Dhoom franchise me humne villain ka heroic andaaz toh dekha hai, chahe woh Amir khan ho ya phir John Abraham. Franchise ne humesha hi ek alag level ke kirdaar ko generate karne ki koshish ki hai. Wahi baat Dhoom-4 ki kare toh ab isse Mr. Khiladi yaani ki Akshay kumar ka bhi naam jood gaya hai. Ab dekhna yeh hai ki aakhir kis tarah ke kirdaar ko Akshay iss baar nibhayenge. Kya woh John ki tarah bike gang ke leader honge, Ya phir Hrithik ki tarah jewellery heist ko anjaam denge? Asal me Akshay iss baar duniya ke famous robber ka kirdaar nibha sakte hai.
Toh chaliye thoda deep me jaante hai ki aakhir kis tarah ka hoga Akshay ka yeh kirdaar.
John Dillinger(डिलिंगर) ka janam June 22, 1903 ko U.S.A ke Indiana me hua tha. Dillinger ke pita ek grocer(बानिया) the, jinka swabhaav kaafi sakht tha. Dillinger ne ek interview me bataya, ki uske pita kaafi disciplined the aur woh iss baat pe vishwaas rakhte the, “Spare the stick and spoil the child” yaani ki ‘insaan jitna stick pe reham dikhayega baccha utna hi bigdega.’ Dillinger ki Audrey naam ki ek badi behan bhi thi, jiska janam 1889 me hua tha. Wahi Dillinger ke 4th birthday se thik pehle, 1907 me uski maa ki maut ho gayi. Audrey ki bhi ussi saal shaadi ho gayi halanki woh tab bhi apne chote bhai Dillinger ka dhyan rakhti rahi, jiske baad Dillinger ke pita ne dobara shaadi kar li. Dillinger jab apne teenage era me aaya, toh woh aksar ladai aur choti-moti choriyon ke kaaran musibat me aa jaata tha. Dillinger apni confusing personality aur chote bacchon ko bully karne ke liye bhi jaana jaata tha. Dillinger ne apni padhai ek machine shop me kaam karne ke liye chod di.
Wahi Dillinger ke pita ko darr tha ki, shehar unke bete ko corrupt bana raha hai, issi wajah se woh Indianapolis ko chod apne pariwaar ke saath 1921 me Mooresville aa gaye. Halanki jagah badalne ke bawajood bhi Dillinger ke wild aur rebellious nature me koi fark nahi aaya. 1922 me Dillinger ko gaadi ke chori ke aarop me arrest kar liya gaya, jiske baad Dillinger aur uske pita ke beech ki relationship kharaab ho gaya. 1923 me Dillinger ki pareshaaniyon ne use U.S.A Ke navy ko join karne ke liye majboor kiya. Dillinger ko navy me choti post ki naukri mili. Navy me Dillinger, machinery repairman tha, jaha use ek battleship pe tainaat(तैनात) kiya gaya tha. Halanki jab Boston me ship docking ke liye ruki, ussi wakt Dillinger naukri chod kar bhaag gaya. Iss kaaran se use kuch mahino baad Navy se humesha ke liye chutti de di gayi.
Dillinger yaha se waapas apne ghar, Mooresville aa gaya, jaha pe woh Beryl naam ki ladki se mila. Dono ne iske baad 1924 me shaadi kar li. Dillinger ne shaadi ke baad settle hone ki bahut koshish ki lekin use kaafi dikkaton ka saamna karna pad raha tha. Dillinger ne naukri dundhne ki bhi koshish ki, halanki use humesha nirasha hi mili. Yeh wahi wakt tha jab paison ki tangi(तंगी) ke kaaran Dillinger ko chori karne ka idea aaya aur woh apne dost Ed ke saath milkar chori ki planning karne laga. Ed asal me pehle bhi crime kar chuka tha, issi wajah se use iss maamle me kaafi idea bhi tha. Dillinger Ed ki kaabiliyat ko jaanta tha, jis wajah dono ne milkar apni pehli chori ek grocery store me ki aur waha se kareeb 50 dollars haasil kiye. Halanki jab woh crime scene se jaa rahe the, toh unpe ek minister ki nazar pad gayi aur usne turant police ko iss baare me khabar kar di.
