Dhoom-4

Duniya me har tarah ki choriya hui hai lekin aajtak ke itihaas me Monalisa ki painting ki chori, sabse jyada khaas maani gayi hai. “Monalisa” half length painting ka naam hai, jise Italian painter Leonardo Da Vinci (लियोनार्डो दा विंची) ne banaya tha. Monalisa painting ke poora ho jaane ke baad France ke raaja Francis-1(फ्रांसिस पहला)ne 1517vi century me iss painting ko apne naam karwa liya. Issi ke baad Italian Painter dwara banayi gayi Monalisa ki painting, France ki property ban gayi, jise 1797 se Paris ke Louvre(लूव्र) museum me public display ke liye rakha gaya hai. Monalisa painting ki chori ko “Art Heist of the century” yaani ki “Shadi ki sabse badi kala chori” kaha gaya hai.
Aapki jaankaari ke liye bata de ki Monalisa painting sabse purani painting hai. Yeh kareeb 500 saal se bhi jyada purani hai. Leonardo Da Vinci ne iss oil painting ko itne khaas tarike se banaya hai ki ispe brush ki ek bhi nishaan nahi hai. Lekin itni khaas painting hone ke bawajood bhi Monalisa apne chori hone se pehle tak famous nahi thi. Ji haa! Monalisa ko famous karwane ke peeche uss chor ka hi haath hai, jisne 1911 me iss painting ko chura kar duniya me sansani faila di thi.
Sunday 20 August 1911 ki shaam ko, moonch waala ek chote height ka aadmi, Louvre museum ke andar ghusa aur seedhe “Salon Carré” (सलोन कर्रें)ki yor badha, jaha pe Monalisa aur uske jaise aur dusri famous paintings rakhi gayi thi. Museum ke andar security thodi dheeli thi, jis kaaran chor museum ke store room me ghus kar chup gaya aur agli subah tak woh wahi raha. Chor jaanta tha ki subah ke wakt logon ki bheed bhi nahi hoti aur museum bhi band rehta hai. Issi wajah se woh pehle hi museum me ghus aaya taaki woh agli subah museum khulte hi painting lekar faraar ho sake. Chor white apron pehan kar museum me ghusa. Asal me aisa hi uniform museum ke employees pehante the. Issi kaaran chor bhi white Apron pehanke aaya, taaki koi uspe shak naa kare. Subah kareeb 7:15 baje chor storage room se baahar nikla aur dekha ki kahi koi hai toh nahi. Jab chor ne apna raasta saaf paaya toh usne turant diwaar pe se Monalisa painting ko utaar liya. Diwaar pe se painting ko hata kar chor use museum ke ek service room me le gaya, jaha pe usne painting ki wooden canvas ko uski glass frame se hata diya. Chor ka plan abtak sahi jaa raha tha, lekin jab usne museum ke आंगन(courtyard) me jaane ki koshish ki toh usne museum ka darwaza band paaya. Chor ne turant painting ko, jo ab ek white sheet se covered thi, use zameen pe rakha aur darwaza kholne ki koshish ki lekin tabhi museum ka plumber सीढ़ियों ke raaste Chor ki yor badh raha tha. Plumber ko dekh ghabra kar chor darwaza kholne ki puri koshish karta hai. Plumber ko aisa laga ki chor asal me museum ka employee hai, jo shaayad band darwaze ke kaaran museum me hi phans gaya hai. Plumber ne chor ko pakarne ke bajaye ulta uski madad darwaze ko kholne me ki. Ek baar darwaza khul jaane ke baad chor ne plumber ko uski madad ke liye “shukriya” kaha aur museum ke baahar aa gaya. Chor ab badi hi savdhaani se duniya ki sabse keemti painting ko, apne apron ke andar chupa kar museum ke baahar le aa chuka tha. Poore 1 din tak museum ke staffs ko pata bhi nahi chala ki painting asal me chori ho chuki hai. Waise toh museum ke paintings ko aksar safayi ya photography ke liye diwaar pe se hata diya jaata tha, issiliye aate-jaate logon ka uss khaali jagah pe bahut kam dhyaan gaya, jaha pe usually Monalisa ki painting hoti thi. Phir 22 August Tuesday ke dopehar ko ek artist museum aata hai aur woh security guard se Monalisa ki painting ko tarck karne ke liye kehta hai. Jab guard painting ko khojne me fail hote hai, toh turant police ko iss maamle ki khabar di jaati hai. Police apni jaanch shuru karti hai aur maamle ka pata lagane ke puri koshish me joot jaati hai. Issi jaanch me police ko museum ke hi ek room se Monalisa painting ka glass frame mila, jise chor ne painting se hata diya tha. 22 August ke shaam ko hi museum ke ek adhikaari ne duniya ko khabar di ki Monalisa ki famous painting chori ho gayi hai. Adhikaari ne kaha “Monalisa nahi hai! Halanki abhi tak hume yeh nahi pata chal paaya hai ki aakhir iss jurm ko kisne anjaam diya hai.” Adhikaari ka yeh bayaan uss din poore France se lekar duniya ke har lone tak pahucha. Log shocked the ki aakhir kisne iss chori ko anjaam diya hoga. Kya woh koi insane lover tha, ya phir ek sanki tha? Aakhir kon tha woh chor? Poore France me bas yahi sawaal chal raha tha. Lekin chor ka kahi bhi clue nahi nazar aa raha tha. Louvre me detectives ko chor ki fingerprints khojne aur witnesses se sawaal puchne ke liye bulwaya gaya. Chori ke wakt jitne bhi gaadi aur log maujood the, unn sab ko khoj kar, unse maamle ki jaankaari li gayi. Monalisa ki aadhi muskaan waali uss tasveer ko police ne “Wanted” likh kar Paris ke har kone me stick karwa diya. Iss maamle ke 1 hafte baad jab Louvre museum dobara se public display ke liye khula, tab jyada se jyada log sirf uss khaali jagah ko dekhne aa rahe the, jaha pe kabhi Monalisa ki painting hua karti thi. Media circus ke bawajood police kuch important suraag khojne me kaamyaab hui. Sabse pehle police ka shak “Guillaume Apollinaire” (गीउमे अपोलिनेर) pe gaya jo ki ek poet tha. Asal me Guillaume ne ek baar Louvre ko jala dene ki baat kahi thi. Guillaume ko police ne 1911 ke September me arrest kar liya. Police ne paaya ki Guillaume ka naam Louvre me huye do statues ki chori me bhi aaya tha. Asal me statues ko Guillaume ke hi secretary ne Louvre se utha liya tha. Apni puchtaach ke dauran, Guillaume ne apne kareebi dost Pablo Picaso ka naam liya, jo ki ek famous Spanish painter the. Guillaume ke mutabik unn statues ko Pablo ne hi unse apni painting ke model ke liye khareeda tha. Police ne bhale hi sadi ke do mahaan art legend se puchtaach ki lekin Guillaume aur Pablo ke khilaaf kam saboot hone ke kaaran Police ne unhe jaane diya.
Aage hum jaanenge ki aakhir iss painting ka asli chor kon tha aur aakhir usne kyun Monalisa ko hi apni chori ka target banaya. Aakhir aisa kya tha uss painting me jisne chor ko uski yor aakarshit kiya. Yeh sab hum jaanenge apne agli kahani me. Tab tak ke liye aap padhte rahiye humari yeh blog jiska naam hai Bollygrad studioz.
Dhanyawaad
To be continued.. PART-1

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DHOOM 4 , Facts,Shahrukh Khan,Salman Khan ,Katrina Kaif ,Abhishek Bachchan Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Dhoom-4

Saal 1990 se 1994 aa gaya, lekin FBI ko choron ka koi suraag nahi mila. 1994 ki shuruat me Boston mafia “Whitey Bulger” pe chori

Read More »
Ganpath , Tiger Shroff, Kriti Sanon , Amitabh Bachchan ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Ganapath

Archie Moore ek professional boxer the, jinka naam 100 “greatest boxers of all time” ki list me shaamil hai. Moore ki boxing life kaafi utaar-chadhaav

Read More »
Mili is a 2022 Indian Hindi-language survival thriller film directed by Mathukutty Xavier,Janhvi Kapoor, ‎Sunny Kaushal,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Mili

Mp के एक गाँव मे सोनल सिंह नाम की एक महिला, जो middel क्लास फैसोनल की बहु है,अपने भाई कमलेश से फोन पर बात कर

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​