18 saal ki umar mein hum sab kiya ki krte hai padte hai apni future ke baare mein sochte hai lekin N Ambika ke sath aisa kuch bhi nhi tha. Ambika ka janam Tamil Nadu ke ek gaaon mein hua tha. Ambika ka baal vivah hua tha wo bhi 14 saal ki umar mein ek constable ke sath. Uss waqt Ambika ko khud bhi sayad pata nhi tha ki uske sath kiya ho raha hai ya usse kiya krna chahiye ya nhi karna chahiye. Ambika Shaadi ke baad ek housewife ki taraf rehne lagi, phir jab wo 18 saal ki thi tab wo do bache ki maa ban chuki thi. Ambika ke mann mein ips baan na hai ko lekar kuch bhi khiyal nhi tha wo ek housewife ki tarah apne ghar ka dhiyan rakhti thi or aapne kaamo mein busy rehti thi.
Ek din Ambika apne pati ke sath 26 January ke parde mein jaati hai wo waha wo har program dekh ti hai jo jo waha hota hai. Parde dekhte waqt bahut saare sawal Ambika ke mann mein utt rahe thy wo uss waqt bas yahi soch rahi thi ki usse uske sawal ka jawab miley. Jaise hi parade khatam hui wo turant apne pati ke paas gayi or unn se puchi ki jo log parade kar rahe or jinko salute kar rahe thy wo log kon hai, toh iss par unke pati ne kaha wo bade officers IPS, IAS hai jo yaha parade dekhne or republic day celebrate krne aaye thy. Ambika ko kahi na kahi ye baat chu gayi or kai dino tak wo isske baare mein sochne lagi or mann hi mann usne IPS bann ne ki thaan li . Uske baad Ambika ne apne pati se IPS bann ne ke baare mein saari information lene lagi. Ambika ke pati ne IPS bann ne ke liye dene waale exam se lekar iski exam kaise hoti hai or iske saath milne waali sam maan ke baare mein saari information lene lagi. Aakhir kaar saari information lene ke baad Ambika ne IPS bann ne ka thaan liya.
Lekin IPS bann ne se pahele hi uske life mein kai saari muskiley aai. Phir usse yaad aaya ki uska IPS bann na possible nhi hai kiu ki Ambika metric ka exam deti uss se pahele uski shaadi ho gayi thi. Aur shaadi ke baad bhi usse padhne ka mauka nhi mil paya tha or IPS bann ne ke liye metri or inter paas hona bahut jaruri hota hai. Ambika ne ye saari baatein apne pati ko batai toh unke pati ne private institution ke baare mein pata lagwai or phir Ambika ko metric or inter ka exam dilwaya. Jaise hi Ambika ne apni inter complete ki usne turant hi IPS officer ke liye apni padhai shuru kar di. Wo jaanti thi ki exam clear krna itna bhi easy nhi hoga toh wo aur aache se or jada mehnat karne lagi. Paheli koshish mein Ambika exam nhi clear par lekin phir bhi usne himat nhi haari. Ambika ne apne pati se baat ki or dusri baar phir se exam dene ki baat kahi iss baar bhi unke pati maan gaye or iss baar Ambika ke pati ghar bhi dekh rahe thy or apna kaam bhi. Lekin iss baar bhi Ambika ki mehnat par paani phel gaya, lagataar 3 baar Ambika koshish krti rahi phir bhi wo exam clear nhi kar paayi. Ambika ko himat jawab de rahi thi ki sayad ab uss se ye nhi ho paayega lekin usne phir se aache se socha ki wo kaha galti kar rahi hai usne apne galtiya thik ki . Ambika ke pati ek din chuti lekar ghar par thy toh Ambika ne himat karke unnse pucha or kaha ki aap mujhe plz ek akhiri mauka de do agar mai iss baar clear nhi kar paayi toh paka mai IPS bann ne ka sapna chor dungi, itna suun Ambika ke pati maan gaye. Iss baar Ambika ne aedi choti ka jor laga diya or akhir kaar saal 2008 mein usne IPS ka exam clear kar hi liya. Jaise hi result saamne aaya Ambika se jada unke pati khush huye unhone puri police department mein khabar bhejwai ki Unki biwi IPS officer bann gayi hai. Ambika ko exam mein all India 112 rank aayi thi.
IPS bann ne baad Ambika ko unki paheli posting mumbai mein mili. Unki training bhii wahi hui or training ke dauraan unke batchmates mates ne bhi unki bahut taarif ki, unki himaat ki daat di. Training complete hotey hi as an IPS officer Ambika ne joining ki or mumbai ke jitne bhi crime ho rahe thy usko jald se jald solve karne ko thaani. Mumbai ke log bahut aache se jaante hai N Ambika ko kiu ki inki kahani or kaam kisi se nhi chuti nhi hai. Yaha tak ki mumbai ke badmaasho bhi inke naam se kaapte hai. Yaha tak ki jab corona tha jitni actively Ambika kaam kar thi apne area mein waisa koi bhi nhi kar raha tha uss waqt. Ambika ne bahut saare aise case solve kiye hai jo ache ache officers nhi kar paaye ussi dauran Ambika ne apne interview mein kaha tha ki agar mai apne chil marriage ko lekar apne parents ko blame karti toh sayad ji aaj mai DCP ban paati, balki wo uss chiz se aage badhi or iss system ko unhone change kiya ki ladki chahe toh shaadi ke baad kiya apne bache hone ke baad bhi kuch bhi hasil kar sakhti hai agar wo aache se mehnat kare toh. Ambika ke kaam ko dekhte huye inko naya kaam naye jagah mili wo abhi DCP-North 4 zone Mumbai mein hai or waha ke log inko Lady Singham bhi bulaate hai. Waikai inke kaam se hame bhi sikh lini chahiye ki kaise agar hum kuch thaan le or mehnat kare uss chiz ko paa sakhte hai. Toh aisi ek nayi kahani ho sakhti hai Singham 3 ki jo himat or gyan dono de. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega or tab tak ke liye aap meri or stories padhiye or hamesha muskurate rahiye……..
Chandan Pandit