Mirzapur-3

Pichli blog me humne dekha ki kaise Vikas Dubey naam ka ek aam insaan, UP ka bada gangster ban jaata hai. Vikas Kanpur ke ek aise ilaake me rehta tha, jaha pe Brahman aur backward, dono cast ke log rehte the. Vikas kyunki ek Bahaman tha, iss wajah se use kayi local neta support karte the, toh kayi netaon ne uska kaafi wakt tak istemaal bhi kiya. Vikas Dubey jaise ladkon ko tab inn baaton se fark nahi padta tha ,kyunki uss wakt ek gunda kehlana taarif ki baat hoti thi. Assam, Bengal, Bihar se hote huye UP tak kayi aise ladke aaye, jinhone apni zindagi ki shuruat bhale hi ek gunda ban kar ki ho, lekin woh aage jakar saansad aur bade neta ban gaye. Aaj bhi UP me kayi aise neta maujood hai, jinki history crime ki yor le jaati hai. Inhi logon ki raah pe 18 se 20 saal ka Vikas bhi jaa raha tha. Aage jaakar usne raajneeti me bhi apna haath azmaaya, halanki woh kabhi ek neta nahi ban paaya. Local ilaake me Vikas tab tak, zameen pe kabza jamana, aur vasooli jaise illegal kaamon ko anjaam deta raha. Vikas Dubey naam ke iss gangster ne bhale hi raajneeti me apna naam na banaya paaya ho, lekin uski pakad aisi thi ki woh jab chahe tab, kisi bhi mantri aur Police officers se kaam karwa sakta tha. Apne career me waise toh Vikas ne kayi saare crimes ko anjaam diya, lekin Vikas Dubey ke peeche police ka gussa tab badha, jab 2020 ke july me use aur uski gang ko pakadne ke chakkar me 8 police officers ko apni jaan se haath dhona pada. Inme UP ke DSP bhi shaamil the. Wahi 7 police waalen iss ghatna me ghayal ho gaye the. Public ne awaaz uthaayi chaaron taraf social media pe UP sarkaar ke khilaaf naare(नारे) lagaye gaye, tab jaakar ek special team ko form kiya gaya, jo khaas Vikas Dubey ke encounter ke liye banayi gayi thi. Jaanch me pata chala ki, iss ghatna me do gunman bhi maare gaye the, jinme se ek Vikas ka mama tha, toh wahi dusra usi ka ek close relative tha. Maare gaye police ki jab post mortem report aayi, tab pure desh ko pata chala ki Vikas aur uske aadmiyon ne DSP Devendra Mishra ke sir ko कुल्हाड़ी(axe) ki madad se body se alag kar diya aur unpe ussi कुल्हाड़ी(axe) se kayi khatarnaak waar bhi kiye. Wahi dusre police officers ke body pe bhi bullets ke kayi waar the, jo unpe har tarah ke hathiyaar se fire kiye gaye the. Wahi baad me police ki jaanch me crime scene se AK-47 rifle aur INSAS(Indian Small Arms System) rifle baramad ki gayi. Yaha pe sawaal yeh bhi hai ki INSAS rifle, jo Indian armed forces dwara istemaal ki jaati hai, woh aakhir Vikas Dubey ke aadmiyon ke paas kya kar rahi thi? Kanpur ke inspector ne iss ghatna ko lekar kaha, ki kareeb 60 aadmiyon ne milkar 30 police waalon pe humla kar diya tha. Sochne waali baat yeh bhi hai ki, Vikas aur uske aadmiyon ko pehle se hi police ke aane ki information thi, tabhi toh police waalon se double ginti me waha pe gunde maujood the. Dekha jaaye toh har police waale pe 2 gundon ko tainaat kar, milkar humla karwaya gaya tha. Aage iss maamle ko lekar kaafi behas hui, kaafi dino tak jaanch chali tab jaakar call record se pata chala ki, Vikas kayi police officers ke contact me tha, jo har pal ki khabar leak kar rahe the. Yahi kaaran raha ki, jab DSP bhi mauke pe pahuche, tab bhi Vikas Dubey ka woh kuch nahi kar paaye. Iss ghatna ne logon ko itne jyada gussa me daal diya tha ki, woh turant Vikas ko faansi dilawane ki maang karne lag gaye. Issi wajah se Kanpur administration ne turant order diya, jiske baad Vikas Dubey ke ghar pe bulldozer chalwa gaya. Iske baad Vikas aur uske aadmiyon ko pakadne ke liye 25 police officers ki khaas team ko taiyaar kiya gaya. Ab kisi bhi haal me Police Vikas Dubey ko apne kabze me lena chahti thi, chahe woh zinda mile ya phir mara.
