Mirzapur-3

Saal 2018 me jab Mirzapur web series aayi, toh desh bhar ke logon se Munna bhaiya ke andaaz me yahi sunne ko mila ki, “Mithai baat dijiye khushi ka mahaul hai.” Guddu Pandit ho, Munna Tripathi ho yaa phir sabke favorite Kaleen Bhaiya hi kyun naa ho, inn kirdaaron ne logon ne ek alag hi impact choda hai.
Issi ke saath khabar ab Mirzapur-3 ki bhi aane lagi hai, toh aakhir iss season me kis tarah ke local gunde ki entry hogi, aayiye jaante hai.
Kahani hai ek aise aadmi ki jisne bachpan me hi crime ki duniya ko “haa” keh diya tha. Ek aisa ladka, jisne mafia ke saamne apne bachapane ko bhula diya. Ek aisa painter, jisne pistol ke saamne apni art ko kho diya. Aisa ladka jisne apne sanskaar, sapne, dost, sab ko sirf kuch rupayon ke laalach me peeche chod diya aur shaamil ho gaya ek aise dark world me, jisse bahut hi kam log baahar nikal paate hai.
Kahani hai Rahul Jadhav ki, jo ki ek middle-class pariwaar se taaluk rakhta hai aur jise sirf paise chahiye the. 90s ke dashak me baaki yuvaon ki tarah Rahul jadhav bhi ek aam 21 saal ka ladka tha, jo Mumbai ka naami Don “Jaidev Reddy” ke group me shaamil ho gaya. paise, gun, wiskey aur duniya ki tamaam luxuries dekh, uski aankhein ek wakt ke liye unhi cheezon pe atak gayi.
Gang me reh kar Jadhav bada extortionist ban gaya. Yaani ki woh insaan jo logon se jabardasti vasooli karta hai. 21st century ki shuruat me apni gang ki yor se mil rahi luxuries ka Jadhav pura maza utha raha tha. Reddy ki gang me skilled members ko jyada munafa milta tha. Yahi kaaran tha ki, vasooli karne me Jadhav ne khud ko maahir kar liya, taaki woh duniya ki tamaam luxurious cheezon ko afford kar sake. Aage jaakar Jadhav drug addicted aur alcoholic bhi ban gaya. Halanki Jadhav ne apni inn aadaton ko rokne ke baare me socha bhi nahi, kyunki yeh cheezen uske crimes ko aur asaan bana rahi thi. Iske baad Jadhav ko laga ki shayaad woh jyada vasooli kar aur paise kama sakta hai. Issi kaaran woh 1997 me Mumbai Underworld me shaamil ho gaya. Uss dauran Mumbai pe apna control jamane ke liye mafia gangs ke beech do dashakon(दशकों) tak, khoon bahaya gaya. Uss wakt kayi murders huye, woh bhi bekhof. Contract killing ka toh uss wakt trend hi tha. Apna rutba dikhane me koi bhi gang kasar nahi chodna chaah rahi thi aur jo unke beech me aata, woh poore pariwaar ke saath maara jaa raha tha. Crime ka level kaafi high ho chuka tha. Mafias Bollywood ke bade-bade producers se lekar real-estate developers aur businessmen se paise vasoolne lag gaye. Jo paise dene se mana karta, woh humehsa ke liye shaant ho jaa raha tha. Jadhav ne bataya ki, “jab Mumbai police dwara crime aur murder ko rokne ke liye “Maharashtra Control of Organized Crime Act” laagu kiya gaya, uss dauran “vasooli”, yeh mafias ke liye accha income ka source ban gaya.” Research ke mutaabik saal 2000 ki shuruat me har saal kareeb 150 millions, akele vasooli ke dhandhe se aa rahe the. Wahi bade-bade mafia’s salaana 10 billions kama rahe the. Inn sab cheezon ne police ko alert kiya aur unhone 4 “anti-extortion-cells” banwaye. Aage jaakar inn cells ko 4 se 12 karna pada. Jadhav ke mutabik woh Underworld me “Hawala department” ke fund distributor ke taur pe shaamil hua. Hawala ek tarah se bina money movement ke, money transferring ka illegal dhandha hai. Jab ek baar paise aa jaate the, toh Jadhav ka kaam tha inn paison ko “contract killers”, “vendors”, “arm dealers”, “drug lords” aur chori ke bike ke suppliers ko dena. Jadhav 3 saal tak Hawala se jooda raha. Iske baad Jadhav ke pita ne use sadak pe apna wakt barbaad karne ke badle, computer course karne ko kaha. Jadhav ke pita ko laga ki beta sudhar gaya hai aur unki baat maan kar computer course kar raha hai, lekin beta toh alag hi level ka tej insaan tha. Asal me Computer course karne ke liye Jadhav ne tuition join kiya aur jab woh yaha se nikla toh uske paas Mumbai aur aas-paas ke ilaake ke sabhi real-estate developers ke contact numbers aur naam maujood the, jo Jadhav ne Computer se hack kiye the. Yeh saari details jab Jadhav ne apne boss ko di, toh woh bahut khush hua aur uska promotion ho gaya. Ab Jadhav ka kaam tha vasooli ke liye logon ko phone karna. Jadhav ke mutabik woh thoda hesitate kar raha tha, lekin tab bhi apna kaam accept kar liya. Jadhav apne boss ka bahut respect karta tha. Jadhav kehta hai ki, “mai apne boss ka ‘Bhiku’ banna chahta tha, jo ki 1998 ki film satya me ek bada extortionist(vasooli karne waala) tha.”
Jadhav jo ab tech-literate gangster ban gaya tha, shayad woh aisa Mumbai ka pehla gangster tha. Woh 2003 me vasooli ke liye apne victims ko trace naa kiye jaane waale calls karne laga. Jadhav aaram se apne ghar ke bagal ke Cyber Cafe ke A.C ki thandi hawa khaata tha aur logon ko phone karta tha. Woh 100 se upar logon ko “threat calls” karta tha, jo paise unhe 1 saal ke andar dene hote the. Aisa kar ke Jadhav karodon rupaye apne boss ke liye vasoolta chala gaya. Iske baad Jadhav ke boss ne gunman ki kami pe apni chinta dikhayi, jispe Jadhav ne bina wakt gawaye gunman ka kaam sambhaal liya. Jadhav ka yeh step use apne boss ke kareeb karwa raha tha, jo use khushi bhi de raha tha. Jadhav jaanta tha ki, agar police ya dusre gang ke log uskem khoon ke liye aayenge, toh uska boss use bachane me koi kasar nahi chodega. Jadhav ka kaam tha gunpoint pe logon ko darana. Woh befikr hokar khidki par do-chaar baar fire kar deta tha, ya phir kisi saamaan pe. Lekin ek wakt aise bhi aaya, jab maamla haath se nikal gaya aur akhir me Jadhav pe 4 murders ke maamle darj ho gaye.

