UP, jaha pe haath जोड़े aur aastha me doobe log hai, toh wahi usi haathon me A.K-47 lekar ghumne waale criminals bhi bahut hai aur inhi criminals me se ek “Vikas Dubey” bhi tha. Ek aisa naam, jisse naa sirf Kanpur balki poora desh waakif hai. Toh aakhir kon tha yeh criminal? aur ek aam ghar ke ladke se woh kaise ban gaya ek gangster?
Vikas dubey ka janam 26 December 1964 ko Kanpur Nagar, UP me hua tha. Vikas ne bahut choti umar me hi apna ek local gang bana liya tha. Yeh wahi daur tha jab UP ke neta jaha raajneeti me vyast the, wahi raajya ke andar ke ilaake me chote-mote gunde zameen pe kabza jamane ka kaam kar rahe the. Vikas Dubey bhi inhi me se ek tha. Yeh woh daur tha jab raajneeti se Mulayam Singh Yadav aur Kanshi Ram ka naam raajneeti se jood gaya tha. Inn raajnetaon ne samaaj ke netaon ko itna support kiya, ki kuch log raajneeti me aa gaye aur jo bache woh gundagardi karne lag gaye. Yeh wahi neta the jo jabardasti logon ki zameen pe apna kabza jamate chale gaye. Iss baat se sab se jyada dikkat Brahmano (ब्राह्मणों) ko hui, jinhe kamzor samajh kar, unki zameen pe gundo ne pehle kabza jamaya. Vikas bhi inn logon ko hi apna victim banata tha kyunki Brahman uske liye easy target the. Jald hi Dubey wanted criminal ban gaya, jiske baad 1990 ki shuruat me uspe sab se pehla case murder ka laga. Par sawaal yeh hai ki ek maamuli ghar ka ladka crime ki duniya me kyun aaya? Yeh baat thodi purani hai, jab Kanpur district ke Bikru gaaon ka ek ladka, apne saathiyon ke saath milkar, pados ke gaaon ke ladkon se maarpeet kar raha tha. Ladka Brahman tha, wahi jinse uska jhagda ho raha tha woh backward caste se the. Iss maar-peet ke kaaran ladke ka naam uske aas-paas ke ilaake me फैल gaya aur jald hi uska bhi dabdaba badhne laga. Thoda bada hone par woh logon ki zameen par kabza karne laga. Yeh ladka aur koi nahi balki Vikas Dubey tha aur yahi se uski crime karne ki kahani bhi shuru hui thi. Vikas jaise jaise ubhar raha tha Braham cast ko kahi na kahi usse thodi umeedein bhi thi. Asal me UP me jab se backward caste ke log netagiri me utar aaye the, tab se Brahmans khud ko isolated feel karne lage the, lekin jab unhi ke samaaj se Vikas aaya toh Braham ko laga, ki chalo koi toh hai jinse log darenge. Lekin Vikas khud hi local netaon se mil gaya aur zameen ko kabzane laga. 17-18 saal ki umar se hi Vikas maarpeet, chote-mote crime, aur vasooli karne lag gaya. Police use iss maamle ko lekar pakad ke jarur le jaati, lekin kuch der baad chod bhi deti. Aage jaakar Vikas ne apni ek gang banayi aur naam rakha “bullet gang”. Naam ke peeche ka kaaran kya tha yeh toh Vikas Dubey hi jaanta hai. Jaankaaron ke mutaabik Vikas ne sab se pehla crime ek baraat(बारात) ko loot kar kiya tha. Asal me usne apne 4 se 5 saathiyon ke saath milkar andhere me jungle ki jhaadiyon(झाडीयों) me jalti cigarettes rakh di, taaki logon ko aisa lage ki uske aur bhi saathi hai jo jhaariyon me chupe huye hai aur aisa kar Vikas aur uske saathiyon ne poori baraat ko loot liya.
