Sholay 2

Sholay unn filmo mein se hai jisse pahele toh koi banana nhi chahta tha aur usse flop keh kar reject kar diya gaya tha lekin release hotey hi usne aise chaap chori ki movie ke sath sath uske gaane aur dailogues bhi logo ko muzabani yaad hai aur toh aur ek aaj ka din hai jab iske dusri part ko banane ke liye kai saare directors ideas lekar line par thade hai . Bollywood ke kai hit filmo mein se ek hai Sholay aur isne release hotey hi safalta ke kai saare records bhi banaye hai, sayad hi sholay se paheli koi film hogi jisse international astar par taarif mili ho, lekin taarif paane ke liye inhe bahut saare papad bhi belne pade. Jab sholay movie ko banane ko lekar baat chale rahi thi uss waqt pahele se hi Zangeer movie ki promotion ka kaam bhi ho raha tha lag bhag iss film ke release hone ke 6 mahine baad Salim-Javed ne jakar G.P. Sippy aur Ramesh Sippy se miley aur unhe bhi apni 4 line ki kahani suna di Salim – Javed saal 1973 se kai aise director se miley aur unhe apni story suna chuke the yaha tak ki unhone do director aur producer Manmohan desai aur Prakash Mehra ko bhi apni kahani suna di thi lekin unhone iss story par kaam karne se inkaar kar diya tha. Ramesh Sippy ko unki story aachi lagi aur unhone unko aage apne sath kaam karne ke liye bol diya gaya lekin Sippy ne bola ki wo story ki kuch linnings change karna chahte hai kiu ki unke story ke hisaab se do police waalo ko apne pariwar ka maut ka badla lena tha lekin agar wo iss linnings par kaam karte toh censor board unhe allow nhi karti kiu ki uss waqt desh mein emergency laga hua tha jiske kaaran agar aisa kuch dikhaya jata toh sayad wo desh waasiyo ke liye thik sabit nhi hota. Salim-javed ne milkar iski Kahani ko ek mahine mein puri kar li aur puri story change bhi ho gayi, lekin Salim Javed ki urdu lipi hone ke Karan unhone puri film jada kar urdu mein likhe huye the toh ek assistant ke madad se usse devnagari mein convert kiye gaya taaki hindi padne waalo ko bhi ye samjh aa jaaye.Sholay movie ko ek western dakait ke example ke taur par banaya gaya tha jisme writers ek sach ke daaku ke life ke upar ye story public ko dikhana chahte the aur kisi hadd tak wo safal bhi huye.
Jab makers gabbar ke role ke liye koi asli ke daaku ke baare mein padh rahe the toh unko koi bhi aisa daaku nhi mil raha tha jo logo ko interesting lage lekin phir baad mein unnhe ye pata chala ki Gwalior ka ek daaku hai jiska saal 1950 ke dasak mein uska aapne gaaon mein kaafi aatank faila hua tha. Jo asli gabbar tha wo jab kabhi bhi kisi asli police waale ko pakadta toh usnki yaa toh kaan kaat deta ta naak kaat deta tha taaki usse baaki police waalo ko warning bhi mil jaate aur uska darr bhi charo taraf phel jaaye aur yeh character Ganga Jamuna se prerit tha jaha Dilip Kumar ko bhi ganga daaku ke roop mein dikhaya gaya tha, aur yahi se unhe bhi Gabbar ke role ke liye prerna mili . Writers bilkul bhi risk nhi lena chahte the, ek toh mushkil se unko ye movie karne ka mauka mila tha upar se flop hone ka bhi darr tha yaha tak ki gabber ke role ke kiye bhi makers confuse the ki kisko caste kare aur kisko nhi kare aur issi wajah se kaafi logo ka naam saamne aaya tha.
Makers ne sabse pahele gabbar Singh ki bhumika ke liye Danny Denzongpa ko chuun liya gaya tha lekin wo iss kirdaar ke liye ready nhi the kyuki wo pahele se hi Firoz Khan ki movie Dharmatma ki shooting ke liye sign kar chuke the aur dono movie ki shooting bhi ek sath ho rahi thi jiske karan Danny sirf ek film par hi focused rehna chate the. Jab Danny se na ka jawaab mila toh makers ki ab dusrk pasand Amzad Khan the, wo iss kirdaar ko nibhane ke liye taiyaar ho gaye aur usspar unhone kaam bhi shuru kar diya tha wo jaante the ki unko bahut mehnat karni hoga kiu ki movie ki one of the most important character unko Mili hai isliye unhone ek Abhishapt Chambal naam ke ek kitaab ko padhne lage taaki wo apne character ko aache se play kar sake. Lekin ussi bich ye