RRRR

Bharat desh ko azad dilaane mein kai aise senaniyon ka naam aata hai jinko itihash ke paano mein jagah nhi mili aur bas wo ek yaad bankar rah gaye, unnme se ek Khudiram Bose bhi the. Khudiram bachpan se hi aise aise Kaarnamein kiya karte the ki log unhe dekh kar chauk jaate the aur sochte ki itna chota sa bacha kaise itna himmati , shahasi aur nidar ho sakhta hai, usse toh yaha tak log ye bhi boltey the ki Khudiram paka sher ka bacha hai kisi se bhi nhi darta aur na hi kisi ke saamne jhukta hai wo sirf apne mann ki karta tha. Khudiram ka janam 3 December, saal 1889 ko bangal ke Madinapore gille ke Mohobani namak gaaon mein hui thi. Khudiram ke pita ji ka naam Trailokyanath Bose tha jo ki ek Nerajol ke tehsildar the aur inke mata ji ka naam Laxmipriya tha , khudiram aapne mata-pita ke ek laute bete the jiske kaaran unko bachpan mein unn se khub piyar mila. Khudiram ke pita ji british ke liye kaam karte the aur unko uss kaam par promotion chahiye tha lekin ussi waqt khudiram ki mata ji ka ek gambhir bimari ke wajah se dehant ho gaya tha. Trailokyanath ji ko uss waqt kuch samjh nhi aa raha tha ki wo bacho aur kaam dono ko ek sath kaise sambhalenge jiske wajah se unhono dusri shaadi kar li thi lekin Khudiram ka unki sauteli maa ke sath nhi banta tha aur kaam mein busy hone ke kaaran wo bacho par dhiyan bhi nhi de paa rahe the, ussi kaaran unki bhi tabiyat kharab hone lagi aur ek din unka bhi dehant ho gaya. Khudiram Bose ab apne badi bahen ke sath rah rahe the aur apni padhai kar rahe the unke andar hamesha se bharat ko azad karane ki zid rahti thi issi kaaran unhone apni padhai bhi chor di jab wo class 9 mein the aur uske baad wo swadeshi andolan mein kudd pade. School chorne ke baad wo revolutionary party ke sadasya bane aur Vande Matram ke pamplet ko baatne mein khudiram ka haanth sabse jada tha, jab saal 1905 mein bangal ke vibhajan ke virudh mein andolan chal raha tha toh usme bhi khudiram ne badh chadh kar bhaag liya tha.
Jab khudiram ne decide kar liya tha ki wo ab desh ko azad karwa kar rahenge toh zahir hai ki unhone Anushilan samiti mein shamil ho gaye aur Kolkata ke Barindra Kumar Ghosh ke network mein aa gaye, wo jab 15 saal ke the toh ussi waqt wo uss network ka volunteer bann gaye the aur unhe 15 saal ki umar mein paheli baar arrest bhi kiya gaya tha kyuki wo british ke khilaaf likhi pamplets baat rahe the aur jail se bahar aate hi khudiram jab 16 saal ke the toh unhone police waalo ke thane ke paas bomb lagane mein bhag liya tha aur unka target tha sarkaari adhikariyo ko udhana. Khudiram ne soch liya tha badla toh lena hai british se aur unhone apni paheli koshish ki Kingsford ko maarne ki jisme khudiram ne Hemchandra kanungo ki banayi pustak bomb ki sahayta li aur usse aache se pack karke Kingsford ke yaha bhejwa diya lekin jaise hi wo pustak Kingsford ko mili usne usse bina Khloe apne almari mein rakhwa diya ye soch kar ki isse baad mein dekhunga aur saal 1908 mein unko promotion dekar district judge bana diya gaya aur Bihar ke Muzaffarpur sehar mein transfer kar diya gaya tha, unke sath sath wo pustak bomb bhi chali gayi thi. Anushilan samiti abhi bhi ye koshish mein thi ki kisi bhi tarah Kingsford ko maarna hai iske liye unke kuch aadmiyon ne kai dino tak muzaffarpur ke chakar lagate rahe aur uss group mein Prafulla Chaki naam ka bhi ladka jud gaya tha jab wo muzaffarpur se wapas aa raha tha tab wo apne sath Hemchandra kanungo ka diya hua bomb bhi sath lekar aa raha tha aur wapas aate waqt Khudiram Bose uske sath tha. Ek din jab Kingsford court se wapas aa rahe the tab Prafulla aur khudiram ko ye khabar mili thi ki kis gaadi mein Kingsford baitha hua tha ussi gaadi par unhone bomb ko phek diya tha lekin Kingsford ki kismat aachi thi wo uss gaadi mein nhi tha jiss gaadi mein bomb pheka gaya tha, uss gaadi mein toh British ki do ladies baithi