2007 me apne arrest hone ke baad Jadhav 3 saal tak Mumbai aur Thane ki jail me waqt bitaya. Iske baad Jadhav ne apni bail ke liye appeal ki, jo use 2010 me mili. Jail se aane ke baad, har mahine police Jadhav ko apna target banati thi. Jadhav ka boss jab bhi koi naya crime karta, police ka shak humesha Jadhav pe jaata tha. Lekin uss dauran Jadhav alcohol aur drugs ka bada addict ban gaya tha. Saalon tak woh apne boss ke bhi contact me nahi tha. Jadhav badalna chahta tha, lekin police baar-baar uske past ko lekar use humesha pareshaan karti thi. Jadhav ko koi job nahi mil paa raha tha aur uska pariwaar puri tarah se niraash ho chuka tha. Jadhav ke dost aur padosi use aaj bhi ek gunda samjhte the, jisne apne pant me 2 pistols chupayi hui thi.
2013 tak Jadhav pe se saare aarop hata diye gaye. Lekin Jadhav ka alcohol aur drugs ka addiction kam hi nahi ho raha tha. Woh saste-mehange har tarah ke drugs ka istemaal kar raha tha. Apni iss aadat ki wajah se woh jyadatar wakt apne hosh me nahi rehta tha. Kabhi footpath pe toh kabhi viraan building me, Jadhav kahi pe bhi ab paaya jaane laga. Yaha tak ki uska addiction itna badh gaya ki woh schizophrenic ka shikaar ho gaya. Yeh wahi wakt tha, jab Jadhav ka pariwaar use Pune based Rehabilitation center le gaya.
2015 me jab Jadhav ke counselor ne usse pucha ki aakhir uski strength kya hai, uss waqt Jadhav ke mann me kayi sawaal aaye. Use pata tha woh vasooli me aur logon ko maarne me maahir hai. Lekin aisa jawaab woh apne counselor ko nahi de sakta tha. Issiliye Jadhav ne kaha “daudna”. Jadhav ne kaha, jab bhi police uska peecha karti thi, toh woh kaafi tej bhaagta tha. Yahi jawaab Jadhav ki zindagi ka turning point ban gaya. Counselor ne use bataya ki Pune me 10km ki Marathon hone waala hai, jiske liye use taiyaari karni chahiye. 2016 me Jadhav Pune ke Marathon me shaamil hua. Iske kuch mahino baad Jadhav Mumbai waapas aa gaya aur job karne laga. Jadhav ab tak kayi marathons me shaamil ho chuka tha, jisme woh abtak 10,000 km tak cover kar chuka tha. Jadhav ek baar Gateway of India se lekar Delhi ke India gate tak hone waali race me bhi shaamil hua tha. Ab Jadhav ka sapna hai ki woh Marathon me national record ko bhi tode.
Toh yeh kahani thi ek aise gangster ki jisne apni zindagi marathoner ban kar badal li. Toh Mirzapur 3 me eise hi kirdar ek gajab ka twist la sakte hai.

The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Dhoom 4

जून, 2003 की एक सुबह, दो दर्जन पुलिस officers ने अपनी बंदूकें तान लीं और एवरेस्ट कॉलोनी के एक कोने में बने तीन मंजिला घर

Read More »
Tere Naam 2 , Salman Khan bollygradstudioz.com

Tere Naam 2

यह कहानी है अनुज और नैना की। अनुज और नैना दो ऐसे शख्स हैं जिसमें अनुज अरेंज मैरिज पर विश्वास रखने वाला इंसान है। घरवाले

Read More »

Beta 2

“सास हुई सोशल मीडिया पर फेमस!”, यह सुनकर दुनिया की तमाम सासे खुश हुई होंगी। पर‌ इस सास को फेमस कराने में किसका हाथ है

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​