baat saamne aai ki Sanjeev Kapoor jo thakur ka role nibhaaye the wo bhi Gabbar Singh ka role nibhana chahte the lekin Salim – Javed jaante the ki Sanjeev ji ka image logo ke saamne bahut aacha hai toh log unko as daaku accept nhi kar paayenge isliye unko bhi Gabbar ke role ke liye mana kar diya gaya tha. Aur idhar Sippy yeh chahte the ki Jai ka kirdaar Shatrughan Sinha nibhaaye lekin Sinha ji bhi apne dusre baade filmo ke shootings mein busy the aur bas isi liye unhone bhi ye movie karne se mana kar diya tha. Amitabh Bachchan uss waqt itna mashur nhi huye the unko bhi apne veeru ke role ke liye bahut mehnat kari padi. Lekin isske pichey Salim Javed ka hanth tha unhone pahele se hi Amitabh Bachchan ke naam ki sifarish makers ke saamne kar di thi aur jab makers ne inka interview dekha toh wo khush ho gaye aur boley ki Amitabh hi best hai veeru ke role ke liye. Sabhi cast already apna- apna story line padh chuke the lekin thakur ka role abhi bhi final nhi hua tha, makers ne iske liye bhi Pran ji ko pahele approach kiya tha lekin Sippy ke najar mein Sanjeev Kumar uss role ke liye pahele hu baith gaye the isliye unhone Sanjeev Kumar se iske silsaley mein baat ki tabhi udhar se dharmendra ji ne bhi apna interest thakur ke role ke liye dikhaya lekin makers ne dharmendra ji ke saamne do options rakh diye the ya toh wo jai ka role play kare or Hema Malini ke sath screen share kare ya phir thakur bann kar Sanjeev Kumar ko Hema Malini ke sath screen share karne de . Jab ye baat dharmendra ji ko pata chali toh wo turant Jai ke role ke liye maan gaye.
Film ki shooting shuru hui lekin sirf chaar characters ke wajah se film ko banne mein deri hui, ya toh kabhi Amitabh Bachchan apne Shaadi ya family se related kisi kaam mein busy ho jaate the ya phir dharmendra ji kuch jada hi Hema Malini ke sath close ho jaate the har scene mein jiske wajah se retake par retake kiya jaata tha. Lekin phir bhi 2 saal 5 mahine ke andar complete ho gayi aur finally realese bhi hui .Pahele toh kuch din tak kuch khaas Kamaal nhi dikha paai film lekin ek haafte ke baad jo isne apni speed pakdi ki aaj tak logo ko ye aache se yaad hai. Yeh baat bahut kam logo ko hi pata hai ki Ye dosti hum nhi todenge song ko 21 din lag gaye the shoot karne mein. Censor board ke wajah se kai saare scene ko ya toh change karna pada ya toh hata dena pada taaki film ko easily release krne ka approval mil jaaye aur akhir kaar bahut saare badlao ke baad film release hui.
Saal 2000 mein ek kitaab likhi gayi The Making of Classic mein Shekhar Kapoor ne kaha ki bollywood ke wajah se itihaas ko do hisse mein baat diya gaya hai, ye book itni famous hui ki 10000 copies bani aur hantho hanth beek bhi gayi aur saal 2001 mein iss book ko best book on Cinema mila.
Makers Sholay 2 ki taiyaari mein lage huye hai unko ek aachi script ki intezaar hai aur cast ki, ek interview mein dharmendra ji ne ye bhi kaha tha ki wo sholay 2 mein jo do main lead characters honge wo hai Abhishek Bachchan aur Bobby Deol jinko wo dekhna chahte hai, uske baad hame jald hi Sholay 2 bhi dekhne ko milega.Yaha tak ki jab American ke president Donald Trump India aaye the toh unhone bhi Sholay movie ke baare mein bahut saari baatein ki thi aur usske baar me unhone jaana tha. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Race 4,Saif Ali Khan,Salman Khan, Jacqueline Fernandez Deepika Padukone ,bollygradstudioz.com

Race 4

Yeh kahani hai 52 saal ke ek aadmi ki. Ludhiana ke bahut bade khaandan ki aur, yeh kahani hai Baljit Singh aur Rajwinder Singh ki.

Read More »

Krrish-4

“Krrish franchise” के एक fan का कहना है की, जब वह 2nd grade में था, तब उसने पहली बार Krrish देखी थी. यक़ीनन ही एक

Read More »
Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Ganapath

Jaisa ki hum jaante hai, Ganpath me Tiger Shroff ek Boxer ki bhumika nibhane waale hai, jo martial arts me bhi kaafi maahir hoga. Iss

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​