Ganapath

Film Ganpath me iss baar Kriti Sanon bhi Tiger Shroff ke sang milkar apni martial arts ki technique darshakon ke saamne dikhane waali hai. Iske liye Kriti ne ek Shaolin Master se training bhi li hai taaki woh iss technique me maahir ho sake. Yaani ki iss baar hume female martial artist ka dum dekhne ko milne waala hai. Baat wahi agar hum martial arts ki kare toh humare saamne Bruce Lee, Jet Li ya Jackie Chan jaise purush naam hi humesha aate hai. Par kya aapne kabhi ek female martial artist ke baare me sunna hai? Agar nahi toh aayiye aisi ek kahani se hum aapko ru-ba-ru karwate hai.

Cynthia Ann Christine Rothrock (सिंथिया ऐन क्रिस्टीन रोथ्रोक) ek American Martial artist hai, jo filmon me bhi kaam karti hai. Rothrock ke paas 7 alag style ke martial arts ki black belt maujood hai. Cynthia actress banne se pehle ek high-level ki martial artist reh chuki hai.

Cynthia ka janam 8 March 1957 ko Wilmington, Delaware,(विलमिंगटन डेलावेयर) USA me hua tha. Cynthia ke paas Tang soo Do, Kung fu, Karate, Wu Shu, Eagle Claw, Taekwondo jaise aur bhi martial arts styles me, black belt haasil hai. Cynthia ka bachpan America ke Pennsylvania me guzara. Jab Cynthia 13 saal ki thi tab hi se unhone martial arts ki training lena shuru kar diya tha. Cynthia weapons aur forms, dono hi tarike ke martial arts ki 5 baar ki World Champion reh chuki hai. Yeh championship gender basis nahi thi. issme male aur female dono martial artist shaamil huye the. Cynthia ne inn sab ko hara kar apne naam “World champion” ka title haasil kiya tha. Cynthia 12 baar weapons me first prize jeet chuki hai. Iske alawa forms me unhone 32 baar first prize own kiya hai. Isme 4 me se 3 baar Cynthia ne “men’s form” me bhi compete kiya hai, kyunki uss dauran “female category” nahi hoti thi. Cynthia 5 tournaments ki jaha Grand Master reh chuki hai, wahi woh 5 me se 4 “fighting events” me first position pe rahi. Cynthia ne eastern martial arts jaise ki “Tang Soo Do”(Korean), “Taekwondo”(korean), Eagle claw(chinese), Wushu(Chinese), Northern Shaolin(Chinese) jaise aur bhi martial arts me black belt aur sashes jeeta hai. Cynthia ne Tang soo Do me 6th degree black belt 2006 me, 49 saal ki umar me haasil kiya tha. Iske alawa Cynthia ko Tang Soo Do me 9th degree black belt 2015 me, 58 saal ki umar me mili. Cynthia ek bahut accha example hai unn logon ke liye, jinhe lagta hai ki age hone pe log kuch nahi kar sakte. Naa sirf Cynthia ne age barrier toda hai balki unhone martial arts ko lekar jo logon ke mann me gender inequality ki soch hai, usse bhi Cynthia ne khatam kiya hai. Cynthia batati hai ki auratein bhi martial artist ho sakti hai aur martial arts ko lekar junoon hone ke liye unhe, purush hone ki jarurat nahi hai.

Cynthia martial arts ki instructor bhi hai. unka favorite weapon “hook sword” hai. Hook sword traditional Chinese martial arts ka weapon hai. 1983 me Cynthia ko “Black belt magazine hall of fame” me “Female competitor of the year” ka title diya gaya. Cynthia pehli mahila thi jinhe martial arts ke magazine ke cover page pe shaamil kiya gaya tha. 1986 me Cynthia ne George Chung(जॉर्ज चुंग) jo ki ek producer, author, martial artist aur businessman hai, unke saath milkar “Advance Dynamic Kicks” naamak ek book likhi thi. 2014 me Cynthia ko HBO ke “Urban action showcase and expo” me ‘legacy award’ se samaanit kiya gaya tha. Cynthia ne 1985 me Hong Kong based production company “Golden Harvest” ke liye pehli martial arts based movie “yes madam” banayi thi, jisme actress Michelle Yeoh (मिशेल योह) bhi shaamil thi. Yeh film box office pe kaafi hit rahi thi, jiski wajah se aane waale 3 saalon tak Cynthia Hong Kong me hi rahi aur waha pe 7 aur filme unhone ki. Cynthia ki pehli American film “Hours to midnight” thi. Cynthia unn chuninda foreign actors me shaamil thi, jinhone Hong Kong ki local industry me apna naam kamaya tha. Hong Kong ke baad jaakar Cynthia ko apne desh America me fame mili. Aane waale 10 saalon tak Cynthia ne “B-grade” filmon me apna safal career bana liya tha. Apne career me “China O’ Brian”, “No Surrender-2”, Hercules: The legendary Journeys”, No Retreat” jaise bahuton filmen karne ke baad, Cynthia acting se retired ho gayi aur apni personal martial arts ki lesson ko, apne California based Martial arts studio me sikhaane lagi. Iske baad 2012 me Cynthia ne “Santa summer house” se dobaara filmon me waapsi ki.

Cynthia ki personal life ki baat kare toh unhone 19 saal me hi apne Kung fu instructor “Earnest Rothrock” se 1976 me shaadi kar li thi. Halanki yeh dono philhaal divorced hai. Cynthia ki ek beti bhi hai jiska naam “Skylar Sophia Rothrock” hai. Cynthia ki khud ki martial arts studio hai jo ki California ke studio city me based hai. Philhaal Cynthia 65 saal ki hai aur aaj bhi apne studio me apne students ko martial arts ki training de rahi hai.

Toh yeh thi female martial artist Cynthia Rothrock ki kahani. Hum Kriti Sanon ko Cynthia ki hi tarah kamaal ki martial arts ke daav dikhaate dekh paayenge. Ganpath me iss baar sabki nazar Kriti Sanon pe teeki hai, kyunki woh pehli baar koi action sequence filmane jaa rahi hai.

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Robot 3.0,Rajinikanth ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Robot 3.0

Jaisa waqt chal raha hai abhi sabhi logo ko apna kaam dusre se karwana hai phir wo chahe koi machine ho ya koi Robot. Insaan

Read More »

Singham Again

जब भी कोई सिंघम की बात करता है, तो हमारे दिमाग में अजय देवगन बाजीराव सिंघम के किरदार में आते है, और साथ background में

Read More »
Master , Salman Khan By Jaya Shree bollygradstudioz.com

Master

Kahani ki shuruaat hoti hai Raat ke andhere se. Jahan toll naake par bahut sari truck khadi hain. “Aee chalo re, aage badho.” Toll naake

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​