War 2

Pichle blog me humne aapko Highjacker D.B Cooper se milwaya tha. Jaha pe Macklow (मैक्लो) ne jab Cooper se pucha tha ki ‘aakhir woh kaha se hai?’ toh iss sawaal pe Cooper pareshaan ho gaya tha aur usne jawaab dene se hi inkaar kar diya tha. Iske baad Cooper ne Macklow se pucha ki ‘kya woh smoke karti hai?’ aur aisa puch kar Cooper ne Macklow ke saamne Cigarette badha diya. Cooper ki iss peshkash pe Macklow ne kaha ki ‘usne bahut pehle hi smoking chod di hai’ lekin phir bhi woh Cooper ke iss offer jo swikaar kar leti hai. FBI ke record book ke anusaar, Cooper ne uss dauran kisi anjaan passenger se thode der ke liye baat bhi kiya tha, tab tak plane Seattle ka chakkar laga rahi thi. Asal me hua kya ki ek interview me passenger George ne kaha ki usne Cooper ke just peeche maujood toilet ka kayi baar istemaal kiya tha. George ne bataya ki Cooper aur Macklow ki seat, kisi aadmi ke dwara block thi jo unke seat ke saamne khada tha aur cowboy hat pehne huye tha. George ke anusaar, Cowboy hat pehne woh aadmi Macklow se plane ke mechanical problem ke baare me sawaal kar raha tha. Asal me crew members ne pehle hi passengers ko juth keh diya tha ki ‘woh thodi deri se Seattle pahuchenge kyunki plane me thodi mechanical dikkat aa gayi hai.’ Aisa issiliye kaha gaya tha taaki utne wakt me FBI, Cooper dwara demand kiye gaye paison ka intezaam kar sake. George ke anusaar pehle Cooper cowboy hat pehne uss aadmi se milkar khush hua, lekin woh jald hi irritate ho gaya aur seedhe uss aadmi se kehne laga ki ‘who apni seat pe laut jaaye.’ Lekin cowboy ne Cooper ki baaton ko ignore kiya aur ek baar phir Macklow se sawaal karne laga. George ke mutabik Cooper lagataar uss aadmi ko persuade kar raha tha ki woh apni seat pe laut jaaye. Halanki Macklow ke mutabik aisa kuch bhi nahi tha aur kahani kuch aur hi thi. Macklow ke mutabik ek aadmi uske paas aaya aur usse sports magazine maanga, kyunki woh baithe baithe bore ho raha tha. Iske baad Passenger aur Macklow, Cooper ke seat ke peeche waale area me chale gaye aur bahut saare magazines ke bech Sports magazine ko khojne lage. Uske baad passenger ne “The New York Times” ki copy li aur apni seat pe laut gaya. In sab ke baad jab macklow Cooper ke bagal waale seat pe waapas lauti toh Cooper ne Macklow se kaha ki “Agar woh koi Sky marshal tha toh woh mujhe aur nahi chahiye.” “Cowboy” ki bhale hi Cooper ke saath thodi bahut interaction hui thi, lekin tab bhi FBI ne kabhi usse iss mamale me puchtaach nahi ki. iske alawa kisi ko uski asli identity bhi nahi pata hai.

