Dhoom-4

Waise toh jab bhi chennai express ka naam aaya hai, humare saamne Deepika Padukone aur SRK ki issi naam ki film hi yaad aayi hai. Par kya aapne kabhi “Chennai Express heist” ke baare me suna hai? Agar nahi toh chahiye hum aaj aapko batate hai, desh ke bade train heist ki iss kahani ke baare me.
Yeh sab shuru hua 8 August 2016 ko, jab Madhya Pradesh ke “Paardi gang” ne 1800 km door Tamil Nadu ki chalti train ki chat kaat kar, 5.80 cr ka daaka daala tha. Yeh date Bharat ke azaadi ke baad ki sabse badi train heist maani jaati hai. Chennai Express naam ki yeh train Tamil Nadu ke Selam se Chennai jaa rahi thi. Iss train ki 2 reserve bogi(compartment) me RBI ke 342 cr rupay le jaaye jaa rahe the. 18 police waalen bhi bagal ke bogi me tainaat the, lekin train ke Selam se Virudhachalam pahuchne se pehle hi train me bada daaka pad chuka tha. Iss maamle ko lekar CID ne hazaaron logon se puchtaach ki aur laakhon call details bhi nikaale. Inn sab ke alawa Nasa ki bhi madad leni padi. Iss maamle me kareeb 2 saal lag gaye tab jaakar 30 August 2018 ko asli apraadhi ke baare me pata chala. Lekin tab tak looteron ne jyadatar rakam nadi me pehle hi baha di thi. Iska sabse bada kaaran tha 2016 me hui “note-bandi”, jisme 500 aur 1000 ke note bekaar ho gaye the. Loot ke peeche ka mastermind “Mohan Singh paardi”(पारदी) naam ka aadmi tha. Asal me RBI ne paise transport karne ke liye, train ki do bogi book karwayi thi. Issi bogi me kareeb 226 boxes maujood thi, jinme total 342 cr rupay rakhe gaye the. Inme se 4 boxes khule mile the. Dekha jaaye toh har box me 1 crore ke aas-paas ki rakam rakhi gayi thi. Train me tainaat “Railway protection Force”(RPF) aur Government Railway Police (GRP) ko maamle ki koi jaankaari nahi thi ki aakhir kisne itne bade crime ko anjaam diya tha. Train me kareeb 19 coaches thi jo raat 9 baje selam se rawana hui. Jin bogi me cash rakhi gayi thi uski, engine ke baad dusri position thi. Virudhachalam me train ne position badli, jiske baad cash waala coach aakhiri number pe aa gaya. Issi beech looteron ne loot ko anjaam diya tha aur mauke se faraar ho gaye. Agli subah yaani ki 9 August 2016 ko train Chennai pahuchi, jiske baad shaayad boxes ko “rail yard” me bheja gaya, jaha pe poore maamle ka khulasa hua. Asal me train jab yard me ruki toh security guards bogi check karne ke liye aaye, jisme unki nazar bogi ke tooth huye chat pe padi. Issi ke baad subah 11 baje RBI ke adhikaari paise lene jab aaye, toh bogi ki chat me 12 inch ka ched dikha. Wahi chat ka kata hua hissa train ke floor pe pada hua tha aur kuch notes floor pe bikhare pade the. 226 me se 4 boxes khule pade the, jinme se ek aadha khaali tha. Jaankaari ke mutabik lootera Mohan Paardi, apne saathiyon ke saath train ki chat pe baitha hua tha. Issi beech mauka dekh kar battery cutter se looteron ne train ki chat kaat di. Ek lootera bogi ke andar chala gaya aur wooden boxes ko kaat kar, note ke bundle apne saath le aaya aur chat pe baithe apne saathiyon ko de diya. Aage chal kar railway line ke kinaare Looetron ke aur bhi saathi unka intezaar kar rahe the. Looteron ne unhe notes ke bundle phenk diye. Iske baad train ke chat pe sawaar dusre lootere kud kar bhaag gaye. Iss maamle ki pehle railway police aur phir local police ne jaanch ki, lekin yeh loot itni filmi thi ki yeh case aam police ke samajh ke baahar thi. Issi