Iss ghatna ke dauran Dillinger ne ek aadmi ke sir pe kapde se lipte machine bolt se waar kar diya. Iske alawa Dillinger ke paas ek gun bhi maujood thi, lekin Dillinger ne uska istemaal nahi kiya tha. Ghatna ke agle hi din Dillinger aur Ed ko arrest kar liya gaya. Par pehli baar Ed aur Dillinger ko iss maamle me doshi nhi paaya gaya. Halanki Dillinger ke pita, jo uss wakt Mooresville ke ek local church ke deacon(helper) the, unhone iss maamle me Morgan County ke prosecutor se baat ki aur apne bete Dillinger ko convince kiya, taaki woh apne jurm ko kabool le, jiske baad Dillinger ko court ki taraf se, bina defense attorney di, use maamle ka aaropi announce kiya gaya. Dillinger ko assault, chori ka intention rakhne aur jurm karne ki saajish rachne ke tehat saza sunayi gayi. Dillinger ko laga ki kyunki uske pita ne pehle hi prosecutor se baat kar li, issiliye use kam saza di jaayegi, lekin Dillinger iss maamle me galat tha kyunki use asliyat me 10 se 20 saal ki jail ki saza sunayi gayi. Apne bete ke arrest hone ke baad Dillinger ke pita ne reporters se kaha, ki unhe apne advice pe pachtaava hai aur woh saza se kaafi hairaan hai. Dillinger ke pita ne judge se baat kar apne bete ki saja ko kam karne ki iccha rakhi, lekin unki ek naa suni gayi. Ed ko 2 se 14 saal ki jail ki saza sunayi gayi, jiske baad Ed ki 1937 me maut ho gayi. Dillinger 1924 se 1933 tak jail me raha. Iss dauran Dillinger ko yeh kehte huye suna gaya ki, “jab mai yaha se baahar aaunga, toh aisa matlabi badmaash ban kar niklunga, jaisa ki tum logon ne pehle kabhi nahi dekha hoga.” Jail ki lambi saza ki wajah se Dillinger society ke logon ke liye cruel ban gaya. Issi dauran Dillinger ki dosti dusre criminals se ho gayi. Inme se kayi toh bade bank robbers bhi the, jin logon ne milkar Dillinger ko ek kaabil criminal banne ka tarika bataya. Dillinger ko ab Homer, Charles, Harry, Russell jaise bade bank robbers ka saath mila, jinhone milkar ek badi heist ka plan banaya, jise woh jail se chutne ke turant baad anjaam dene waale the.
Issi beech Dillinger ke pita use jail se nikalwaane ke liye campaign chala rahe the, jisme unhone petition pe 188 signatures haasil kar liya tha. Dillinger ko 1933 me nine and a half years jail me bitaane ke baad jail se riha kar diya gaya. Dillinger uss wakt jail se riha hua, jab U.S.A me “Great Depression” apne height pe tha. Great Depression U.S.A ka aisa wakt tha jab stock market crash ho gaya tha aur chaaron yor unemployment , gareebi aur bhukhmari chaah gayi thi. Yeh daur 1929 se lekar 1941 tak raha tha. Issi wajah se Dillinger ko pata tha ki use naukri nahi milegi aur iss wajah se woh waapas crime ki duniya me aa gaya. 1933 me hi Dillinger ne apna pehla bank loota aur waha se kareeb 10,000 dollars udaaye. Dillinger ki zindagi ek bank robber ke roop me issi wakt se shuru ho gayi. Aage jaa kar usne kya kiya aur kis tarah se crime ko anjaam diya yeh hum apni agli video me jaanenge, tab tak ke liye bane rahiye humare saath iss channel pe, jiska naam hai Bollygrad studioz.
TO Be Continued… Part-1