D.B Cooper Northwest-Orient Airlines ke flight-305 ko, highjack kar apne saath firauti ke 10,000 dollars le gaya. D.B Cooper kon tha? Yeh sawaal logon ke mann me uske jaane ke saath hi humesha ke liye reh gaya, kyunki Cooper beech raaste me hi Parachute ki madad se Plane se kud(कूद) gaya tha. Halanki uske jaane ke baad FBI aur police ki puri team ne milkar campaign chalaya, jisse woh D.B Cooper ke baare me pata laga sake. Aakhir yeh Investigation kis tarah kiya tha, chaliye jaante hai. Plane se mile fingerprints aur Cooper ke tie pin ka istemaal kar FBI ne apni jaanch ko jaari rakha. 6 December 1971 ko FBI ke Director ne Air force ke plane ka istemaal kar, Flight-305 ke flightpath ko retrace karne aur uski tasveer lene ki permission di. Iske alawa Cooper Flight se kudte(कूदते) wakt jin samaano ko apne saath rakha tha, unn samaano ka pata lagane ke liye bhi FBI ke Director ne order diya. Air force ke plane ne 5 udaane bhari, lekin khraab visibility ke kaaran uss jagah ki photography nahi ho paayi. FBI ke agents ne iske baad ghatna waale din ke scene ko re-create karne ke baare me socha. Scene ko recreate karne ke liye same flight ko same flight configuration ke saath udaaya gaya. Iske baad 200 pound(91 kg) ke weight ko ussi jagah, jis jagah se Cooper kuda tha, waha se pheka gaya. Weight ke phekne ke dauran Air stairs khula hua tha aur flight me kuch ussi tarah ki motion ho rahi thi, jaisa ki Cooper ke kudne ke dauran thi. FBI agents aur Sheriff deputies ne uss ilaake me khub chaan-been ki, jis ilaake me Cooper flight-305 se kuda tha. Suspected jagah pe agents ne helicopter ki madad se apna search operation chalaya aur uss area ke local logon se bhi Cooper, aur uske samaano ke baare me puch-taach ki. Kuch aur agents ne milkar boats ke sahaare uss ilaake me maujood “Yale lake” me khoj ki. halanki zameen, paani aur aasmaan ek karne ke bawajood bhi naa hi Cooper mila aur naa hi uska koi samaan. Army national guard ke helicopter aur fixed-wing aircraft ka istemaal kar, FBI ne aerial search Seattle se Reno tak chalaya. Iss search me kuch पेड़ ke upari hisse tooth huye mile. Iske alawa plastic ke tukde aur parachutes ke kuch hisse baramad kiye gaye. Lekin hijacking ko lekar kuch bhi jaruri samaan nahi mila. Iske baad bhi FBI agents, 200 US army soldiers, Air Force personnel, national guardsmen aur civilian volunteers ke saath milkar, March 1972 me pure 18 din tak search campaign chalaya. Iske baad April me bhi aur 18 dino tak yeh search operation jaari raha. Ek volunteer ne Submarine ka istemaal kar, paani ke 61m ki gehrayi me gaya. Do female volunteers ko search ke dauraan 1 human skeleton mila, jo shayad Barbara naam ki ek teenage ladki ka tha, jise kuch hafte pehle kidnapp kar hatya kar di gayi thi. Lekin inn sab se alag Cooper ko lekar koi evidence nahi mila.
Highjack ke thik 1 mahine baad, FBI ne firauti ke paison ki serial numbers financial institutions, casinos, racetracks, law enforcements ke alawa, unn businesses ko bhi di, jisme bade amount ki transaction ki jarurat padti hai. Northwest Orient Airlines ne mile gaye paison me se 15% se lekar 25000 dollars, unhe dene ki announcement ki, jo firauti ke paise khoj nikaalega. Serial numbers 1972 me general public ko bhi saunp diya gaya, taaki firauti ke paison ko dundhne me asaani ho, lekin FBI ko koi suraag haath nahi laga. Cooper aur Highjack mystery ko suljhane ke liye FBI ne aane waale saalon me, kayi angle se case ko dekha aur jaanch ki. lekin naa hi Cooper ka pata chal paaya aur naa hi hijacking ko lekar koi strong evidence mila. Kayi saalon ki koshish ke baad FBI ne 2016 me Cooper ke case ko yeh kehte huye band kar diya, ki “hume dusre aur jaruri cases pe ab dhyaan dena chahiye.” Case ke band hone ke saath hi Cooper bhi FBI ke file me band hokar humesha ke liye ek itihaas ban gaya. Physical evidence ki baat kare toh agents ko Cooper dwara istemaal kiya gaya cigarettes, ashtrays, tie pe lagane waali clip aur Cooper ke sir ki baal mili, jo agents ko uske DNA report me haasil karne me madad karegi. Agents ko jo Cooper ki tie clip mili thi, woh asal me sone ki thi, jispe mother of pearl stone laga hua tha. 1980 me Columbia river ke paas, vacation pe aaye ek 8 saal ke bacche ko, beach ke paas firauti ki rakam ke 3 pakets mili, jo kareeb 5800 dollars thi. Jyada din tak sand aur paani ke contact me rehne ki wajah se, paise kaafi jyada khraab ho chuke the, lekin tab bhi rubber band se bandhe huye the. Cooper ke baare me waise toh aaj tak koi suraag nahi mil paaya, sirf kuch theories hi hai, jo agents aur dusre officials dwara banayi gayi hai. Asal me Cooper kon tha, yeh aaj bhi mystery hi hai. Iske alawa jo sketch Cooper ki bani hai, woh bhi Cooper ki tarah nahi dikhti hai. Toh ek tarah se Cooper ek aisa anjaan insaan hai ya tha, jisne bade aaram se hijacking ki aur paise bhi le gaya.
Toh yeh thi D.B Cooper ki kahani, jo aaj bhi ek mystery hai. Iss insaan pe kayi comics, series aur filme bani hai, lekin uss insaan ko siway flight attendant aur uss wakt ke passengers ke alawa, kisi ne nahi dekha. Aisa bhi ho sakta hai ki FBI ka koi agent bhi uski madad ke liye khada ho. Warna koi itni asaani se itne bade crime ko yu hi anjaam nahi de paayega. Ab asliyat me kahani kya hai, yeh toh koi nahi jaanta. Halanki War-2 me iss tarah ka mysterious case film me ek Jabardast thrill paida kar sakta hai.
The End…part-4