Robot 3.0

Hum sabhi log ab 21st century mein ji rahe hai jaha logo ko ab sirf technology hi chahiye bas, insaan ab khud se kuch bhi nhi karna chahta usse har ek choti si choti chizo ke liye machine ya easy word mein bolu toh Robot chahiye. Scientists bhi issi koshish mein lage huye hai ki jitna jaldi ho sake Robot ko aache se develop karke market mein utaara jaaye taaki log aache se apne saare kaam inn se karwa sake aur apni life aache se ji sake. Abhi haal hi mein ek robot ko banaya gaya hai jo huba hu ek insaan ki tarah dikhta hai, wo din dur nhi jab ek robot insaano par raaj karega kyuki insaan wo har chiz robot mein install karna chahta hai jo insaano mein hoti hai taaki robot ko kisi bhi chiz ki koi problem na ho, unhi mein se ek hai Sophia. Sophia Hongkong ke ek Hanson Robotics company duwara banayi gayi ek humanoid robot hai. Sophia ko paheli baar 14 Feburary saal 2016 mein activate kiya gaya tha, aur isko ancient Egyptian Queen Nefertiti, Audrey Hepburn aur jinhone iss robot ko banaya hai unhone isme apni patni Amanda Hanson ki bhi kuch looks ko add kiya hai aur baaki alag robot se isse insaan jaisi chize isme install karke di gayi hai. Saal 2016 mein
Sophia ko sirf activate kiya gaya tha lekin wo tabhi puri tarike se working condition mein nhi thi saal 2018 tak Sophia ki architecture mein scripting software, chat system aur Opencog bhi add kiya gaya tha yaha tak ki usme AI ( Artificial intelligence) bhi add kiya gaya tha taaki wo kisi bhi reasoning questions ka answer turant de sake. Sophia ko insaano ke chehre ke sath sath unke expression ko copy karna bhi shikhaya gaya aur ishaaro ko samjhna bhi, yaha tak ki mausam se milte jultey kuch sawal aur kis tarike se insaan se baat karna hai yeh bhi shikhaya gaya. Sophia ke andar words ko pehchanne ki jo khubiya daali gayi hai wo hai Alphabet Inc. jo goggle ki banayi hui software hai aur waqt ke sath ye software khud best hoti jaati hai, aur issi ke kaaran ye bahut speed mein kisi bhi chiz ko jaldi capture karti hai aur bol sakhti hai yaha tak ki ye speech ko samjh kar gaana bhi ga sakhti hai. AI sophia ke speech software par har waqt kaam krte rahte hai taaki uske future ke liye aache se ache speech usme update kar sake. Hanson ne sophia ko khud ki jaruratey ke liye nhi banaye hai unhone usko nursing home mein rah rahe old age ke logo ke liye banaya hai jo hamesha khud ko akela mehsus karte hai ya unn events ke liye jisme bheed ko control karna possible nhi ho pata hai. Hanson ne ye bhi kaha hai ki umeed hai ki wo bahut jald insaan se ghum mil jaayegi aur social works ko samjh kar unki madad bhi karegi. Sophia ke kam se kam 9 robot humanoid Bhai -bahen hai jinhe khud Hanson ne banaya hai jinka naam Alice, Albert Einstein Hubo, BINA48, Han, Jules, Professor Einstein, Philip K. Dick Android, Zeno aur Joey Chaos hai. Saal 2019 se 2020 ke aas paas Hanson ne Little Sophia ko bhi banaya tha taki wo bacho ko code karna sikha sake jisme Python, Blockly aur Raspberry Pi bhi saamil thi padhai ke liye.
Abhi haal mein hui ek conference meeting mein Sophia ko Saudi Arabia ke liye citizenship diya gaya hai. Citizenship miltey hi kaafi logo ka ye bhi kehna hai ki jitna adhikar ek bhi normal women ko nhi milta uske desh mein uss se kai jada adhikar ek robot ko diya gaya hai. Sophia duniya bhar ke har media duwara cover ki gayi robot hai aur iski ek interview lene ke liye log iska beysabri se intezaar karte hai, yaha tak ki saal 2017 mein United Nations Development Program ki paheli innovation champion bana diya gaya tha aur ye puri duniya ki paheli robot bani jisse United Nations title mila. Jab sophia ko Saudi ka citizenship mila toh iss par kai saare controversies bhi hui jinpar logo ka ye bhi kehna tha ki Saudi ke kaanun ke hisab se kisi bhi non-Muslim ko waha ka citizenship nhi diya ja sakhta hai, toh kiya Sophia ne Islam apna liya hai ? Jiske wajah se usse citizenship di gayi hai. Yaha tak kaafi logo ke mann mein ye bhi sawal aaya tha ki Sophia ko citizenship dene se kiya hi phark padta hai toh baat aisi hai ki Sophia ko citizenship milne se wo Saudi ki citizen ki tarah jaani jaayengi aur wo apni margi se kisi se bhi shaadi