Vikas ko pakadwane me sab se jyada public ne madad ki. Woh din raat sarkaar ki yor naare lagate rahe, jisse dar kar sarkaar ko public ki baat maan’ni hi padi. Vikas Dubey ko 2017 me UP sarkaar dwara “Gangster act” aur “anti social activities prevention act” ke tehat arrest kiya gaya. Vikas ne ise High Court me chunauti di aur apne khilaaf, koi karwaayi naa karne ki court se appeal ki, jise court ne accept kar liya. Vikas Dubey naam ke iss gangster ka khel 9 July 2020 ko khatam hua, jab woh Ujjain ke Mahakal mandir me security guards dwara pakda gaya. Aisa kaha jaata hai ki, Vikas Dubey apne pakde jaane ke baad baar-baar apna naam chilla raha tha. “haa mai Vikas Dubey hu Kanpur waala” aisa Vikas ne kayi baar kaha, kyunki shayad use apne saathiyon dwara maare jaane ka darr tha. Lekin logon ka maan’na hai ki woh jaanbuj kar police ke saamne aaya. 9 july ki raat ko hi Supreme court me petition file kiya gaya, jisme Vikas Dubey ke liye police suraksha aur uske crimes ke liye, CBI jaanch ki maang ki gayi. 10 july ki subah jab Ujjain se Vikas ko Kanpur laaya jaa raha tha, tabhi police ki gaadi ek accident ki shikaar ho gayi, jisme gaadi achanaank palat gayi. Accident ka asli kaaran aaj bhi ek mystery hai. Police ke mutaabik Vikas bhaagne laga tha. shaayad uske haath me police ki gun bhi thi. Achanak firing shuru ho gayi, police iss baar kisi bhi haal me Vikas ko apne kabze se jaane nahi dena chahte thi. Unhone lagataar goliyaan chalayi aur issi encounter me Vikas Dubey 10 july 2020 ko maara gaya. Uski maut ke baad kayi higher officials ne Vikas ke crime ko lekar jaanch ki, jisme paaya gaya ki, UP police ka kisi galat kaam me haath nahi tha. Vikas Dubey pe “Bikroo Kanpur Gangster” naam ki film bhi ban chuki hai. Iss film ke director ne ek press conference me bataya ki unhe apni film ki shooting Kanpur me hi karni thi, halanki aage chal kar unhe film ko shoot karne se mana kar diya gaya. Iske alawa director Neeraj Singh ne yeh bhi kaha ki, jab woh film pe kaam kar rahe the, toh unhe uss dauran kayi saare threat calls bhi mil rahe the.
Khair, yeh toh thi side ki baat, par Vikas Dubey naam ke iss gangster ki itni asaan maut aajtak kisi ko nahi samajh aayi aur aayegi bhi kaise, jab maamla waisa bilkul tha hi nahi, jaisa ki public ko asal me dikhaya gaya. Vikas Dubey ke encounter ke dauran kayi saare jhooth bole gaye, taaki log yeh maan le ki gangster mar chuka hai, lekin aisa tha nahi. Ji haa! Chaunkne waali baat toh hai, par yeh sach bhi hai.
Vikas ki history ki agar hum baat kare toh 2020 tak uspe 60 se upar cases file kiye jaa chuke the, jinme se jyadatar cases me Vikas ko koi saza nahi mili aur woh khulam-khula ghumta raha. Saal 2000 me Vikas Dubey pe ek college ke assistant manager ki hatya karne ka aarop laga. Iske baad 2000 me ek aur aadmi ki Vikas ne hatya kar di. 2004 me usne ek Cable owner ki hatya ki aur 2018 me usne apne hi cousin pe jaanlewa humla karwa diya. Vikas Dubey pe aaye din cases file hote rahe, jisse use shaayad hi fark padta tha.
Aage hum Vikas Dubey ke full encounter ki kahani jaanenge aur yeh bhi jaanenge ki aakhir kyun sarkaar kahi na kahi Vikas ko public se bachana chahti thi. Toh puri kahani jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath, humare iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.
Dhanyawaad
To be continued… part-2

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Rambo, tiger shroff,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Rambo

1988 में माल्डीवेस के president Mohamed Ayuum के संबंध भारत सरकार के साथ बहुत अच्छे थे । भारत में उस वक्त congress की सरकार थी

Read More »
DOSTANA 2

Dostana 2

दोस्ताना मूवी बिल्कुल ही अलग थी बाकी मूवीज से लेकिन उस मूवी में बहुत कुछ ऐसा था जो लोगो तक पहुंच ही नहीं पाया था।

Read More »
Tiger 3 , Salman Khan, Emraan , Katrina, By Vash Vashishtha bollygradstudioz.com

Tiger 3

Tiger 3, Bollywood ki upcoming action-thriller film hone wali hai. Ye film Tiger franchise ka third part hone wali hai. Tiger 3 Hindi ke saath

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​