Dhoom-4

Toh pichli blog me humne aapko bataya, ki kaise 4 criminals ne milkar Paris based Harry Winston ki dukaan me loot ko anjaam diya tha. Yeh history ki sab se badi loot thi, jisme abhi tak choron ka pata nahi lag paaya hai. Halanki police ke dwara hui investigation me, iss baat ka pata chala hai ki iss heist me kahi na kahi famous criminal group “pink panthers” ka haath raha hoga.
“Pink panthers” asal me ek international jewel thief network hai, jo kayi saari choriya aur loot ke liye zimmedaar hai. Pink panthers ko organized crime ke itihaas me sab se jyada daring group maana jaata hai, jo bekhof hokar aaram se ghatna ko anjaam dete aaye hai. Harry Winston ki loot ko bhi dekha jaaye toh aisa karna ek aam baat nahi thi, kyunki dukaan ke kareeb me hi police station tha. iske alawa dukaan toh Paris shehar ke beechon beech tha aur loot ko din ke ujaale me hi anjaam diya gaya tha. Inn sab baaton se yahi pata chalta hai ki lootere kitne bekhof the. Pink panthers ko saal 2001 me Serbia me establish kiya gaya. Issliye iss group me jyadatar log Serbs aur Montenegrins(मोंटेनिग्रिन) hai. Montenegrins woh hote hai, jo Montenegro desh se taaluk rakhte hai. Pink panthers itne safai aur alag tarike se loot karte hai ki, unki kayi heist ko “glamorous” karaar diya gaya hai. Ek criminologist ka maan’na hai ki Pink Panthers dwara loot, artistry ki pehchaan hai. Pink panthers kayi desh aur continent me operate ho chuke hai. Iss criminal group pe film documentary “smash & grab” bhi ban chuki hai, jo saal 2013 me release hui thi. Law enforcement agencies ka andaja hai ki, Pink Panthers ne ab tak 500 million dollars ke gold aur diamond ki loot, kayi deshon se ki hai, jisme UAE, France, Japan, Switzerland, USA aur Australia ke alawa aur bhi kayi bade desh ke naam shaamil hai. Law enforcement ka yeh bhi maan’na hai, ki issi criminal group ne Harry Winston me bhi loot ko anjaam diya tha. Choron ne waha se kareeb 80 million Euros ki loot ki thi, jo lagbhag 7 arab rupayon ke aas-paas hai. Iss group ko sab se pehle 2003 me dekha gaya, jab criminals ne London ke jewellers se 500,000 Euro, yaani ki 44 arab rupayon ki keemat ka diamond loot liya tha aur iske baad iss diamond ko face cream ke jar me chupa diya tha. Issi ghatna ke baad hi iss group ko “Pink panthers” ka उपनाम diya gaya. Pink panther asal me ek famous French cartoon character hai. Issi character pe based 1960s me ek film aayi thi, jisme ek keemti heere ka bhi naam “Pink panther” tha, jise lootne ke baad chor ne heere ko face cream ke jar me chupa diya tha. Shaayad yahi kaaran raha hai ki, criminals ka naam bhi “Pink panthers” pad gaya. Wahi सहयोगी दलों ki agar hum baat kare toh “Pink Panthers” ko Russian mafia, Serbian mafia, Romanian mafia, Italian mafia aur YACS (Yugoslavian/Albanian/Croatian/Serbian) crime groups ko support karta hai. Yahi kaaran hai ki Pink Panthers bekhof hokar araam se loot ko anjaam bhi de dete hai aur kabhi pakde bhi nahi jaate hai. Pink panthers jewellery heist ko hi humesha anjaam dete hai, jisme woh ek baar me badi-badi rakam ki jewelleries ko loot lete hai. May 2005 me Pink panthers ne British diamond jewellery company Graff ko apna naya nishaana banaya aur London me loot ko anjaam diya tha. Isme Graff ko kareeb 1 million Euro ka nuksaan hua. Wahi Iss loot me 3 aadmiyon ko doshi tehraya gaya, jisme se ek paas gun bhi thi. Graff ko 2002 me bhi Pink Panthers dwara nishana banaya gaya, jisme Graff ko kareeb 23 million Euro ka nuksaan hua tha. Halanki 2 saal baad 3 million Euro, Graff ko waapas mil gaye the. Inhi me se ek lootere ko 2004 me kareeb 15 saal ki jail ki saza sunayi gayi. 6 saal ke wakt me Pink Panthers ne 20 deshon ke, 120 stores me loot ko anjaam diya hai. Ek baar Biarritz(बियारिट्ज़) ki ek jewellery shop ko lootne se pehle, looteron ne dukaan ke paas ke bench ko fresh paint se cover kar diya, taaki naa koi uspe baith paaye aur naa hi unhe koi apne kaam karne se rok paaye. Yeh group Tokyo me do smash & grab(लूट-हड़पना) loot me bhi shaamil the. Sab se pehle inhone 2004 me Tokyo ke Ginza district me loot ko anjaam diya, jisme unhone kareeb 3.4 million Japanese Yen ki gems ki loot ki. Dusra loot 2007 me hua, jisme 284 million Yen ki loot hui thi. Yaani ki yeh kareeb 17 crore ke aas-paas thi. Jaankaari ke mutabik teen choron ne saleswoman ki aakhon me tear gas spray kar diya aur phir usse necklace, dusri keemti jewelleries ko loot kar faraar ho gaye. Harry