FBI ne Seattle ke kuch banks ka istemaal firauti ke paise jama karne ke liye kiya. FBI ne 20 dollars ke note ke 10,000 dollars jama kiye. Cooper ne Air force dwara diye jaa rahe military parachutes ko lene se saaf mana kar diya. iske badle usne 4 civilian parachutes maanga jisme manual operated ripchords maujood ho. Seattle police ne do front yaani ki “reserve” parachutes, kisi local skydiving school se liya toh wahi unhone do back yaani ki “main” parachutes local stunt pilot se jama kiya. Portuguese time ke anusaar kareeb 5 baj kar 24 min pe Captain Scott ne Cooper ko inform kiya ki parachutes ka intezaam ho gaya hai aur woh jald hi Seattle-Tacoma Airport pe land karne waale hai. Kareeb 5:46 pe Flight-305, Seattle-Tacoma Airport pe land ki. Scott ne landing ko lekar Cooper se permission maanga, jispe flight ko main terminal se alag, kisi kam roshni waale runway pe land karne ke liye Cooper maan gaya. Flight jaise hi Airport pe land ki waise hi Cooper ne demand kiya ki flight ke crew member se sirf ek hi insaan plane tak paise aur parachutes lekar aayega aur entrance aur exit sirf main door se, mobile staircase ke sahaare hogi. Passengers baithe the, tab tak flight ka ek crew member mobile staircase ko jod raha tha. Iske baad Macklow flight se baahar gayi aur firauti ke rakam ko apne saath waapas flight me le aayi. passengers chup-chaap baithe huye the. Mucklow paison ko Cooper ke pass le gayi jo flight ke last row me baitha tha. Jaise hi paisa Cooper ko mil gaya usne passengers ko chodne ka ishaara kiya. Passengers ke utarte hi Cooper paison ko dhyaan se dekhne laga ki kahi paise nakli toh nahi hai. Mahaul ko shaant karne ke liye Macklow ne masaak me Cooper se kaha ki ‘kya usse bhi thode paise mil sakte hai?’ Cooper turant raazi ho gaya aur note se bhadi ek packet Macklow ke saamne badha diya. Macklow ne turant paison ko waapas kar diya aur kaha ki “tip lena humari company policy ke khilaaf hai.” Macklow ne bataya ki Cooper ne uske alawa aur bhi do flight attendant ko apne pocket ke paison se tip dene ki koshish ki lekin sabhi ne Company policy ki baat keh kar mana kar diya. Jab saare passengers flight se utar gaye toh sirf 6 crew members aur Cooper hi flight-305 me maujood the. Iske baad Cooper ke demand ke mutabik Macklow 3 baar flight se baahar gayi aur parachutes ko anadar le aayi. Macklow parachutes ko Cooper ke paas le gayi jo Plane ke pichle hisse me maujood tha, Jaise hi Macklow Parachutes ko andar laayi Schaffner(स्काफनर)ne Cooper se pucha ki ‘kya who apna purse waapas le sakti hai?’ jo ki Cooper ke seat ke ek compartment ke peeche rakhi thi. Cooper Schaffner ki baat maan gaya aur ghabrayi hui Schaffner se kaha ki “mai tumhe khaa nahi jaaunga.” Iske baad flight attendant Alice Hancock(एलिस हैनकॉक) ne Cooper se sawaal kiya ki “kya flight attendants ab baahar jaa sakte hai?” ispe Cooper ne kaha “Jo bhi tum ladkiyan chaaho.” Cooper ka matlab tha ki flight attendants ka ab jo mann kare woh kar sakti hai. Kyunki isse ab Cooper ko koi fark nahi padta hai. Usse jo lena tha woh le chuka hai. Cooper ke iss jawaab ke baad Alice aur Schaffner flight se utar gayi. Jab Macklow Cooper ke paas aakhiri parachute laayi, toh Macklow parachutes ke saath, use istemaal karne ka tarika batane waali instruction copy bhi Cooper ko di, lekin Cooper ne Instructions lene se mana kar diya. Aisa laga jaise woh Parachutes ko istemaal karna jaanta tha. Flight ki fuel khatam ho gayi jiske kaaran udaan me thodi deri hui. Fuel ko bhadne ke liye two tanks ko flight me laaya gaya jis beech Cooper ne Macklow se complain kiya, ki paison ko kapde ke bag me diya gaya hai naaki ek backpack me, jaisa ki usne kaha tha. Issi wajah se Cooper ko ab ek naya tarika khojna tha taaki woh paise ko apne saath le jaa sake. Iske liye Cooper ne ek reserve parachutes ka istemaal kiya, jiske upari hisse ko usne ek pocket knife ki madad se kaat diya aur phir paison ko ussi khaali parachute ke andar bhad diya. Ek FAA official yaani ki “Federal Aviation Administration” ke ek sadasya ne Cooper se request kiya ki use plane ke andar hi Cooper se face-to-face baat karni hai. lekin Cooper ne iss baat se saaf mana kar diya. Fueling me late hone ke chalte Cooper irritate ho gaya aur kehne laga “isme itna samay kyun lag raha hai? Chalo iss kaam ko shuru karte hai.” Iske baad Cooper ne cockpit me baithe crews ko nirdesh diya ki aakhir unhe kis tarah se flight ko udaana hai aur kaha tak le jaana hai. Cooper ne kaha “flight ko bina roke aur jitna ho sake utne minimum speed pe, दक्षिणपूर्व disha ki yod badhte huye Mexico city ke taraf le chalo.” Cooper ne crew member ko flight ki minimum speed bhi batayi jo uske anusaar 185/km/h honi chahiye. Usne aur bhi kayi tarah ke nirdesh diye jise Pilot aur baaki ke crew members ko follow karna tha. Cooper ki baaton se aisa lag raha tha, jaise use inn sab cheezon ki kaafi acchi knowledge hai. kyunki koi aam insaan bhale hi flight ki tai speed bata sakta hai lekin flight ke wing flaps ko 15 degree se kam rakhna hai yeh koi nahi bata paata.

Toh darshakon aapko kya lagta hai, kya Cooper koi flight specialist hai? Air kya issi wajah se use udaan aur parachutes ko kaise istemaal karna hai jaisi baatein use pata hai? Ya koi aur baat hai? Cooper kon hai aur woh aakhir kaha se aaya hai, iske baare me aage jaanenge. tabtak ke liye bane rahiye humare saath, humare iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Vikram 2,Kamal Haasan, Vijay Sethupathi, Fahadh Faasil, Narain,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Vikram

Pehle part mein humne dekha ki Kamal Hassan ek special agent ke kirdar mai hume dikhai diye or unhone ek mask wale serial killers ke

Read More »
Krrish 4 , Hrithik Roshan, bollygradstudioz.com

Krrish 4

Natasha Demkina ka naam jitna simple hai utni hi complicated hai uski zindagi. Russia ke Saransk naam ki jagah paida hui yeh mamuli ladki scientists

Read More »
Krrish 4,Directed by Rakesh Roshan. With Hrithik Roshan, Amitabh Bachchan, Nora Fatehi, Nawazuddin Siddiqui,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Krrish 4

ऋतिक ने कृष सीरीज़ के 15 साल पूरे होने पर कृष 4 के आने की announcement की और सब के मुहँ बन्द हो गए ।

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected