Kahani hai 2006 ki, jab Britain me sabse bade bank robbery ko anjaam diya gaya. 22 February 2006 ki subah me kareeb 6 logon ki ek gang ne, jinme se kuch ke paas hathiyaar bhi the, unhone Britain ke Kent me “Securitas Bank Depot” se 53 million pounds ki loot kar li. Agar hum isse aaj ke jamane ke Indian rupees me dekhe toh yeh kareeb 5 arab rupay ke aas-paas ki loot thi. Iss loot ko British History me sabse bada loot maana jaata hai. loot ko anjaam dene ke liye choron ne kaafi acche dang se plan kiya tha.
loot se pehle, 21 Feb ki shaam ko, jab Bank ke manager Dixon gaadi se paas ke hi ek ilaake se guzar rahe the, ussi dauran police ki wardi pehne kuch looteron ne unhe gher liya aur unhe gaadi se baahar aane ko kaha. Looteron ne jabardasti Dixon ko apni gaadi me bitha liya aur use “West Kent” ke hi ek farm me le gaye. Ussi dauran do aur gunde Dixon ke ghar pahuch chuke the, jaha se unhone Dixon ki wife aur uske 8 saal ke bete ko jabardasti kidnap kar, unhe bhi ussi farm me le aaye, jaha pe Dixon pehle se hi bandi bana hua tha. Jaankaari ke mutabik looteron ne Dixon aur uske pariwaar ki kidnapping karne se kuch mahine pehle hi “Securitas Bank Depot” me apne kisi jasoos ko nigraani ke liye bhej diya tha. Iske alawa woh kuch dino tak bank ke chakkar bhi kaat’te rahe, taaki unhe Dixon ke aane-jaane ka samay aur uske ghar pata chal sake.
Dixon, uski wife aur uske bete ko farm me le aane ke baad, unn teeno ko looteron ne acchi tarah se baandh diya aur unki jaan ke badle me unse loot me sahyog karne ko kaha, lekin agar Dixon choron ke saath corporate karne se mana kar deta hai, toh uske saath uske pariwaar ki bhi jaan khatre me aa jaayegi.
Dixon ke paas choron ki baat maan’ne ke alawa koi aur raasta nahi bacha tha. Issiliye Dixon ko gang ke saath “Securitas Depot bank” aana pada, jaha pe Dixon ne unki madad bank ki security system se guzarne me ki. Uss raat Bank me 14 staffs maujood the, jinhe choron ne gunpoint ke sahaare bandi bana liya tha. Iske baad choron ne bank se kareeb 53 million pound ko apne truck me bhara aur 22 feb ke raat me kareeb 2:15 baje, woh paison ke saath mauke se faraar ho gaye. Choron ne kareeb 153 million pound apne peeche chod diya, kyunki unn paison ko truck me bharne ki jagah nahi thi. Iss loot me kisi ko bhi, kisi bhi tarah ki chot nahi aayi.
Loot ke baad kisi tarah ek staff police ko inform karne me kaamyaab raha, jiske baad police ne unn looteron ko dhoondh ne ke liye search operation shuru kiya. Lekin choron ka pata lagana police ke liye kaafi mushkil ho raha tha. Halanki agli subah police 3 choron ko pakarne me kaamyaab rahi, jinme se ek aadmi aur do aurat shaamil the. Inn logon me se 1 aadmi ko loote gaye paison me se 6000 pound kisi local bank me deposit karte hue pakra gaya. Lekin baad me inn teeno ko 1 pound, yaani ki 100 rupay ki fine ke saath, bina dusre extra charge ke jail se riha kar diya gaya.
Chori ke kuch hafton baad choron ki gaadiyan milni shuru hui, jinme se ek gaadi se 1 million pound baramad ki gayi. Exact uss din looteron ke paas kitni gaadiyan maujood thi, iska koi khaas andaza kisi ko nahi hai.
Jab police ne raid daali toh unhe Kent ke “Welling” se 8 million aur Southborough(साउथबरो) se 9 million pound mila. 2007 tak 37 logon ko iss maamle ka doshi paaya gaya, jinme se 5 logon ko lambi kaid ki saza di gayi. Inme se ek aaropi gang ka andar ka aadmi tha. Ek aurat apni saza ko khatam karne ke badle me, woh police ko saboot dene ke liye taiyaar ho gayi. Uss aurat ne gang ke liye Prosthetic makeup ka istemaal kiya tha, jisne police ko kayi jaruri jaankaariyan di.
Lee Murray naam ka aadmi, jo iss poore maamle ka mastermind tha, woh apne dost aur ek saathi ke saath Morocco bhaag gaya, lekin police use kisi tarah London laane me kaamyaab hui aur use chori ki saja me jail me daal diya gaya. Lekin 2019 me jab Lee jail se baahar aaya toh use kisi ne goli maar di, jisse woh ghaayal ho gaya tha. 2016 tak bache huye 32 million pound police ko haath nahi lage aur unke mutaabik ab bhi bade paimaane pe gang ke members khula ghum rahe hai.
Jaankaari ke mutabik lootere kaafi dino se bank ko lootene ke chakkar me the. Iske liye unn logon ne bank ke andar ki details ko nikaalna bhi shuru kar diya tha. Jab gang members pakre gaye toh inme se do apraadhi, bachpan ke dost the. lekin jab court me dono ko ek dusre ke saamne pesh kiya gaya toh unlongon ne ek dusre ko pehchaane se bhi saaf inkaar kar diya aur kaha ki woh toh ek dusre ko jaante tak nahi, dosti toh door ki baat hai.
Issi gang me do mixed martial artist bhi the, jinme se ek drug dealer tha. Dekha jaaye toh iss gang ke members apni field me kaafi pahuche huye the. Kaha jaata hai jab gang ka mastermind Lee Murray apne do saathiyon ke saath 2005 me bank ke chakkar laga raha tha, toh police ne use roka bhi tha, lekin shayad koi saboot naa hone ki wajah se use pakra nahi gaya.
Wahi 2005 me kisi tarah gang ke ek member ko bank me staff ki naukri mil gayi. Apne training ke dauran apraadhi bank ke security details ke baare me puchta rehta tha aur jo bhi use jaankaariyan milti thi, woh use apne dusre saathiyon ko forward kar deta tha. Loot ko safal banane me iss apraadhi ne kaafi madad ki, kyunki woh bank ke andar reh kar jyada se jyada jaankaari collect karta chala gaya aur 1 saal se bhi kam wakt me usne bank me loot ko anjaam de diya.
Lootere well planned the aur woh kuch bhi kaam soch samjh kar rahe the. Yaha tak ki jab Dixon ki wife aur uske bete ko kidnap karne ke liye gunde aaye, toh woh uss dauran police ki wardi me the. Unhone Dixon ki wife se kaha ki Dixon ne apne gaadi ko crash kar liya hai aur woh philhaal hospital me hai, jis wajah se Dixon ki wife aur uska beta nakli police ki gaadi me baith gaye. Lekin kuch der me hi unhe pata chal gaya ki woh jis gaadi me baithe hai, woh police ki nahi balki gundon ki gaadi hai aur unhe gundon ne yeh bhi bataya ki unhe woh kidnaap kar kahi ke jaa rahe hai.
Wahi yaha se aage jo hua woh Britain ke itihaas me aajtak darj hai.
Toh yeh thi duniya ki sabse badi bank robbery ki kahani. Dhoom-3 me kyunki Protagonist bank robbery ko anjaam de chuka hai, toh shayad log ek aur baar ise dekhne ke vichaar me naa ho. Lekin kya pata Dhoom-4 bhi bank robbery pe hi based ho, jisme Dhoom-3 ke Sahir ki maut kabhi hui hi naa ho aur woh dusre gang ke saath milkar kar ek aur loot ko anjaam dene ko puri tarah se taiyaar ho? Aisa hone ke liye ho bhi sakta hai, kyunki isme hume Sahir aur uske bhai ke baare me aur jaan’ne ka bhi ek mauka milega. iske alawa yeh bhi dekhna hoga ki iss film me Aaliya ki wapasi hoti hai ya nahi.
The End
Sholay 2
Jaisa ki hum sab jaante hai ki koi apni khusi se chor ya daaku ya don nhi banta hai ya toh usse uske halaat waisa