thi jinki maut ho gayi thi, Prafulla aur khudiram ko iske liye arrest karne ka warrant jaari hua tha lekin apne kaam ko anjam dete hi dono alag alag raste se bhaag nikle, khudiram chalte chalte 25 km dur waini naam ke station par aa pahucha tha. Jaise hi wo ek chai ki stall par jakar paani manga piney ke liye uske saamne do police waale aagaye unhone khudiram ki gande pairo par dhiyan diya aur wo jis tarah se haaf raha tha unhe kuch galat laga toh wo khudiram ke paas gaye aur uss se pucha ki kiya baat hai aur wo itna haaf kiu raha hai jab khudiram ne unhe apni jhuti Kahani batai haafne ki toh unn dono officers ka shaq gehra ho gaya aur unhone socha ki Khudiram ko hiraasat mein lekar puch taach karna hoga jispar khudiram apna bachao karte huye usne apne paas se banduk nikal diye wo jaise hi banduk chalata dusre officer ne Khudiram ko pichey se pakad liya, height kam hone ke wajah se wo khud ko bacha nhi paya aur jab uski talashi li gayi toh uske paas se 30 rupay nakad, 36 round kaartush, ek railway ka naksha aur railway ka ek timetable mila. Ab khudiram jaante the ki unke sath kiya hoga toh unhone chup chap surrender kar diya aur tab se ye Waini station ka naam Pusa padh gaya.
Dusri taraf Prafulla ne bahut deri tak travel karne ke baad dopahar mein Trigunacharan Ghosh naam ke ek aadmi ne dekha ki Prafulla unke raste mein aa raha hai, Trigunacharan jaante the ki kuch din pahele bomb blast hua hai shayad wo bhi ek karantikaari the isliye unhone Prafulla ko apne ghar le gaye waha Prafulla ko unhone khana khilaya aur aaram karne ke liye bhi bola, aur ussi raat unhone Prafulla ke Kolkata jaane ki ticket karwa di, wah Mokamaghat ke liye samastipur station ke train mein sawar ho gaya aur howrah aane ke liye apni travel unhone shuru ki. Ussi duran Prafulla ke upar ek imperial ka police officer Nandalal bannerjee ko Shaq hua ki sayad wo dusra karantikaari hai toh uske turant baad usne ek taar muzaffarpur ke police station mein bhej diya. Jaise hi gaadi Mokamaghat pahuchi waha pahele se hi police officer Prafulla ka intezaar kar rahe the aur usse wo pakad bhi liye the khud ko bachane ke liye Prafulla ne goli bhi chalai lekin jab Prafulla ne dekha ki aakhiri goli bachi hai toh usne wo goli khud ke mu mein chala li aur desh ke liye Shahid ho gaya.
1 may, saal 1908 ko khudiram ko muzaffarpur police station laya gaya tha, waha sirf iss chiz ke liye bheed lagi thi ki logo ko dekhna tha ki kon hai wo bacha jisne ye karne ki himaat dikha di. Kuch din baad khudiram ko declaration ke liye bulaya gaya pahele toh socha Khudiram ne kiya karu lekin jab unhone Prafulla ka dead body ko dekha toh samjh gaye ki ab unko accept karna hi hoga aur unhone ye accept kar li. Unko hearing mein bulaya gaya aur jab kaarwai hui toh ye sabit ho gaya ki unhone aur Prafulla ne milkar gaadi par Bomb pheka tha uske liye unhe phasi ki saja suna di.
11 August saal 1908 ko subha 6 baje inko phasi di gayi thi lekin jab unko phasi ke liye le jaa rahe the tab log unke raste mein unke liye phool lekar khade the, jab unko phasi di ja rahi thi toh wo muskura rahe the aur unki hanth mein uss waqt Geeta ki kitaab thi aur uske baad unko phasi de di gayi thi.
Ye kahani ho sakhti hai RRRR ki jisme puri tarah se desh ke prati piyar aur jajbe ko dikhaya gaya hai. Aapko ye kahani kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pushpa 2

Pushpa fire बन कर बरसने के लिए तैयार है और जब से फिल्म की रिलीज़ डेट सामने आई है, जो आने वाले साल इंडिपेंस डे

Read More »
Kalki 2898 AD

Kalki 2898

कल्कि 2898 के teaser में एक खास बात थी उसमें दिखाए गए prisoners, जिनमें से एक दीपिका पादुकोण भी है, अब इन prisoners के साथ

Read More »
adipurush

Adipurush

आदिपुरुष’ के ‘राम सिया राम’ गाने के लिरिक्स ने कमाल कर दिया है। म्यूजिक के एक-एक शब्द इस भक्ति गीत को और मधुर बना दिया

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​