1990 me Vikas ke hi gaaon ke ek aadmi ki hatya ho gayi. Logon ka maan’na tha ki iss hatya ke peeche Vikas Dubey ka haath hai kyunki uss aadmi ki 18 acres ki zameen bhi thi, jise Vikas छिनना chahta tha. Vikas pe hatya ka yeh pehla aarop laga lekin use kuch hi wakt me chod diya gaya. Yaha se Vikas ki pehchaan BJP ke neta Harikishan Shrivastava se hui, jinhone 1990s me BSP(Bahujan samaaj party) join kar liya. Vikas ne 1995 ke dauran BJP ko join kar liya aur power ke bal pe usne district level pe election me jeet haasil ki. Issi dauran Vikas ki wife ne bhi choti jagahon me election lad jeet haasil ki. 2001 me Vikas Dubey pe UP ke state minister aur B.J.P leader Santosh Shukla ke murder ka aarop laga tha. Vikas ko iss maamle me prime suspect maana gaya aur use turant arrest bhi kar liya gaya. halanki woh apne political power ke dam pe jald hi iss maamle se riha ho gaya. Asal me 1996 me jab Harikishan Shrivastava BSP me aaye, toh woh apni party ke liye BJP ke neta Santosh Shukla ke khilaaf, election me khade ho gaye. Result aaya toh pata chala ki, Harikishan Shrivastava 1200 votes se jeet haasil kar chuke hai. Iss jeet ki khushi itni thi ki BSP ke log sadak pe utar aaye, jaha pe unka saamna unke opponent se hua aur dono party ke log aapas me bheed gaye. Jaankaaron ke mutabik uss din Harikishan Shrivastava ke iss Vijay julus ki kamaan(कमान), Vikas Dubey hi sambhaal raha tha, jab usne apne ek opponent ko bahut buri tarah se peet(पीट) diya. Iss aadmi ka naam tha lalan Bajpey, jo khud ek neta aur Santosh Shukla ke khaas saathi the. Lalan aur Vikas ke beech jhagda kaafi badh gaya tha. October 2001 ko Vikas ne Lalan ke ghar humla kar diya. Lalan ne turant Santosh Shukla ko phone kar bataya ki kuch logon ne unhe gher liya hai, jinke paas hathiyaar bhi hai. Uss din kareeb 15 aadmi Lalan ke ghar pahuche the. Santosh Shukla ne Lalan se kaha ki woh aa rahe hai lekin Lalan Bajpey ke ghar pahuchne se pehle woh police station pahuche. Santosh Shukla ne socha ki woh Lalan ke ghar police force ke saath pahuchenge, lekin jaise hi Santosh police station pahuche, waha pe Vikas Dubey aur uske saathi bhi turant pahuch gaye. Santosh aur Vikas ke beech police station me hi behas hone lagi. Issi me baat itni badh gayi ki Vikas ne Santosh Shukla pe goli chala di. Yeh sab kuch, police ke saamne hua, lekin Vikas ko tab arrest karne ki himmat kisi me nahi thi. Aage chal kar 2002 me Vikas ne iss maamle ko lekar surrender kar liya. Surrender ke baad UP ki tab ki CM Mayawati ne Vikas ko turant BSP se baahar ka raasta dikha diya. Halanki Vikas inn sab ko dikhawa kehta hai. Dekha jaaye toh Vikas Dubey iss baat ko lekar sahi bhi tha, kyunki jab woh surrender karne jaa raha tha, uss wakt uske saath BSP ke kaafi log bhi saath me maujood the. Wahi Vikas Dubey ne uss daur me aisa kayi baar kaha ki ,“Mukhya mantri mujh se naraaz nahi ho sakti.” Vikas ka yeh confidence hi tha, ki Police se lekar CM sab uski baat ko maante the.
Vikas Dubey yaha se aage badhta hai aur raajneeti me apni pakad mazboot karta hai. Yahi se woh kayi netaon(नेताओं) ke contact me bhi aata hai, jo crime se bachne me uski madad karte the. Par yeh sab kuch usne kis tarah se kiya yeh sab hum aage jaanenge, tab tak ke liye bane rahiye humare saath iss blog pe jiska naam hai Bollygrad studioz.
Dhanyawaad.
TO BE CONTINUED…PART-1
Munna Bhai Series
मुन्ना भाई एमबीबीएस और लगे रहो मुन्ना भाई की भारी सफलता के बाद मुन्ना भाई 3 के making को लेकर काफी उम्मीदें हैं। कुछ साल