Winston me bhi loot ke dauran choron ne jaate-jaate staffs pe tear gas spray kiya tha. Shyaad yeh bhi ek saboot ban gaya, jisne saabit kiya ki Harry Winston ki chori me kahi na kahi Pink panthers ka hi haath tha. Pink Panthers apne bhaagne ke style ke liye bhi famous hai. 2005 me Saint Tropez me jab Pink Panthers ne chori ko anjaam diya, toh woh flower print T-Shirt pehan kar aaye aur ek speedboat se mauke se faraar(फरार) ho gaye. 2008 me Dubai based Graff ke store me chori karne ke liye, 8 lootere do Audi me baith kar aaye aur khidki tod kar andar ghus gaye. Looteron ne keemti ghadi aur jewelleries ko loot liya aur mauke pe faraar ho gaye. Iss chori me Graff ko 8 million pound ka nuksaan hua tha, jo ki 79 crore ke aas-paas tha.
Kaha jaata hai ki, 2007 me jab looteron ne Harry Winston ki dukaan ko apna nishaana banaya tha, tab woh auraton ke get-up me aaye the. 2009 me Pink Panthers ne phir ek baar Graff ko apna nishaana banaya, lekin iss baar looteron ne apni shakal ko cover karne ke liye koi efforts nahi dikhaya, kyunki woh pehle se hi Prosthetic makeup se apni shakal ko badal chuke the. Maana gaya ki, 2013 me ek baar phir Pink Panthers ki entry hui, halanki iss baar poore group ke badle sirf ek hi aadmi ghatna me shaamil tha. Asal me Cannes based Carlton Hotel me achaanak hi ek aadmi baseball cap pehne aur apne chehare ko scarf se cover kiye andar ghus aaya aur kareeb 136 million dollars ki loot kar ke faraar ho gaya. Ghatna waale din Leviev Diamond House ki taraf se Hotel Carlton me jewelleries ka exhibition laga hua tha. Issi exhibition ke baare me looteron ne pehle se hi information jama kar li thi aur loot ko anjaam de diya tha. Regional newspaper ke mutabik, yeh loot jewellry heist ke abtak ke itihaas me sabse badi loot maani gayi hai. Lekin aisa nahi hai ki iss group ke log pakde nahi gaye. Interpol ke mutabik, kayi saare gang members ki pehchaan unke DNA se ki jaa chuki hai. 2005 teen Serbian ko issi aarop me giraftaar kar liya gaya, jisme do aadmi aur ek aurat shaamil thi. March 2004 me, Tokyo ke jewelry boutique me Japan ki sab se badi loot ko anjaam dene ke baad, Pink Panthers ka group leader pakda gaya aur use 7 saal ki saza sunayi gayi. Leader ke saath uske kuch saathi bhi mile, jinhe leader se thodi kam saza mili. Iske alawa Canes aur Saint Tropez me loot ko anjaam dene ke aarop me 3 Serbian ko doshi thehraya gaya, jisme unhe 6 se 10 saal ki saza sunayi gayi. Aage chal kar France ke Monte Carlo se lekar Spain tak se Pink Panthers ke group members ko arrest kiya gaya. Halanki yeh bhi sach hai ki jitni baar Pink Panthers ko arrest kiya gaya, woh utni baar jail se bhaag nikalne me kaamyaab bhi huye. Kabhi unka koi saathi unki bhaagne me madad kar deta, toh kabhi woh khud सीढ़ी ki madad se bhaag jaate the. Aaj ki baat kare toh ab iss group ke dwara naa ke barabar crime kiye jaa rahe hai. Iska main kaaran hai European Union ke andar shaamil states agar heist ko sehan karte hai, toh unhe bahut badi saza di jaati hai. Issiliye Europe me ab naa ke barabar heist ho rahi hai.
Dhoom-4 ki agar hum baat kare, toh iss baar Akshay kumar starrer iss film me, jewellry heist ko anjaam diya jaa sakta hai. Iss film me criminal gang bilkul Pink Panthers ki tarah hi hongi aur woh bahut dino se E.U (European Union) ke strict rules ki wajah se loot ko anjaam nahi de paa rahi hai, issliye Yeh lootere ab India ka rukh karenge aur loot ko anjaam denge. A.C.P Dixit ko jab iss baat ka pata chalega, toh woh E.U ki iss case me madad lenge aur desh me jewellry heist ko rokne aur looteron ko pakadwane me madad karenge.
Toh darshakon yeh thi Pink Panthers ki kahani. Agar aapko yeh video pasand aaya ho toh isse like karna naa bhule aur aisi hi kahaniya jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.
THE END…PART-2

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DON 3

Don 3

Parveen bhatere Oracle company में काम करने वाला एक सीधा साधा employee था उसकी एक पत्नी और दो बच्चे भी थे। एक रात जब अपनी

Read More »
Master

Master

Lokesh Kanagaraj की film “Master” Highest Grossing Tamil film बन गयी है, एक regional film होते हुए भी Master ने 300 करोड़ की box office

Read More »
Bholaa ,Ajay Devgn,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Bholaa (Part 4)

Kahani में आया जबरदस्त twist! According to FBI Alcatraz जेल ब्रेक करने के बाद उन तीनो की मौत हो गई, इस बात पर किसी ने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​