Lawrence Bishnoi gangster ki duniya me sabse famous naam hai. Bishnoi ko log gangster ka messiah bhi maante hai. Lawrence ke pita use ek IPS officer banana chahte the, lekin unhe kya pata tha ki unka beta ek din gangster ban jaayega.
Lawrence Bishnoi ka janam Abohar, Punjab ke gaaon me, ek Jat Pariwaar me, 12 February 1992 ko hua tha. Uss wakt Bishnoi ke pita Haryana police me constable ki naukri kar rahe the. 1997 me Bishnoi ke pita ne constable ki naukri chod di aur ek kaabil kisaan ban gaye. 12th grade tak Lawrence ne Abohar se apni padhai puri ki, Jiske baad 2010 me apne aage ki padahi ke liye Lawrence Chandigarh aa gaya, jaha usne DAV college me apna admission liya. Ussi dauran Lawrence ne “Panjab University Campus Students Counsel”(PUCSC) join kiya, jaha pe uski mulakaat Goldy Brar se hui. Goldy ka asli naam Satinder Singh hai, jo ki aaj ke date me ek kukhyaat apraadhi hai. Goldy se milne ke baad se hi Lawrence college ke politics me ruchi lene laga aur usne kayi tarah ke crime bhi kiye. Lawrence ne apni LLB “Panjab University” se puri ki.
Lawrence Bishnoi ki entry apraadh ki duniya me tab hui, jab uske khilaaf kayi FIR darj kiye gaye. Asal me Lawrence ne 2010 se lekar 2012 ke beech kayi tarah ke apraadh ko anjaam diya, jisme hatya ka prayaas, assault, chori jaise dusre apraadh shaamil the. Yeh saare cases uske student politics me shaamil hone se related the. Lawrence pe kareeb 7 cases darj hui, jisme se 4 cases se use mukt kar diya gaya. Wahi 3 cases ab bhi pending hai. Jabtak Bishnoi jail me raha usne iss dauran kayi criminals se apni pehchaan bana li. Jab Lawrence ko jail se riha kiya gaya, toh woh baahar aakar kayi arms dealer aur local criminal se mila. Lawrence ne apni gang, Panjab University me padhne ke dauran hi bana li thi, jo ab dheere-dheere aur badi ho rahi thi. Lawrence naa sirf power me balki paison se bhi kaafi taakatwar hai. Lawrence jail me reh kar jo kapde aur joote pehanta hai woh mehange brands ke hote hai, jinki keemat lakhon me hai. College me hi padhne ke dauran Lawrence student leader bhi elect hua tha. Iske alawa woh apne ghar Firozpur me vasooli ka bhi kaam karta tha. 2013 me apne graduation ke baad, Lawrence ne Muktsar ke ek government college me huye election me, jeetne waale candidate ko goli maar di thi. Iske alawa usne Ludhiana Municipal corporation me khade apne rival candidate ko bhi goli maar di thi. Lawrence ko apne iss harkat ke kaaran aksar chupna padta tha. 2013 me hi Lawrence ne alcohol ke business ki shuruat ki. Lawrence ne kayi hatyaaron ko bhi apni gang me jagah di. 2014 me Lawrence Bishnoi aur Rajasthan police ke beech golibaari huyi, jiske baad Lawrence ko jail bhej diya gaya. Jail me reh kar Lawrence ne kayi tarah ke murders ka plan banaya. Lawrence ne Ganster-politican Jaswinder Singh se dosti kar li. Jaswinder ka उपनाम Rocky tha. Rocky ka saath paakar Lawrence Bharatpur, Rajasthan me jyada active rehne laga aur kayi apraadhon ko anjaam diya. 2016 me Rocky ki Jaipal Bhullar naam ke ek gangster ne hatya kar di. Jaipal kaafi jyada khatarnaak gangster tha, jiski hatya 2020 me huyi.
2018 me Lawrence Bishnoi ka khaas Sahyogi Sampat Nehra ne police ko bataya, ki use Salman khan ko maarne ka kaam diya gaya tha, kyunki Salman ka naam काले हिरण(black buck) ke shikaar maamle me aaya tha. Asal me Bishnoi samaaj Black buck ko pavitra(sacred) maanta hai. Aise me jabse Salman ka naam हिरन ke shikaar maamle me saamne aaya, tab se Lawrence Salman se dushmani rakh raha tha. Jab Lawrence ko jabran vasooli ke case me Rajasthan ke Jodhpur ki ek adaalat me pesh kiya gaya, tab Lawrence ne media ke saamne controversial tippani kar di thi. Asal me Lawrence ne media se kaha ki “Salman khan yahi Jodhpur me maara jaayega…tabhi use humari asli taakat ke baare me pata chalega. Ab agar police chahti hai ki mai koi bada crime karu, toh mujhe Salman khan ko maar dena chahiye aur woh bhi Jodhpur me.” Asal me Lawrence aisa issiliye bhi keh raha tha, kyunki uske mutaabik police use jhuthe cases me phansa rahi thi.
Bharatpur jail me jabtak Lawrence band raha tabtak woh jail ke staffs ki madad se apna syndicate chala raha tha. 2021 me Lawrence ko Dehli ke Tihar Jail me shift karwa diya gaya. Shaayad se Lawrence ka naam, “Maharashtra Control of Organized Crime Act”(MCOCA)ke under file huye ek case me aaya tha. Police ke mutabik Lawrence “IP telephony” ka istemaal kar, jail ke baahar maujood apne gang member se baat karta tha.
29 may 2022 ko huye Punjabi Singer Siddhu Moosewala ki hatya me Lawrence Bishnoi ka naam saamne aaya tha. Asal me Sidhu Moosewala ki hatya ke theek 1 ghante baad, Goldy Brar ne publicly declare kiya ki usne Lawrence Bishnoi ke saath milkar iss hatya ko anjaam diya hai. Sidhu ki hatya ke dauran jaha Lawrence Tihar Jail me band tha, wahi Goldy Canada me maujood tha. Wahi se dono ne apne gang members ke sahare iss ghatna ko anjaam diya. Police ne bhi maana ki singer ki hatya me Lawrence ke gang ka hi haath hai. Delhi police ki special team ne Lawrence ko 5 din ke custody me rakha aur usse maamle ki jaankaari li.
Sidhu ki hatya ke baad Lawrence ne Delhi High Court me apni yor se ek appeal di ki “Use apni jaan ke liye khatra hai aur use dar hai ki Punjab Police use, fake encounter me maar sakti hai.” Lawrence ne court se kaha ki Delhi police aur Tihar Jail authority uski suraksha ka dhyaan rakhe, aur use baahar le jaate wakt acche se बांधकर aur handcuffed karke bhi rakhe. Lawrence ne jald hi iss appeal ko waapas le liya aur dobara ise Punjab-Haryana High Court ko bheja. Lawrence ke gang members 700 shooters ke saath kaam kar rahe hai, jo desh ke 5 bade States me sabse jyada active hai. Sabse jyada Lawrence ka gang North India me active hai, Jinme Delhi, Punjab aur Haryana jaise states shaamil hai.
Toh yeh thi famous gangster Lawrence Bishnoi ki kahani. Mirzapur-3 me Bishnoi jaise kirdaar hume dekhne ko mil sakte hai. Aise kirdaar kahani me romaanch badhne ki kaabiliyat rakhte hai.
The End