchh aatanki Mare gaye the aur kuchh Bhag gaye the. Sham 7:00 Baje saari Indian force pendembu per Jama Ho Gai thi. Iske bad bhi ruf ke kuch aatankwadi ne jungle ki taraf se firing Shuru kar di, Per Jaldi hi Indian forces ne unhen neutralize Kar Diya.

 agale Din 16 July ki Subah Indian forces ne Ruf ke jitne bhi bunkers the unhen destroy Kar Diya Aur apne Sabhi Veer javanon ke sath Sierra Leone se nikal Gaye. Is mission ki success ke bad Kai economic pandito ne United States ko India Se sikhane Ki sala di. India ne jaha pura mission bahut kam kharcha Karke pura Kiya or economics Pandit ka Manana tha Agar yah mission India ki jagah America karta to America India se 10 Guna Jyada Paisa kharch karta Aur is mission ko pura Karke Indian Army aur Indian Air Force ne Puri Duniya Ko apni strategy planning or Asim takat ka Parichay karvaya.

To is operation se inspire ho sakti hai Rambo flim ki story.

To yah thi Puri real story operation Kurki ki Agar aapko yah story jaankar Indian Army and Indian forces per proud feel kar rahe ho to is video ko like Jarur karna aur comment box mein ye story Jhankar kaisa laga niche comment box Mein Jarur batana.

Divanshu

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

brahmastra 2

Brahmastra 2

फिल्म ब्रह्मास्त्र में एक्ट्रेस दीपिका पादुकोण कि क्लिप देखने के बाद audience को तो एक बात समझ आ गया है कि, फिल्म में शिवा की

Read More »

Race4

Race film mein bhi hame ese hi billionaire gangster ki story dikhayi jati hai to shayad Race 4 mein bhi hame Al Capone ki tarah

Read More »
Serial Killer , bollygradstudioz.com

Doctor बना Serial killer का target!

एक दिन शहर के एक हॉस्पिटल में 17-18 साल का माइकल और उसका पड़ोसी थॉमस, माइकल की मां को हॉस्पिटल ले जाते हैं। उसकी मां

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​