wajah se case ko CID ko saunp di gayi. CID ne iss maamle ki kareeb 2 saal tak jaanch ki. Shuruat me kayi dino ke pryaas ke baad bhi jab maamla nahi saamne aa paa raha tha, toh CID ne IT experts ki madad li. IT experts ki hi wajah se police team ko pehla suraag mila. Asal me IT experts ne unn numbers ki call details nikaali, jo train me loot ke dauraan active the. Inhi me se kuch numbers police ko संदिग्ध lage, jiske baad inn numbers ki jaanch ki gayi. Jaanch me pata chala ki inn संदिग्ध numbers me kuch similarities hai. Iske alawa saare numbers Madhya Pradesh ke ek hi jagah se the. Lekin ab sawaal yeh bhi tha ki aakhir yeh kaise proof ki jaaye, ki inhi logon ne train me loot ki hai? Issi sawaal ka jawaab dhoondhne ke liye police team ne phir American space agency, NASA ki madad li. NASA ke through train jis raaste se jaa rahi thi waha ki satellite pictures li gayi, jiske through looteron ko dhoondhna shuru kiya gaya. Issi jaanch me pata chala ki Selam se Virudhachalam ke beech ki iss robbery ko 11 logon ne milkar anjaam diya tha. Satellite pictures aur phone numbers se yeh proof ho gaya ki train me loot karne waale Madhya Pradesh se the. Wahi lambe jaanch me iss baat ko bhi saaf kar diya gaya ki iss loot me railway ya parcel company ke kisi shaks ke shaamil hone ki koi saboot nahi hai. 2018 tak kuch hi aaropi pakde gaye wahi kuch ka pakda jaana baaki tha. Pura maamla tabhi saamne aa paata jab saare aaropi pakde jaate. Lootere yeh baat acchi tarah se jaante the ki unhe tabhi apne loot ko anjaam dekar faraar ho jaana hai, jab train diesel engine se electric engine me shift hone ke liye station pe rukegi. Iss train heist ko bade-bade filmon se joda gaya, jab chalti train me looteron ne apni loot ko anjaam diya hai. Yeh loot bhi kisi filmon se kam nahi thi. yeh loot toh itni safayi se ki gayi ki jab tak guard ki nazar bogi ke chat pe naa padi hoti, toh shaayad maamle ka khulasa naa hota. Asal me railway yard me jab security guards bogi ko andar se check aaye toh unhone dekha ki bogi me andhere me bhi roshni dikhayi de rahi hai. Aur andar jaakar jab guard ne check kiya toh pura mamla dekh, woh kaafi hairaan reh gaya. Issi ke baad Police ki team aayi aur poore maamle ki jaanch ki gayi.
Toh yeh thi Chennai express ki loot ki kahani, jisme looteron ne kareeb 5 crore ki rakam loot li thi. Halanki unke itne bade loot ko anjaam dene ke bawajood paise kisi kaam ke nahi rahe, kyunki 2016 me huye ‘note-bandi’ me unhe waise bhi paison ke saath apni iss mehnat ko bhi nadi me bahana pada. Wahi baat film Dhoom-4 ki kare toh “train heist” ek kaafi alag topic hai, jo iss franchise se jood sakta hai. Humne abtak har tarah ke gunde aur looteron ko iss franchise me dekha hai par iss tarah ka train heist kahani ko kaafi jyada interesting banane ki taakat rakhta hai.
The end

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Mogul

Mogul

टी-सीरीज के मालिक भूषण कुमार ने आमिर खान को रिक्वेस्ट की‌ थी कि वह गुलशन कुमार की बायोपिक Mogul में काम करें। वैसे अभी तक

Read More »

Don 3

Japan एक ऐसा देश बताया जाता है जो murder के 97% cases solve कर देता है। Japan पुलिस बहुत ही तेज तरार मानी जाती है

Read More »
Ganapath

Ganapath

जून में आयी reports के मुताबिक, Ganapath की final editing हो गयी है और अब film जल्द ही film release कर दी जाएगी. Ganapath में

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​