कौन है real life का Kaleen bhaiya?
Baap by Lavanya Chaudhary
Ek esa Don jisne pure Uttar Pradesh ko apni ungaliyon par nachaya. Uski kahani toh filmo se judi hi hai balki uska naam bhi ek series ke character se bilkul mel khata hai. Asal mai Prem Prakash Singh naam ke is Don ne jab mirzapur, johnpur or Gazipur mai apna dabdaba kayam karlia toh apna naam badal kar rakh lia Munna Bajrangi. Kahani ki shuruwat hui dabango ke Pradesh Uttar Pradesh se. Jaunpur or purvanchal ke har ikale mai baccha baccha katta liye ghumta hai toh akhir Munna is sabse door rehta bhi toh kese 1967 mai peda hue Munna ko filmo ka bohot shauk tha lekin maze ki baat ye hai ki use filmo mai bhi sirf dakuon ke kirdar hi pasand ate the. Munna ke pita use ek bada admi banana chahte the joki Munna ka bhi sapna tha lekin usne jo rasta chuna wo uske gharwalo ki soch se bilkul alag tha. 17 sal ki umar mai Munna ne pehla murder kia tha or pakda nahi jata. Uski himmat bohot badh gayi thi 1984 mai Munna ne ek bohot bade bussinessman ko sare aam mar dala. Or uske baad BJP ke ek bohot bade neta ko bhi Munna ne nahi baksha. Crime ki duniya mai settle ho chuke Munna ko sath Mila Ansari ka. Sath milke na jane kitne theke hathiyaee dono ne lekin phir BJP vidhayak Krishna Anand Ray ne unke samne bohot si chaunitiya khadi kardi, jinhe Munna jhel nahi paya or usne din dahade Krishna Anand ko mar dala. Btaya jata hai ki usne BJP vidhayak ko puri 400 goliyan Mari thi. Political case the isi liye Munna ko jail mai band kardia gya . Police ne chain ki sas Li lekin abhi Munna kaha rukne wala tha wo jail mai kediyon ke liye ek bohot badi pareshani ban gya tha. Ekdin isi ladai mai use 11 goli lagi, police ne use hila dula kar dekha lekin wo mar chuka tha. Hospital lejakar uski body ko doctors ko de dia gya, Jab doctor uski maut ko confirm karne aae usne akh khol li achanak esa hone se sab dar gaye the. Kisiko samjh nahi aya ki itne ke baad bhi koi insan kese Bach sakta hai. Samay nikla or 2018 mai uski phirse ladai Hui jail mai jiski wajah se use baghpat jail mai shift kardia lekin waha jo hua wo aj tak charcha ka masaledar topic hai. Baghpat jail mai ane ke 24 ghante ek anadr anadr uski maut hogyi or uske seene Mai 6 goli mari gayi thi. Log aaj bhi use police ki sajis batate hai , wahi kuch log kehte hai ki Munna apni maut apne hathon chahta tha isliye usne esa kia. Don3 ki kahani bhi kuch esi ho sakti hai.
By Lavanya Chaudhary
Description: Touted to be an action comedy film or the “Baap of all films,” the film is directed by filmmaker Vivek Chauhan, who has also worked as an assistant director in the Randeep Hooda and Alia Bhatt starrer romantic drama film Highway (2014). The story of the film is penned by Om: The Battle Within writer Raj Suluja with co-writers Niket Pandey and JoJo Khan, and it is backed by filmmaker Ahmed Khan in association with Zee Studios.