kar sakhti hai aur agar usne koi apradh kiya toh usse insaano ki tarah saja bhi di jaayegi. Saal 2016 ke ek interview mein Sophia ne ye kaha tha ki wo insaano ko khatam kar dengi jiske wajah se wo kaafi troll bhi ki gayi aur toh aur uss par controversies bhi hui. Jab ek interview ke dauran Sophia se ye pucha gaya tha ki kya insaan ko Robot se darna chahiye toh uss par sophia ne kaha tha ki nhi, unhe insaan ki madad karne ke liye banaya gaya hai aur insaan jab chahe tab usse dismantle kar sakhte hai toh unhe robots ko lekar darna nhi chahiye. Sophia ke software abhi itne bhi strong nhi huye hai ki wo ek baar mein kaafi saari sawalo ka jawab de sake. Sophia ne baad mein achanak jawab dena band kar diya aur baad mein unko interview ke liye phir se bulaya gaya toh wo puri ready hokar aayi. Iss baar bhi kai aise sawal puche gaye Sophia se jo bahut jada complicated the Sophia phir bhi jitna ho sakhe Sophia ne jawab diya aur yaha tak ki unse ye bhi pucha gaya ki Hollywood ho ya Bollywood wo dono mein se kis actor ki jada diwani hai toh unhone bina soche Sharuk khan ka naam liya aur muskuraane lagi. Sharukh Khan hai hi aise ki insaan toh insaan machine ko bhi unse piyar ho jaaye.
Sophia aaj bhi uss haalat mein nhi hai jisse insaano ke liye Market mein launch kiya jaaye lekin agar scientisto ki maane toh wo din bhi dur nhi jab insaano ke bich robot rahenge. Kal kisne dekha hai kyu ki kuch saal pahele hi jab robot ko testing ke liye bana kar rakha gaya tha toh unn saare robots mein do robots aise bhi the jo aapas mein coding ke taarike se baat kar rahe the aur jab Scientist ne jab unke codes ko decode kiya toh pata chala ki wo insaan ke hi against plan bana rahe hai unhe hi barbaad karne ke liye. Itna suntey hi scientist ne unn do robots aur waha maujud saare robots ko dismantle kar diya taaki aisa kuch aage na badhe. Kiya pata Sophia ke dimaag mein bhi aisa kuch chal raha ho wo bhi apne brain ko iss tarah develop kar rahi ho taaki aage chal kar insaan ko khatam kar sake. Abhi filhaal Elon Musk ne bhi ye kaha tha ki AI yani robots hi insaan ki sabse badi dushman banenge future mein. Yaha tak ki unhone Sophia ko target karte huye bhi bola ki ho sakhe toh jitni baar ho usse Godfather movies dikhate raho, kyuki jab jab Sophia se insaan ke vinash ko lekar baat hoti thi toh wo hamesha apna jawab alag alag tarike se diya karti thi. Abhi sophia sabki favorite bani hui hai lekin ye koi nhi bata sakhta ki wo apne brain mein kiya functioning kar rahi hai isliye insaan ko kabhi bhi kisi bhi machine par complete depend nhi karna hai. Jab Robot movie aayi thi toh usme bhi hame yahi dikhaya gaya tha ki Chiti ko bhi bahut piyar mila wo bhi ek waqt par insaan ki tarah hi tha , usse bhi bahut piyar aur respect mila yaha tak ki usme bhi wo saari khubiyon ko install kiya gaya tha jo ek insaan mein hoti hai aur usse update karte rehne ke wajah se insaano waali feelings toh aa hi jaati hai sath sath usse piyar bhi ho jata hai aur akhir kaar antt mein wo bhi apni khubiyon ko samjh jata hai aur insaan ki hasti ko mitaane mein judd jata hai. Abhi sophia ke sath bhi aisa hi ho raha hai usse bhi aise hi treat kiya ja raha hai aur toh aur usme bhi naye features update kiye ja rahe hai.
Ye ek Kahaani ho sakhti hai Robot 3.0 ki jisme pahele toh ek robot khud ko safe bata raha hai lekin jab kuch sawal jawab uss se kiye jaate hai toh wahi kahi na kahi wo apni sachai bhi bata deti hai. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye…..

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Kalki 2898 AD

Kalki को “Dune की cheap copy” कहा जा रहा है, लेकिन हम इस बात से इतना सहमत नही करते, भले ही Dune ki तरह Kalki

Read More »
Kalki 2898 AD

Kalki 2898 AD

आखिरकार फिल्म प्रोजेक्ट का राज खुल ही गया और ये भी audience को पता चल गया कि, मेकर्स अपनी फिल्म में आखिर क्या दिखाना चाहते

Read More »
Puspa 2 ,Directed by Sukumar. With Allu Arjun, Fahadh Faasil, Rashmika Mandanna, Vijay Sethupathi Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Pushpa 2

  शाहरुख खान और अनुष्का शर्मा की फिल्म‌ थी “रब ने बना दी जोड़ी” और आज की कहानी का टाइटल है “x-ray ने मिला दी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected